hadiyae ramadhan aik nazm ba unwaane"quraan"
Posted: Sun Oct 16, 2005 5:14 am
salamun alaikum
dosto
mahe ramadhan badi tezee se guzarta jaa raha hai.aise mei.n quraane majeed par har lamha fikr karne ki zaroorat hai.
aik nazm ba unwaane quraan haazir hai
gar qubool uftad zahe...
arz karta hoo.n ki
jeelo khuda ke waaste quraani zindagi
ahmed ke dar se milti hai insaani zindagi
quraa.n jahaa.n mei.n aaya hai zindo.n ke waaste
kyu.n sirf log padhte hai.n murdo.n ke waaste
shaayed inhe.n pasand hai haiwaani zindagi
jeelo khuda ke waaste.......
akhbaar aur risaalo.n ko palko.n pe rakhliya
alla'h ki kitaab ko taaqo.n mei.n rakhdiya
quraa.n ko chod jeete hai.n begaani zindagi
jeelo khuda ke waaste.........
ramadhaan mei.n to har ghadi quraan padhte hai.n
baaqi dino.n mei.n saath hum shaitaa.n ke rahte hai.n
bolo kahaa.n se paaye.nge roohani zindagi
jeelo khuda ke waaste........
sajde mei.n sar kata diya jhukne nahi.n diya
ghar ko lutaaya deen ko mitne nahi.n diya
shabbeer ne sikhaayi hai eemaani zindagi
jeelo khuda ke waaste........
taqwe ke saath zindagi haamid guzaar lay
kirdaare mustafa se tou khud ko sa.nwaar lay
dono.n jahaa.n mei.n paayega sultaani zindagi
jeelay khuda ke waaste.........
nateejaye fikr
haamidbaaqri
bangalore
india