Page 1 of 1

~~barkateN ramzaan kee~~(nazm)

Posted: Sat Oct 15, 2005 11:49 pm
by yasir shah
assalamOalaikuM!


hasb-e-farmaish apnay TooTay PhooTay alfaaz meN barakaat-e-ramzaan ke Hawaalay se aik nazm liKHee thee--Zarqa behn kaa bai.Had mamnoon hooN keh unhoN ne mujhe yeh nazm kehne peh aamaadah kiyaa -Allah unheN is ki jazaa a'taa farmaa.ay-aap ki aaraa kaa intzaar rahay gaa
nazm paish-e-khidmat hai:

barkateN ramzaan ki
_________________

tiree bandgee se woh raaHat milee
nah ab woh gunaahoN meN lazzat rahee

jo bad.zan nidaa-e-muazzin se thay
wahee muntazir heN azaaN ke abhee

jo bhoolay se masjid ko jaatay nah thay
taraaweeH paRhnay lagay heN wahee

usee Saf meN zaahid hay jis meN keh rind
hu.aa mai.kadah khaalee masjid bharee

ik ik sijdah hai laaiq-e-ihtimaam
jabeeN sijdah kartay hi kartee ga.ee

raKhaa thaa jo qur.aan baalaa-e-taaq
tilaawat meN us ki magan heN sabhee

naSeeHat nah jin par acar kar sakee
tiree chaah un par acar kar ga.ee

zamaanay ke andaaz badlay ga.ay
badalnay lagee soch bhee fikr bhee

GiraaN khwaab saaray sanbhalnay lagay
hu.ee roshnee miT ga.ee teeragee

jawaanoN ko sooz-e-jigar mil gayaa
buzurgoN ko beenaa.ee Phir mil ga.ee

lahoo kee hai gardish rag-e-sang meN
-> har ik shai se paidaa ram-e-zindgee


har ik maah ho maah-e-ramzaan kaash
abad tak kareN ham yuN.hi bandagee

Haqeeqat peh hai jaamah-e-Harf tang
liHaazaa karooN gaa meN baat aakhree

uThaa soo-e-masjid chalaa ~Rashdi~
yeh heN barkateN maah-e-ramzaan kee

___________________






surkh rang meN allamah iqbal ki nazm "saaqee.naamah" se chand miSro'N kaa intikhaab kar ke apnee nazm ko sajaanay ki aik koshish kee hai,,hasb-e-zaroorat darmiyaaN meN apnay alfaaz kaa bhi kaheeN kaheeN isti.maal kiyaa hai-aur jahaaN "teer" kaa nishaan hai wahaaN do miSre' usee nazm(saaqee.naamah )ki do mukhtalif jaghoN se uThaa kar aik she'r ki Soorat meN paish kiye heN-

bhooray rang meN Mir ki mash.hoor ghazal se miSra' muntakhib kiyaa gayaa hai

Posted: Mon Oct 17, 2005 7:11 pm
by zmufti
Yasir bhai

aap ka buhat shukria
aap ki nazm buhat pasand aayii
Jazak Allah
Allah karey zor-e-bayaN aur ziyada
regards
zmufti