Page 1 of 2
ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Mon Jan 10, 2005 7:49 pm
by Shummu
Salaam!
Ek nayi ghazal pesh-e-khidmat hai...ummeed hai aap sab ko pasand aayegi! :)
Arz kiya hai...
ROMAN VERSION
ajab raat hai ye tilismaat ki
zameeN aasmaaN ne mulaqaat ki
sunaa raat jab hai inaayaat ki
sitaaroN ne shab bhar munaajaat ki
bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki
zaraa intehaa dekh sadmaat ki
ke haalat bhi khastaa hai haalaat ki!
faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki
nahii raas aati hai izzat jise
wahi baat kartaa hai auqaat ki
na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki
ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki
jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii
ye sher-o-sukhan,ye mirii shaa'irii
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!
Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila
Posted: Mon Jan 10, 2005 7:54 pm
by waqar_masood
shummu ji salamzz
neheyaat asaan say alfaaz ko nehayat umdagi say sheroon ki larree main pro ker aap nay nehayat khubsoorat ghazal takhleeq kee hay aur bila shuba qabl e daad hay .. buhut umdaa .. share kernay ka bay had shukria,,
waqar masood
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Tue Jan 11, 2005 1:25 am
by Hashmat Usmani
salaam moHtaramah Shumaai'la saaHiba,
aapkii taaza_ba_taaza Ghazal paRhii aur bas maiN angusht_ba_dandaaN rah gayaa aur bas muNh se waah waah be_iKhtiyaar nikal paRaa. Hairaangii is baat kii ki kia koii itnii aasaan zabaan se itnii behtareen bayaan bhi klar saktaa hai. bahot Khoob Shmaai'la saaHiba, bahot Khoob.
aapne lafz-e-"kii" [of] aur lafz-e-"kii" [done] kaa jo ustaadaanah aur jis chaabuk_dastii se kiyaa hai uske liye DheroN mubaarak_baad aur daad qubool farmaaiye.
go ki, Ghazal ka har ek she'r hii ek se ek 'aala_o_'urfa hai, phir bhi maiN mundarija zai'l ash'aar kii nishaan_dehii kar rahaa huuN. bhai, mujhe be_Had pasand aaye aapke yeh ash'aar:
ajab raat hai yeh tilismaat kii
zameeN aasmaaN ne mulaqaat kii
bhalaa baat kab thii yeh ik raat kii
k har shab hii nainoN ne barsaat kii
zaraa intehaa dekh sadmaat kii
k haalat bhii khastaa hai Haalaat kii!
nahii raas aati hai 'izzat jise
vohii baat kartaa hai auqaat kii
na ho shaad mujh ko yuN Khush dekh kar
Khushii to hai yeh chand lamHaat kii
jo qismat ne cheena miraa hum_safar
mitaa diiN lakeereN sabhii haath kii
Bahut Khoob Waah Waah
Posted: Tue Jan 11, 2005 5:49 am
by Abdullah Nazir
S H U M M U
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ashAar khoob heiN aur khaas Taur per ye ashAar:
bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki
faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki
na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki
ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki
jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii
=====
Albattah yeh aakhiri sheAr kaa doosra misrA beHr se khaarij hei:
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!
Isko yooN kardeejiye:
(yeh roodaad-e-ulfat hei her zaat kii) yaa phir:
[hei roodaad-e-ulfat her ik zaat kii) yaa jaize aap munasib samjheN.
Meri bharpoor daad aur mubarakbaad haazir hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Tue Jan 11, 2005 10:54 am
by Mahtab Qadr
Shummu wrote:Salaam!
Ek nayi ghazal pesh-e-khidmat hai...ummeed hai aap sab ko pasand aayegi! :)
Arz kiya hai...
URDU VERSION
ROMAN VERSION
ajab raat hai ye tilismaat ki
zameeN aasmaaN ne mulaqaat ki
sunaa raat jab hai inaayaat ki
sitaaroN ne shab bhar munaajaat ki
bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki
zaraa intehaa dekh sadmaat ki
ke haalat bhi khastaa hai haalaat ki!
faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki
nahii raas aati hai izzat jise
wahi baat kartaa hai auqaat ki
na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki
ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki
jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii
ye sher-o-sukhan,ye mirii shaa'irii
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!
Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila
shummu ji adaab
ghazal bahut khoobsurat aur aik gahri sachaioN ki akkasi kar rahi hai vo sachaiyaN jisay aik shayer ziada samajh sakta hai. bahut khoob.
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Tue Jan 11, 2005 12:04 pm
by Raji
Shummu wrote:Salaam!
Ek nayi ghazal pesh-e-khidmat hai...ummeed hai aap sab ko pasand aayegi! :)
Arz kiya hai...
ROMAN VERSION
ajab raat hai ye tilismaat ki
zameeN aasmaaN ne mulaqaat ki
sunaa raat jab hai inaayaat ki
sitaaroN ne shab bhar munaajaat ki
bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki
zaraa intehaa dekh sadmaat ki
ke haalat bhi khastaa hai haalaat ki!
faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki
nahii raas aati hai izzat jise
wahi baat kartaa hai auqaat ki
na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki
ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki
jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii
ye sher-o-sukhan,ye mirii shaa'irii
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!
Azeezi ShumaiLa sis,
aap kee ghazal mujhe nhi bauth khoob maLoom howee.
Yaqeen jaano tamaam ashaar hee pasand aahe aur khaas kar asaatizaa ke mashvaroon per agar tum amaL karo tu kyaa baat ho gi :)
So hamari jaanib se tu daad qubooL keejiye.
aur aahinda bhi hamain yoonhi achi achi ghazLein suNaati raha keejiye
MukhLis
Zahida Raees :Raji:
Posted: Tue Jan 11, 2005 1:42 pm
by Shummu
waqar_masood wrote:shummu ji salamzz
neheyaat asaan say alfaaz ko nehayat umdagi say sheroon ki larree main pro ker aap nay nehayat khubsoorat ghazal takhleeq kee hay aur bila shuba qabl e daad hay .. buhut umdaa .. share kernay ka bay had shukria,,
waqar masood
W'salaam Waqar sahab!
Ghazal ki itne khoobsurat alfaaz mein pazeraayi farmaane ka dil ki gehraaiyon se shukriya qubool farmaayein :)
Shumaila
Posted: Tue Jan 11, 2005 9:07 pm
by naheedv
Shumaila Dear,
main ne aap ki ye ghazal mushaira par bhee aap ki aawaaz meiN sunii aur dusrey forums par bhee paRhii. magar meree kaahili kaho ke maiN chaahate huve bhee apny khayalaat aap tak na pahoNchaa saki, iss ke liye ma'zarat :)
aap ne vaqai ghazal buhat achi likhi hai aur mujhe buhat pasaNd aa'ee. magar aik baat jo main ne note kee hai aap ki ghazal meiN voh husne matla's ki buhtaat hai :) kyaa baat hai aap ki,
ghazal par meree daad aur mubaarak baad qubool ho.
mukhlis
Naheed
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Wed Jan 12, 2005 3:45 pm
by Shummu
Hashmat Usmani wrote:salaam moHtaramah Shumaai'la saaHiba,
aapkii taaza_ba_taaza Ghazal paRhii aur bas maiN angusht_ba_dandaaN rah gayaa aur bas muNh se waah waah be_iKhtiyaar nikal paRaa. Hairaangii is baat kii ki kia koii itnii aasaan zabaan se itnii behtareen bayaan bhi klar saktaa hai. bahot Khoob Shmaai'la saaHiba, bahot Khoob.
aapne lafz-e-"kii" [of] aur lafz-e-"kii" [done] kaa jo ustaadaanah aur jis chaabuk_dastii se kiyaa hai uske liye DheroN mubaarak_baad aur daad qubool farmaaiye.
go ki, Ghazal ka har ek she'r hii ek se ek 'aala_o_'urfa hai, phir bhi maiN mundarija zai'l ash'aar kii nishaan_dehii kar rahaa huuN. bhai, mujhe be_Had pasand aaye aapke yeh ash'aar:
ajab raat hai yeh tilismaat kii
zameeN aasmaaN ne mulaqaat kii
bhalaa baat kab thii yeh ik raat kii
k har shab hii nainoN ne barsaat kii
zaraa intehaa dekh sadmaat kii
k haalat bhii khastaa hai Haalaat kii!
nahii raas aati hai 'izzat jise
vohii baat kartaa hai auqaat kii
na ho shaad mujh ko yuN Khush dekh kar
Khushii to hai yeh chand lamHaat kii
jo qismat ne cheena miraa hum_safar
mitaa diiN lakeereN sabhii haath kii
W'salaaam Hashmat sahab..aap ne to humein lajawaab hi kar Daala..is qadar taareef...uff kahin main sapna to nahi dekh rahi wow ghazal se khoobsurat to aap ki taareef hai he he...main to khushi se phoole nahi samaaN rahi...shukriya bahut bahut janaab is qadar hausla afzaii aur pazeraayi farmaane ka.. :D
Shumaila
Posted: Wed Jan 12, 2005 5:04 pm
by jawaid badauni
Shumaila Bibi,
Bbahut haseen ghazal se nawaza hai aap ne. Yaqeenan bahut mehnat ki hogi inn ashAr ko kahne meN. Zindabad bahna.
Doago
Jawaid Badauni
muscat - Oman
Re: Bahut Khoob Waah Waah
Posted: Thu Jan 13, 2005 9:10 am
by Shummu
Abdullah Nazir wrote:
S H U M M U
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ashAar khoob heiN aur khaas Taur per ye ashAar:
bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki
faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki
na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki
ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki
jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii
=====
Albattah yeh aakhiri sheAr kaa doosra misrA beHr se khaarij hei:
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!
Isko yooN kardeejiye:
(yeh roodaad-e-ulfat hei her zaat kii) yaa phir:
[hei roodaad-e-ulfat her ik zaat kii) yaa jaize aap munasib samjheN.
Meri bharpoor daad aur mubarakbaad haazir hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Salaam nazir bhai..aap jaise sahib-e-ilm aur kohna mashq shaayar se daad paa ke dheron ser khoon baRh gaya...mujhe kitni khushi ho rahi hai ke bataa nahi sakti...aap ne pasandeedagi ki mohar laga di goyaa meri mehnat vusool hui...aap ne jo tajveez aakhri sher ke hawaale se di hai..us pe bhi maiN ghaur kar rhai hoon..behad shukriya ..ummeed hai aayenda bhi meri rehnumaayi aur hauslaa afzaii farmaate rahenge :)
Talib-e-duaa,
Shumaila
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Thu Jan 13, 2005 9:14 am
by Shummu
Mahtab Qadr wrote:
shummu ji adaab
ghazal bahut khoobsurat aur aik gahri sachaioN ki akkasi kar rahi hai vo sachaiyaN jisay aik shayer ziada samajh sakta hai. bahut khoob.
Mahtab sahab ADAAB!
Ghazal ko pasand farmaane ka aur itni khoobsurat daad se nawaazne ka dili shukriya qubool farmaayeiN :)
Shumaila
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Thu Jan 13, 2005 1:59 pm
by tahira Masood
Shummu wrote:Salaam!
Ek nayi ghazal pesh-e-khidmat hai...ummeed hai aap sab ko pasand aayegi! :)
Arz kiya hai...
ROMAN VERSION
ajab raat hai ye tilismaat ki
zameeN aasmaaN ne mulaqaat ki
bohat khoob
sunaa raat jab hai inaayaat ki
sitaaroN ne shab bhar munaajaat ki
zabardast!!!!!
bhalaa baat kab thi ye ik raat ki
k har shab hi nainoN ne barsaat ki
Mukarrar zabardast!!!! :)
zaraa intehaa dekh sadmaat ki
ke haalat bhi khastaa hai haalaat ki!
waah waah bohat hi a'Alaa daad k qaabil hai waah :D
faqat baat kii thii musaawaat ki
na thii baat woh ikhtilaafaat ki
kayaa baat ki hai khush ker diyaa. bohat achae
nahii raas aati hai izzat jise
wahi baat kartaa hai auqaat ki
kayaa baat hai ji khoob bohat meHzuz huee yeh peRh ker
na ho shaad mujh ko yuN khush dekh kar
khushii to hai ye chand lamhaat ki
Allah nah kere keh aisaa ho Allah daaimee khushiyaaN dey.Ameen. magar mazmoon khoob hai
ishaaroN meiN jaane woh kyaa keh gaya
hui mujh pe baarish sawaalaat ki
aaj tau aap hairaan kiya jaa rehi haiN . aik se aik achaa mazmoon intehaaii umdagi se aur rawaani se bayaan kiay jaa rehi haiN. wallah bohat khoob
jo qismat ne cheena miraa humsafar
mitaa diiN lakeereiN sabhiN haath kii
very sad
ye sher-o-sukhan,ye mirii shaa'irii
rudaad-e-mohabbat hai har zaat ki!
bohat acha likhaa hai Shummu aap ne. dilee daad aur mubaarikbaad qabuul fermaaeiN.
Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila
Re: ajab raat hai ye tilismaat ki
Posted: Sat Jan 15, 2005 11:46 am
by Shummu
Raji wrote:
Azeezi ShumaiLa sis,
aap kee ghazal mujhe bhi bauth khoob maLoom howee.
Yaqeen jaano tamaam ashaar hee pasand aahe aur khaas kar asaatizaa ke mashvaroon per agar tum amaL karo tu kyaa baat ho gi :)
So hamari jaanib se tu daad qubooL keejiye.
aur aahinda bhi hamain yoonhi achi achi ghazLein suNaati raha keejiye
MukhLis
Zahida Raees :Raji:
Dear Raji sis..ek arsa-e-daraaz baad apni kisi ghazal pe aap ka reply dekh kar itni khushi hui ke kya bataoon...bahut bahut shukriya ghazal ko pasand farmaane ka aur daad se nawaazne ka :D
Talib-e-duaa,
Shumaila
Posted: Sat Jan 15, 2005 3:06 pm
by khurram_shaikh
Assalaam alekum,
bahooot khoob bahoot umdeh shumaila sukhan bahoot umdeh kalaam share kiyaa aapnien apnaa DAAD haazir hai dil ki gehraayiyoon se khush rahien aru khooob likhien