Page 1 of 1
Lafz par ashar#23--EID
Posted: Fri Oct 28, 2005 8:33 am
by syed bilal armaan
Dostoun app ney unwan"SABA" par bahut acche ashar likhe. Ab pesh hai ek nay unwan "EID"app is unwan par bhi apne pasandida ashar likhiye. main yahan se agaz kar raha hoon
Posted: Fri Oct 28, 2005 11:14 am
by Shummu
wah mauqe ke munasbat se achcha lafz diya hai..aap se guzzarish hai ke aap doosri threads pe bhi hissa liya akrein ..humein khushi hogi..shukriya
sau alfaaz kam hai.n aur tamannaaye.n hazaaro.n
mubaarak ho.n merii jaanib se tumhe.n 'Eid' kii Khushiyaa.N
"Eid"
Posted: Sat Oct 29, 2005 8:22 pm
by Abdullah Nazir
"Eid kaa din hei gale aaj tou mil le zaalim
rasm-e-dunyaa bhii hei mauqaA bhi hei, dastoor bhi hei"
Nazir.
Posted: Mon Oct 31, 2005 11:43 am
by Shummu
Us ne silawa bhi liyee hon gain siyan rang libaas,
AB moharaam ki tarha eid manateee ho gee
Eid
Posted: Wed Nov 02, 2005 6:48 pm
by Abdullah Nazir
Eid aayi hei, gale mil ke chalou khoob hanseN
Umr saari hei paRi roune rulaane ke liye.
Nazir.
Posted: Thu Nov 24, 2005 9:03 am
by syed bilal armaan
is unwan ki tareeq ab kahatm ho chuki hai.pesh hai ek naya unwan."Hijar". Naye fourm mein mulaheza kijye.
SYED BILAL ARMAAN