"ho jaana"hamaari taaza tarhi ghazal
Posted: Sun Nov 13, 2005 4:42 am
salaamun alaikum
dosto
apni adna see kaavish lekar aaye hai.n.
gar qubool uftad zahe...
mulaahiza ho.n
dekhna tum na kabhie haq se juda ho jaana
jaan bhi maange agar haq to fida ho jaana
rab ki nazro.n mei.n tu insaan saraapa bankar
misl sone ke mere bhai khara ho jaana
shukr per shukr bhi laazim hai tere bando.n per
ghair mumkin hai tere haq ka ada ho jaana
haqpe chalne ko yaha.n koyeebhi tayyaar nahi.n
har koyee chaahe zamaane ka bhala ho jaana
dhaal bante hai.n bure waqt me.in apne hi tere
rishtedaro.n se kabhie tum na khafa ho jaana
chaahiye qurbe ilaahi to jahaa.n mei.n haamid
"rote rote ghame furqat mei.n fana ho jaana"
taalibe dua
haamidbaaqri