mukarramee Mahtab Qadr SaaHeb: aadaab!
ek muddat ke ba'd meHfil meN aayaa to aap kee yeh pursoz Ghazal dekh`ee. Khair to hai? aaKhir aisee bh`ee kyaa maayoosee?
neeche apne Khayaalaat likh` rahaa hooN. yeh iSlaaH hargiz naheeN hai bal.k soch kaa ek qadre muKhtalif andaaz hai. dekh` lene meN harj naheeN hai. yeh kehnaa teHSeel-e-laa-HaaSil hei keh mere kisee Khayaal se aap kaa muttafiq honaa Z^arooree naheeN hai!
----------------------------------
ek aik kiran madoom huvi, sab aaNk ke taaray toot gaye
(har ek kiran ma'doom huyee, sab aaNkh` ke taare TooT gaYe)
halaat badalnay lagte hi, sab yaar hamaaray toot gaye
(ik aaNkh` hamaaree kyaa jh`apkee, sab yaar hamaare TooT gaYe)
"Haalaat badalne lagte hee" Ghair-faSeeH aur Ghalat^ bandish hai. is ko badal deN to behtar hai. Hairat hai keh Amjad SaaHeb ne is ko nazar-andaaz kar diyaa!
----------------------------
phir zabt ka daman choot gaya, phir dil pe raha kab apna bas
(ph`ir Z^abt^ kaa daaman ch`ooT gayaa, ph`ir ham se koyee rooTh gayaa)
maujoN mai jo shiddat aai thi, daryaa ke kinaaray toot gaye
(maujoN kaa woh zor Allah, Allah!, daryaa ke kinaare TooT gaYe)
pehle miSre' kaa aaKhiree HiSSah kamzor saa lagaa. ho saktaa hai keh meree hee nazar kaa quSoor ho. :maujoN meN jo shiddat aayee th`ee: mere sar se guzar gayaa!
----------------------------
kuch sheesh mahal se manzar jou, palkoN pe sajaye rakhe thay
(kuch` sheesh-maHal ummeedoN ke, palkoN pe sajaaYe rakkh`e th`e)
pathraao ka mousam kia aaya, vo saaray nazaaray toot gaye
------------------------------
jo andhay saNp ko chiryaa se pairhoN mai ghiza pahoNchata hai
vo aik sahaara kaam aaya , jab saray sahaaray toot gaye
------------------------------
mahtab adaaiN chahat ki mausam ke mutabiq hoti haiN
dushman ki adawat joN ki tuN, aur pyaar se pyaaray toot gaye
is she'r meN miSro'N kaa baahimee rabt^ Saaf naheeN hai. waZ^aaHat kar deN to muZ^aa,iqah naheeN hai. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"