Page 1 of 1

Hamd-e-baari T'Aalah

Posted: Mon Jan 10, 2005 3:06 pm
by tahira Masood
nahi basaat keh ker sakon teri Tareef bayaaN
kehaaN se laaoN maiN ilfaaz Teri shaayan-e-shaaN

hoN musht-e-khaak wajuud-e-be-wajuud hoN maiN
tere Huzur ba Sadd ujz baa -sujuud honmaiN

Tu paak, noor hai noorun Alaa Nuur hai Tuu
maiN hoN bhi yaa keh nahin hoN magar zaroor hai Tuu

hai teraa Hukm zameeN aur aasmaanoN maiN
faqat yehi nahin balkeh sabhi jhaanoN maiN

hai zebaa tujh ko her ikk Hamd her canaa yaa Rabb
baa juzz tere her ikk shai ko hai fanaa yaa Rabb

Ataa jo apne keram se nah kertaa izan-e-duaa
kehaN se miltee rasaaee yeh tere der ki bhelaa

zeraa si naiki peh jab itnaa Ataa kertaa hai Tuu
daaman kamm peR jaata hai jab bhertaa haii Tuu

main kis terah keroN Ay rabb Teraa Shuker adaa
jo shuker ker bhi maiN loN tau nah hogaa Haq adaa

khataaeiN ker k jo hamm aah-o-zaari kertay haiN
tere ghafar ki Ataaon se jholi bhertey haiN

gherz keh tau hai mujhe ikk shafeeq maaN ki teraH
Tau paas rehtaa hai merey rag-e-jaaNki teraH

nah choRnaa mujhe tanhaa mere nafs k saath
bachaana her pal her mushkil se mujhe de ker haath

baanaey Tu ne zameeN aasmaan wa suraj Chaand
keh jo jamaal maiN kerte haiN aik dooje ko maaNd

Jameel hai Tuu Haseen terh teri Sannaee hai
kehaN se itnee HaseeN kaainaat aaee hai

shumaar ker nah sakein gey teri khaklaaiq ko
aur us peh paidaah kiyaa un ginnat malaaik ko?

qadeer hai Tuu Qudratt Teri Had-e-laamakaaN
keh teri "Kunn" ki wejah se baney yeh donoN jehaaN

ab es se aagay main doNgi kayaa micaal bhelaa?
maiN musht-e-khaak hoN metri hai kayaa majaal bhelaa