Page 1 of 2
Harf-e-'zaal' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Posted: Wed Oct 19, 2005 12:18 pm
by Shummu
Zara sa katra kahin aaj gar nikalta hai
Samandaron ke hi lahje mein baat karta hai
Wasim Barelevi
Posted: Thu Oct 20, 2005 10:34 pm
by Shummu
jee sara jee kam ashaar hai is harf se
zaraa un kii shoKhii to dekhiye! liye zulf-e-Kham_shudaa haath meN
mere piichhe aaye dabe-dabe, mujhe saaNp kai'h ke Daraa diyaa
--bahadur shah zafar
Posted: Sat Oct 22, 2005 2:02 pm
by Shummu
zara un ki zulfoon se khushboo uranaa....
naseem-a-sehar main ghazal keh rahaa hoon
Posted: Sat Oct 22, 2005 2:03 pm
by Shummu
zara logo tum gardishoon se ye kah do....
na aain idhar main ghazal keh rahaa hoon
Posted: Sat Oct 22, 2005 2:03 pm
by Shummu
zara na mom hua pyar ki hararat se
chatakh ke toot gaya, dil ka sakht aisa tha
Posted: Sat Oct 22, 2005 2:04 pm
by Shummu
zara si aik fermaish bhi poori ker nahin sakte
mohabbat kerne waale log bhi lachaar kaise hain
Posted: Sat Oct 22, 2005 2:05 pm
by Shummu
zaraa haathon ka nishaanaa banaao fir dil ko
tamaam kaar-gahe naaz le ke aa jaao
qaiser jaafri
Posted: Sat Oct 22, 2005 2:05 pm
by Shummu
zara kar jor siine par ki tiir-e-pursitam nikale
jo vo nikle to dil nikale jo dil nikale to dam nikale
zaal
Posted: Sat Oct 22, 2005 3:58 pm
by Abdullah Nazir
zaraa sii baat pah wo mujh se yooN bigaR baiThe
keh jaise phir nahiN aayegaa din qiyaamat kaa.
Nazir.
zaal
Posted: Thu Oct 27, 2005 2:08 am
by Abdullah Nazir
zikr-e-jaanaaN hei ke aashuftah sari hou jaise
Aaalam-e-housh meiN ik be-khabari hou jaise.
Nazir.
ASALAMALIKUM
Posted: Tue Nov 29, 2005 5:10 pm
by ummassad
ZIKAR US PARIWASH KA AOR PHIR BAIYAN APNA
BAN GAYA RAKEEB AAKHIR THA JO RAZDAN APNA
Posted: Thu Dec 01, 2005 5:17 am
by Ibn-e-siddique
zaraa kar zaur seene per ke teere pur.sitam nikle
jo voh nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
asak
Posted: Thu Dec 01, 2005 6:44 pm
by ummassad
zara sa to dil hai magar shouk itna
wahi lantarani suna chata hai
Posted: Thu Mar 30, 2006 7:57 pm
by ummassad
zikr.e.sheb.e.firaq se waasta usy bhi hey
meri tarha kisi se mahoubat usy bhi hey
"zaal"
Posted: Sat Apr 01, 2006 12:14 pm
by Abdullah Nazir
zaraa si baat peh houte hou kis liye barham
salaam hi tou kiyaa hei adab se meHfil meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.