Page 1 of 1
Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Abdulqayyum SaHil, jeddah
Posted: Sat Nov 12, 2005 4:20 am
by abdulqayyum sahil
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-meHfil,
aadaab o tasleemaat,
Apni TaraHi ghazal pesh karte houe khushi meHsoos karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni qeemati aaraa se navaazkar mamnoon farmayenge.
GHAZAL roman meiN
ghaRyhaaN heiN imtiHaan kii is dil ke saamne
dast-e-qaZaa hei Taayir-e-bismil ke saamne
chubhtaa hei micl-e-khaar her ik lamHa-e-qafas
taSveer-e-gulsitaaN hei Anaadil ke saamne
kehtaa hei waqt thaam le tegh-e-anaa magar
"maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne"
taazah khayaal-o-fikr kii khushboo bhii leejiye
guldasta-e-kalaam hei qaabil ke saamne
yeh Aahd aaj mujh se karo mere HauSlou
sar kham nah hugaa saaAat-e-mushkil ke saamne
behtar nahiN hei cheRnaa saaz-e-Hayaat ko
zakhmi hei taar taar anaamil ke saamne
nazreN mileN tou raunaq-e-meHfil se jaa milooN
baiThaa hooN aarzoo liye meHfil ke saamne
kaanTe bichaade raah meiN gar dushman-e-wafaa
gulzaar hounge Taalib-e-manzil ke saamne
mumkin nahiN hei touRnaa zanjeer-e-bekasii
majbooriyaaN heiN qaid-e-salaasil ke saamne
kartaa hei sar jhukaake samundar bhii guftagoo
qaTre kii kyaa bisaaT hei :SaaHil: ke saamne
=======
Khair Andesh
SaHil
Posted: Mon Nov 14, 2005 5:41 am
by Ibn-e-siddique
saHil saHib
salaam arz hai
janaab aap ki ye ghazal hameN bahot pasand aayee, mashallah bahot khoobsoorat mazaameen baaNdhe haiN.
aik umda ghazal sunaane per aap hamaari jaanib se nazraana-e-daad-o-sitaaish qubool farmaaiN
amjad
Re: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Abdulqayyum SaHil, jedda
Posted: Mon Nov 14, 2005 12:40 pm
by Shummu
chubhtaa hei micl-e-khaar her ik lamHa-e-qafas
taSveer-e-gulsitaaN hei Anaadil ke saamne
taazah khayaal-o-fikr kii khushboo bhii leejiye
guldasta-e-kalaam hei qaabil ke saamne
yeh Aahd aaj mujh se karo mere HauSlou
sar kham nah hugaa saaAat-e-mushkil ke saamne
behtar nahiN hei cheRnaa saaz-e-Hayaat ko
zakhmi hei taar taar anaamil ke saamne
nazreN mileN tou raunaq-e-meHfil se jaa milooN
baiThaa hooN aarzoo liye meHfil ke saamne
mumkin nahiN hei touRnaa zanjeer-e-bekasii
majbooriyaaN heiN qaid-e-salaasil ke saamne
kartaa hei sar jhukaake samundar bhii guftagoo
qaTre kii kyaa bisaaT hei :SaaHil: ke saamne
bahut khoob..kya baat hai Sahil jee..zabardast..aap ki ghazal tarahi misre #11 pe behad pasand aayi..kya khoob ash'aar nikaale hain ..khaaskar quoted ash'aar pe khusoosi daad pesh hai aur maqte mein jis khoobi se aap ne apne naam ka istimaal kiya hai woh waqaii qaabil-e-taareef hai
Shumaila
Re: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Abdulqayyum SaHil, jedda
Posted: Wed Nov 23, 2005 6:07 am
by haamidbaaqri
abdulqayyum sahil wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-meHfil,
aadaab o tasleemaat,
Apni TaraHi ghazal pesh karte houe khushi meHsoos karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni qeemati aaraa se navaazkar mamnoon farmayenge.
GHAZAL roman meiN
ghaRyhaaN heiN imtiHaan kii is dil ke saamne
dast-e-qaZaa hei Taayir-e-bismil ke saamne
chubhtaa hei micl-e-khaar her ik lamHa-e-qafas
taSveer-e-gulsitaaN hei Anaadil ke saamne
kehtaa hei waqt thaam le tegh-e-anaa magar
"maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne"
taazah khayaal-o-fikr kii khushboo bhii leejiye
guldasta-e-kalaam hei qaabil ke saamne
yeh Aahd aaj mujh se karo mere HauSlou
sar kham nah hugaa saaAat-e-mushkil ke saamne
behtar nahiN hei cheRnaa saaz-e-Hayaat ko
zakhmi hei taar taar anaamil ke saamne
nazreN mileN tou raunaq-e-meHfil se jaa milooN
baiThaa hooN aarzoo liye meHfil ke saamne
kaanTe bichaade raah meiN gar dushman-e-wafaa
gulzaar hounge Taalib-e-manzil ke saamne
mumkin nahiN hei touRnaa zanjeer-e-bekasii
majbooriyaaN heiN qaid-e-salaasil ke saamne
kartaa hei sar jhukaake samundar bhii guftagoo
qaTre kii kyaa bisaaT hei :SaaHil: ke saamne
=======
Khair Andesh
SaHil
salaamun alaikum
mohtaram sahil saahib
nihaayat hee umda kalaam hai aapka har sher qaabile t^aareef hai
is behtareen ghazal per hamaari mukhlisaana daad qubool farmaaye.n.
taalibe dua
haamidbaaqri
Posted: Wed Nov 23, 2005 6:24 am
by farhan
Bahut khoob Abdul Qayyum Saheb
aap ki ghazal bahut pasand aayiii
ghaRyhaaN heiN imtiHaan kii is dil ke saamne
dast-e-qaZaa hei Taayir-e-bismil ke saamne
yeh shair bahut pasand aayaa
thankx for sharing
Farhan