Page 1 of 1

aek aur taazah ghazal: by Abdullah Nazir.

Posted: Wed Nov 09, 2005 1:13 pm
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-MeHfil,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

aapki khidmat meiN apni aek aur taazah ghazal pesh karne kii saAadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

hawaa kaa rukh hei mukhaalif mire sanbhalte hii
nah jaane hougayaa kyaa chand ke nikalte hii

chaman meiN raunaq-e-Husn-e-Tarab nahiN baaqi
parinde uRgaye sub aashiyaanah jalte hii

nah koii naamah tumhaara nah hei khabar koiee
khafaa hou tum bhi Thikaanah miraa badalte hii

lagaa keh mil gaie dunyaa ki her khushi mujh ko
zaraa si der muHabbat meiN dil bahalte hii

yeh khauf bhi hei ravaadaari o khuloos ke saath
pighal nah jaauN kahiN uskaa dil pighalte hii

dil o dimaagh ne seekhi nahiN hei maayoosi
rahenge khwaab tiri dildehi ke palte hii

nahiN hei pursish-e-beemaar se lagaau use
keh taubah bhool nah jaaye qaZaa ke talte hii

her aek samt se ranj o alam ne gher liyaa
wafaa kii raah meiN thouRi si door chalte hii

jahaaN ki bhool bhalayyaoN kaa zikr kyaa :Nazir:
keh neend uRgaie apni tou aankheN malte hii
=======


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Thu Nov 10, 2005 6:43 am
by zmufti
Mohtaram Abdullah nazir saheb
Tasleemat
aapki taaza ghazal buhat pasand aayii
tamam asha'ar khoob haiN
aur khaas tor per yeh asha'ar

chaman meiN raunaq-e-Husn-e-Tarab nahiN baaqi
parinde uRgaye sub aashiyaanah jalte hii

nahiN hei pursish-e-beemaar se lagaau use
keh taubah bhool nah jaaye qaZaa ke talte hii

meri janib se daad qabool kijye
wasalaam
zmufti

shukriyah

Posted: Fri Nov 11, 2005 3:53 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Zmufti SaaHibah

Purkhuloos Tasleemaat,

Apni ghazal kii pazeerayi ke liye aapka tah-e-dil se shukriyah adaa kartaa hooN. Ummeed ke aayindah bhi isi Tarah se Hauslah afzaayhi farmaate rahenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


shukriyah

Posted: Sat Nov 12, 2005 12:51 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Zmufti SaaHibah

Purkhuloos Tasleemaat,

Apni ghazal kii pazeerayi ke liye aapka tah-e-dil se shukriyah adaa kartaa hooN. Ummeed ke aayindah bhi isi Tarah se Hauslah afzaayhi farmaate rahenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.