Page 1 of 1

"kya dega"taaza tareen ghazal peshe khidmat

Posted: Sat Nov 05, 2005 5:48 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

ek adna see kaavish

"kya dega"

sukoo.n bashar ka banaaya nisaab kya dega
adhoora ilm mukammal kitaab kya dega

bhikaariyo.n se bhi badtar bakheel hota hai
salaam tak nahi.n karta jawaab kya dega

dilo.n mei.n bughz labo.n per shikayato.n ke mazaar
zaleel aadmi ezzat janaab kya dega

jo khudgharaz hai woh murda zameer hota hai
ho murda zindagi jiski woh khwaab kya dega

shabaab mei.n jo ebaadat ka lutf aata hai
woh lutf humko budhaapa janaab kya dega

muhaasaba na kiya jisne zindagi mei.n yahaa.n
bhala woh hashr mei.n apna hisaab kya dega

durust karle tu a^amaal apne aye haamid
farishta mout ka mohlat janaab kya dega

nateejaye fikr
haamidbaaqri

Bahut khoob

Posted: Tue Nov 08, 2005 11:05 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behad pasand aayi. Saare ke saare ashAaar bahut hi dilkash heiN.

Is kaamyaab kaavish per khaaksaar kii dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiyhe.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: "kya dega"taaza tareen ghazal peshe khidmat

Posted: Tue Nov 08, 2005 9:19 pm
by Mahtab Qadr
Hamid Baqri sahib
Aadaab o Tasleem
aapki ghazal majmoi taur par poori ki poori achi lagi aur bataur e khaas hazb e zail ashaar bahut qabil e daad haiN. umeed ke aap isi tarah apne kalam se nawazte raheiNge.
shukria
Mahtab Qadr

sukoo.n bashar ka banaaya nisaab kya dega
adhoora ilm mukammal kitaab kya dega

bhikaariyo.n se bhi badtar bakheel hota hai
salaam tak nahi.n karta jawaab kya dega

dilo.n mei.n bughz labo.n per shikayato.n ke mazaar
zaleel aadmi ezzat janaab kya dega


haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto

ek adna see kaavish

"kya dega"

sukoo.n bashar ka banaaya nisaab kya dega
adhoora ilm mukammal kitaab kya dega

bhikaariyo.n se bhi badtar bakheel hota hai
salaam tak nahi.n karta jawaab kya dega

dilo.n mei.n bughz labo.n per shikayato.n ke mazaar
zaleel aadmi ezzat janaab kya dega

jo khudgharaz hai woh murda zameer hota hai
ho murda zindagi jiski woh khwaab kya dega

shabaab mei.n jo ebaadat ka lutf aata hai
woh lutf humko budhaapa janaab kya dega

muhaasaba na kiya jisne zindagi mei.n yahaa.n
bhala woh hashr mei.n apna hisaab kya dega

durust karle tu a^amaal apne aye haamid
farishta mout ka mohlat janaab kya dega

nateejaye fikr
haamidbaaqri

Re: Bahut khoob

Posted: Wed Nov 09, 2005 5:35 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal behad pasand aayi. Saare ke saare ashAaar bahut hi dilkash heiN.

Is kaamyaab kaavish per khaaksaar kii dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiyhe.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

hausla afzaayee, aapki purkhuloos daad aur mubarakbaadi ke hum behad shukrguzaar hai.n.allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye.aameen


aapka mukhlis
haamidbaaqri

Re: "kya dega"taaza tareen ghazal peshe khidmat

Posted: Wed Nov 09, 2005 5:39 am
by haamidbaaqri
Mahtab Qadr wrote:Hamid Baqri sahib
Aadaab o Tasleem
aapki ghazal majmoi taur par poori ki poori achi lagi aur bataur e khaas hazb e zail ashaar bahut qabil e daad haiN. umeed ke aap isi tarah apne kalam se nawazte raheiNge.
shukria
Mahtab Qadr

sukoo.n bashar ka banaaya nisaab kya dega
adhoora ilm mukammal kitaab kya dega

bhikaariyo.n se bhi badtar bakheel hota hai
salaam tak nahi.n karta jawaab kya dega

dilo.n mei.n bughz labo.n per shikayato.n ke mazaar
zaleel aadmi ezzat janaab kya dega


haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto

ek adna see kaavish

"kya dega"

sukoo.n bashar ka banaaya nisaab kya dega
adhoora ilm mukammal kitaab kya dega

bhikaariyo.n se bhi badtar bakheel hota hai
salaam tak nahi.n karta jawaab kya dega

dilo.n mei.n bughz labo.n per shikayato.n ke mazaar
zaleel aadmi ezzat janaab kya dega

jo khudgharaz hai woh murda zameer hota hai
ho murda zindagi jiski woh khwaab kya dega

shabaab mei.n jo ebaadat ka lutf aata hai
woh lutf humko budhaapa janaab kya dega

muhaasaba na kiya jisne zindagi mei.n yahaa.n
bhala woh hashr mei.n apna hisaab kya dega

durust karle tu a^amaal apne aye haamid
farishta mout ka mohlat janaab kya dega

nateejaye fikr
haamidbaaqri
mohtaram mahtab qadr saahib
salaamun alaikum

hamaari ghazal ki pazeeraayee keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.allah(sbhnwt)aap per apni remato.n ko naazil farmaaye.aameen


aapka mukhlis
haamidbaaqri