Eid Mubarak: Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Eid Mubarak: Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


Arbaab=e=MeHfil
aur AHbaab-e-sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat,

Eid-e-Ramadhan kii munaasibat se guzaarish kii jaarahi hei ke aHbaab-e-sukhan mandarja-e-zel mauzooAaat per apni apni kaavish pesh kar ke khaaksaar ko mamnoon farmaayeN:

1) Nazm ba-unwaan-e-Eid-e-Ramadhan-e-Mubaarak

2) QiTAaat be-khuSooS-e-Ramadhan-e-Mubaarak

yaa
koii TaraHi ghazal mandarja-e-zel miSreA per:
bhaagaiee hei sabhi ko khushii Eid kii

Radeef = Eid kii
Qawaafi: (khushi, ghaRi, hansii, bekhudi, aagahi, sabhi, kabhi, ) waghairah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab, Aadaab

Meri Eid to yeh hai keh aap "internet" per wapis aa gaye haiN, jis
ka matlab yeh hai keh ab aapki sehat masha' Allah behtar hai.
Allah (SWT) aapko sehat-e kaamil ataa farmaye (aamin).

MaiN ne jo Nazm Eid ke hawaleh se kahi thi aur jo kuch chaupaloN
meN bheji bhi thi, bahut sanjeedah hai aur ise paRhkar logoN ke dil maGhmoom ho jate haiN. Ek mohtarmah ne "America" se likha tha aur wohee baat ek saHibah ne Multan(Pakistan) se likhi hai. Yeh donoN Khawateen meri nazm paRker apne aaNsoo nah rok sakeeN.

Iss muKhtacar Nazm meN qaum-e muslameen ki Khasta Halat
bayaan ki gayee hai. Aise nazuk Halaat meN kum se kum
mera dil to is baat ki ijazat nahiN deta keh main Eid ki Khooshi
manooN.

Mulahizah farmaaiye Nazm baunwaan "Manaao Eid magar".........

Khulooskaar
Jawaid
-----------------------------------------------------------------------------




Manaao Eid magar!



fasurda haal musalmaa(n) shikasta haal hai qaum
Khooshi bhi aaj hame(n) gham dikhaaee deti hai


har ik ghareeb Musalmaa(n) ke ghar me(n) raat ke baad
hame(n) to raat hi paiham dikhaaee deti hai


hamari qaum ki qismat me(N) hai musalsal gham
omid-e subH bahoot kum dikhaaee deti hai


jo dekha qaum ki aaNkho(n) ko kholker aaNkhe(n)
harek aaNkh hi purnam dikhaaee deti hai


yeh kaisee bazm-e masarrat hai ai jahaa(n) walo !
jo ek mahfil-e maatam dikhaaee deti hai


kabhie qareeb se dekha hai qaum-e muslim ko ?
woh ek karb-e mujassam dikhaaee deti hai


manaao Eid magar unka bhi khiyaal karo
keh jinki Eid moharram dikhaaee deti hai

------------------------------------------------------


Jawaid Badauni
Muscat – Oman
Attachments
manao_eid.jpg
manao_eid.jpg (85.5 KiB) Viewed 284 times
manao_eid.jpg
manao_eid.jpg (85.5 KiB) Viewed 283 times
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

nazm "eid hum manaaye.nge"

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto aap sabko 'eid mubaarak ho"

is khushee ke mouqe per apni aik adna see kavish lekar aaye hai.n
gar qubool uftad zahe....

"eid hum manaaye.nge"


eid ek ebaadat hai,eid hum manaaye.nge
ye khuda ki rahmat hai,eid hum manaaye.nge

nekiyo.n ko apnaana,aur gunaa'h se bachna
eid ki haqeeqat hai,eid hum manaaye.nge.

maa.n ki khidmate.n karna,baap ko khushee dena
aakhirat ki daulat hai,eid hum manaaye.nge

bhool kar gilay shikway,bhaai ke gale lagna
anbiya^a ki seerat hai,eid hum manaaye.nge

sirf maaldaaro.n ki, eid yeh nahi.n haamid
sab ki yeh amaanat hai, eid hum manaaye.nge
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
talib
nau-waarid
Posts: 3
Joined: Sun Jun 05, 2005 12:36 pm

Post by talib »

Ahl-e-mehfil ko Eid ki mubaarakbaad pesh karna chahoonga.

Baad isske mohtarama sara sahiba ka shukr guzaar hoon jo unhone mujhe yahan kuch likhne ke liye daawat dii. Yeh apne aap mein ek hausla afzaayee hai aur dil ki gehraiyoN se shukriya adaa karna chahoonga, aap qubool farmaaiyega.

Janaab Jawaid Badauni sahab ka kalaam paRh kar kuch kehte nahi bantaa, iss adaaz mein unhone ik talkh haqeeqat ko pesh kiya hai ke koi jawaab nahi hamaare paas. Yeh kalaam paRh kar chasm-e-tarr hona laazim hai.

Hazrat haamidbaaqri sahab ki kaavish bhi pasand aayee aur dili daad qubool farmaa ke shukriya ka mauka dein.

Aakhir kar apnaa kuch likha pesh karne ki gustaakhi kar raha hoon. Ummeed hai pasand aayega, aur aap ki raai ka bhi intezaar rahega. Meri kisi baat se yahaN shirkat karnewale kisi bhi membraan ko koi baat burii lagi ho to maufi ka talabgaar hoon. Urdu adaab se acchi tarah waakiff na hone ki wajah se mumkin hai yeh gustaakhi kar jaaaoN.

Mulaahiza farmaaiye..

Duniya to gayee kaam se insaan bhi gayaa,
Baat kya woh lehja-e-zubaan bhi gayaa.

jiss raah bhi gaya ye jahaN khaas kar buree,
sarr hilaata peeche musalmaan bhi gayaa.

sab kuch looTaa ke baith gayaa aaj ka momin,
jo tha bachaa bachaaya woh imaan bhi gaya.

bola kisine aapko jannat hi milegi,
kya soch ke naadaan yeh dil maan bhi gaya.

ibaadat ka soch soch ke yeh saal to gaya,
aur daawat-e-iftaar mein ramzaan bhi gaya.

sharminda hua baitha hoon khutbe mein Eid ke,
Ro Ro ke mera khutbaa-o-bayaan bhi gaya.
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

talib wrote:Ahl-e-mehfil ko Eid ki mubaarakbaad pesh karna chahoonga.

Baad isske mohtarama sara sahiba ka shukr guzaar hoon jo unhone mujhe yahan kuch likhne ke liye daawat dii. Yeh apne aap mein ek hausla afzaayee hai aur dil ki gehraiyoN se shukriya adaa karna chahoonga, aap qubool farmaaiyega.

Janaab Jawaid Badauni sahab ka kalaam paRh kar kuch kehte nahi bantaa, iss adaaz mein unhone ik talkh haqeeqat ko pesh kiya hai ke koi jawaab nahi hamaare paas. Yeh kalaam paRh kar chasm-e-tarr hona laazim hai.

Hazrat haamidbaaqri sahab ki kaavish bhi pasand aayee aur dili daad qubool farmaa ke shukriya ka mauka dein.

Aakhir kar apnaa kuch likha pesh karne ki gustaakhi kar raha hoon. Ummeed hai pasand aayega, aur aap ki raai ka bhi intezaar rahega. Meri kisi baat se yahaN shirkat karnewale kisi bhi membraan ko koi baat burii lagi ho to maufi ka talabgaar hoon. Urdu adaab se acchi tarah waakiff na hone ki wajah se mumkin hai yeh gustaakhi kar jaaaoN.

Mulaahiza farmaaiye..

Duniya to gayee kaam se insaan bhi gayaa,
Baat kya woh lehja-e-zubaan bhi gayaa.

jiss raah bhi gaya ye jahaN khaas kar buree,
sarr hilaata peeche musalmaan bhi gayaa.

sab kuch looTaa ke baith gayaa aaj ka momin,
jo tha bachaa bachaaya woh imaan bhi gaya.

bola kisine aapko jannat hi milegi,
kya soch ke naadaan yeh dil maan bhi gaya.

ibaadat ka soch soch ke yeh saal to gaya,
aur daawat-e-iftaar mein ramzaan bhi gaya.

sharminda hua baitha hoon khutbe mein Eid ke,
Ro Ro ke mera khutbaa-o-bayaan bhi gaya.
salaamun alaikum
mohtaram taalib saahib

nazm ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriya.aapke khayalaat bahut acche hai.n.mashq jaari rakkhe.nge to yaqeenan kaamiyaabi milegi.hamaari nek tamannaaye.n aapke saath hai.n


dua go
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Post by Abdullah Nazir »



MuHtarameen aHbaab-e-sukhan,
Jawaid Badayuni Saahib,
Haamid Baaqri Saahib,
Taalib Saahib,
Saara Saahibah,


Eid Mubaarak aur Purkhuloos Tasleemaat,

MaiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN ke aap ne meri guzaarish ko ihtimaam ke qaabil samajhte houe Eid kii munaasibat se apna apna kalaam pesh kiyaa.


aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Post Reply