Page 1 of 1
Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Irfan Barabankwi - Jeddah
Posted: Sun Nov 13, 2005 1:49 am
by irfan barabankwi
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-meHfil,
aadaab,
Guzarish 11 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL
raqSaaN ajal hei Taair-e-bismil ke saamne
"maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne"
kaar-e-sitam-zareefiy-e-amvaaj dekhiye
kashti miri Diboyi hei saaHil ke saamne
Houtaa hei intikhaab bahut sakht us ghaRi
tarjeeH kaa sawaal hou jab dil ke saamne
hounaa thaa sarfaraaz use aur hougayaa
jhuktaa nahiN hei Haq kabhi baaTil ke saamne
MeHsoos mujhko rauZa-e-aThar pah yeh houaa
naaqiS khaRaa hei banda-e-kaamil ke saamne
raHmat bahut baRi hei hamaare zanoob se
jaise koii pahaaR hou ik til ke saamne
phoolaoN meiN unko Azm ne tabdeel kardiyaa
jou khaar aaye jaada-e-manzil ke saamne
detaa hei bus vohi unheN jeene kaa HauSlah
gulshan hei jou qafas meiN Anaadil ke saamne
auraoN kii mushkilaat ka jab tajziyhah kiyhaa
kaafi baRi lageeN miri mushkil ke saamne
daur-e-munaafiqat meiN use Haq navaa kahou
izhaar-e-Haq jou karsake meHfil ke saamne
ieemaan bik hii jaayegaa :Irfan: dekhnaa
rishwat rakhi hei munSif o Aadil ke saamne
=======
Khair Andesh,
Irfan Barabankwi
Posted: Mon Nov 14, 2005 5:48 am
by Ibn-e-siddique
Irfan saHib
salaam arz hai
bahot khoob janaab, bahot lutf aaya aap ki ghazal paRh ker.
kia khoobsurat ash'aar kahe haiN :
raqSaaN ajal hei Taair-e-bismil ke saamne
"maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne"
Houtaa hei intikhaab bahut sakht us ghaRi
tarjeeH kaa sawaal hou jab dil ke saamne
hounaa thaa sarfaraaz use aur hougayaa
jhuktaa nahiN hei Haq kabhi baaTil ke saamne
phoolaoN meiN unko Azm ne tabdeel kardiyaa
jou khaar aaye jaada-e-manzil ke saamne
auraoN kii mushkilaat ka jab tajziyhah kiyhaa
kaafi baRi lageeN miri mushkil ke saamne
misra-e-taraH per girah bhi khoob lagaai hai, aik umda ghazal sunaane per daad qubool farmaaiN
Amjad
Re: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Irfan Barabankwi - Jedda
Posted: Mon Nov 14, 2005 12:21 pm
by Shummu
Mohtram Irfan sahab kaise hain aap?bade din baad aap ko dekha....aap ki taaza ghazal bhi dekhi..bahut achchi hai..kuch lafz samajh nahi paayi ..agar samjhaa dein to inaayat hogi aur hum bhi ghazal ka poori tarah mazaa le sakenge... alfaaz hain...
Taair-e-bismil
kaar-e-sitam-zareefiy-e-amvaaj
rauZa-e-aThar
zanoob
Shukriya!
in ashaar pe khusoosi daad pesh hai..
Houtaa hei intikhaab bahut sakht us ghaRi
tarjeeH kaa sawaal hou jab dil ke saamne
phoolaoN meiN unko Azm ne tabdeel kardiyaa
jou khaar aaye jaada-e-manzil ke saamne
auraoN kii mushkilaat ka jab tajziyhah kiyhaa
kaafi baRi lageeN miri mushkil ke saamne
daur-e-munaafiqat meiN use Haq navaa kahou
izhaar-e-Haq jou karsake meHfil ke saamne
ieemaan bik hii jaayegaa :Irfan: dekhnaa
rishwat rakhi hei munSif o Aadil ke saamne
wah wah wah bahut umda!!!!!!!!!!!!!!!
Shumaila
Bahut bahut shukriya
Posted: Tue Nov 22, 2005 3:58 pm
by irfan barabankwi
mohtaram amjad bhai
salam-e-masnoon
ek muddat-e-madeed ke bAd aapka nawazish namah nazar nawaz hua.aap to mujhko bhool hi gaye they . dar asl maiN bhi bahut masrrof rahta hooN is liye idhar kam hi aana hota hai. khair ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukriyah. ummeed hai ayendah bhi yad farmate raheiNge.
khair andaish
irfan barabaankwi
Bahut bahut shukriya
Posted: Tue Nov 22, 2005 4:07 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah
SHUMAILAH SAAHIBAH
tasleemat
aik muddat ke bAd aapki inayat namah dekha . bahut khushi hoi ke aapne
meri ghazal ko pasand kiya. meri masroofiat ne mujhko aap sabse door kar diya hai. koshish karooNga ke ayendah bhi urdu bandhan per aata rahooN.
aapne kuchh alfaz ke mAni dryaft kiye hai jo has zail haiN :
tair-e-bismil = woh parindah jo marne ke qareeb ho yani jisko zabah kar diya gaya ho.
kar-e-sitam-zareef-e-amwaj = maujooN ke sitam ka kam
zanoob = gunah
ghazal ki psandeedgi ka shukriyah. ummed hai ke ayenda bhi yad rakheiNgi.
khair andaish
irfan barabankwi
Bahut bahut shukriyah
Posted: Tue Nov 22, 2005 4:12 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah
SARA SAHIBAH
tasleemat
aapka nawazish namah nazar nawaz hua. bahut bahut shukriyah.
bahut dino ke baAd mohtaram nazir sahib ke hukm per yeh ghazal likhne ki koshish ki thi. aalh ka shukr hai ke aap sabko pasand aayi. koshid karooNga ke ayendah bhi likhta rahooN. aapki sit masha allah bahut achhi chal rahi hai. mubarakbad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
Re: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Irfan Barabankwi - Jedda
Posted: Wed Nov 23, 2005 3:53 am
by Hashmat Usmani
salaam 'Irfaan saaHib,
aapkii Ghazal nazar_nawaaz huii aur hamesha kii taraH ham bahot maHzooz huye. bahot 'umda Ghazal paRhne ko mili mujhe. sabhii ash'aar zabardast haiN magar zel meN darj ash'aar kuchh ziyaada hii pasand aaye.
raqSaaN ajal hei Taair-e-bismil ke saamne
"maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne"
kaar-e-sitam-zareefiy-e-amvaaj dekhiye
kashti miri Diboyi hei saaHil ke saamne
Houtaa hei intikhaab bahut sakht us ghaRi
tarjeeH kaa sawaal hou jab dil ke saamne
hounaa thaa sarfaraaz use aur hougayaa
jhuktaa nahiN hei Haq kabhi baaTil ke saamne
MeHsoos mujhko rauZa-e-aThar pah yeh houaa
naaqiS khaRaa hei banda-e-kaamil ke saamne
raHmat bahut baRi hei hamaare zanoob se
jaise koii pahaaR hou ik til ke saamne
phoolaoN meiN unko Azm ne tabdeel kardiyaa
jou khaar aaye jaada-e-manzil ke saamne
detaa hei bus vohi unheN jeene kaa HauSlah
gulshan hei jou qafas meiN Anaadil ke saamne
auraoN kii mushkilaat ka jab tajziyhah kiyhaa
kaafi baRi lageeN miri mushkil ke saamne
daur-e-munaafiqat meiN use Haq navaa kahou
izhaar-e-Haq jou karsake meHfil ke saamne
ieemaan bik hii jaayegaa :Irfan: dekhnaa
rishwat rakhi hei munSif o Aadil ke saamne
yeh bhii Khoob rahii...ba_Khuda, sochaa thaa 4-5 ash'aar nikleNge aise magar yeh maajra bhii dekhiiye k ek ek she'r kuchh aisaa bhaayaa ki kisi ek ko tarjeeH denaa mujh se na ban paRaa...bahot Khoob. subHaan Allah
faqat Khaak_nashiiN,
Hashmat
Re: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Irfan Barabankwi - Jedda
Posted: Wed Nov 23, 2005 6:15 am
by haamidbaaqri
irfan barabankwi wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-meHfil,
aadaab,
Guzarish 11 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kii saAaadat Haasil karrahaa hooN. Ummeed ke apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL
raqSaaN ajal hei Taair-e-bismil ke saamne
"maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne"
kaar-e-sitam-zareefiy-e-amvaaj dekhiye
kashti miri Diboyi hei saaHil ke saamne
Houtaa hei intikhaab bahut sakht us ghaRi
tarjeeH kaa sawaal hou jab dil ke saamne
hounaa thaa sarfaraaz use aur hougayaa
jhuktaa nahiN hei Haq kabhi baaTil ke saamne
MeHsoos mujhko rauZa-e-aThar pah yeh houaa
naaqiS khaRaa hei banda-e-kaamil ke saamne
raHmat bahut baRi hei hamaare zanoob se
jaise koii pahaaR hou ik til ke saamne
phoolaoN meiN unko Azm ne tabdeel kardiyaa
jou khaar aaye jaada-e-manzil ke saamne
detaa hei bus vohi unheN jeene kaa HauSlah
gulshan hei jou qafas meiN Anaadil ke saamne
auraoN kii mushkilaat ka jab tajziyhah kiyhaa
kaafi baRi lageeN miri mushkil ke saamne
daur-e-munaafiqat meiN use Haq navaa kahou
izhaar-e-Haq jou karsake meHfil ke saamne
ieemaan bik hii jaayegaa :Irfan: dekhnaa
rishwat rakhi hei munSif o Aadil ke saamne
=======
Khair Andesh,
Irfan Barabankwi
salaamun alaikum
mohtaram irfan barabankawi saahib
masha allah
bahut hee umda ghazal pesh kee hai aapne.bahut khoob
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaada
taalibe dua
haamidbaaqri
Posted: Wed Nov 23, 2005 6:29 am
by farhan
Irfan Saheb
Bahut, Khoob Irfan Saheb
bahut hi khoob ,
raHmat bahut baRi hei hamaare zanoob se
jaise koii pahaaR hou ik til ke saamne
kya hi khoob shair kaha aapnay
mujhay bahut pasand aayaa
Jazakallah
Thankx for sharing
Farhan
Bahut bahut shukriya
Posted: Mon Dec 05, 2005 3:32 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
HASHMAT SAAHIB
salam-e-masnoon
aik muddat-e-madeed ke bad aapka nawazish namah nazar nawaz hua.
ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukriyah. aap jaise ahl-e-ilm ki dad pakar meri ghazal moAtabar ho jati hai. himmat afzayi ka bahut bahut shukriyah.
khair andiash
irfan barbankwi
Bahut bahut shukriyah
Posted: Mon Dec 05, 2005 3:36 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
HAAMID BAQRI SAAHIB
salam-e-masnoon
aapka nawazish namah paRhkar bahut khushi hoi. aap jaise achhey
shOra ki dad mere lye sanad ka darja rakhti hai. ummeed hai ke ayendah bhi aap is nacheez ki hauslah afzayi farmate raheiNge.
khair andaish
irfan barabankwi
Bahut achchi ghazal hei aapki
Posted: Mon Dec 05, 2005 3:39 pm
by irfan barabankwi
janab
FARHAN SAAHIB
salam pesh karta hoon
aapka maktoob nazar nawaz hu. ghazal ke psandeedgi ka bahut bahut shukriyah. ummed hai ke ayendah bhi apni mohabbatoN meiN yad rakheiNge.
khair andaish
irfan barbankwi
Bahut khoob waah waah
Posted: Wed Dec 14, 2005 7:33 pm
by Abdullah Nazir
Janab
Irfan Barabankwi SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool keejiye. Ummeed ke isi TaraH se aap shirkat karte raheNge.
Aapka MukhliS,
Nazir.