Page 1 of 1

tarhi ghazal guzaarish#11 by haamidbaaqri

Posted: Mon Nov 14, 2005 7:11 am
by haamidbaaqri
salsalaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish peshe khidmat hai
mulaahiza ho.n

yu.n jhukgaya hai dil mera aadil ke saamne
"mai.n sar jhukaaye baitha hoo.n qaatil ke saamne"

phailaata kyu.n hai haath ke'h tujh mei.n hai kaayenaat
lab per mere ye bol they saayil ke saamne

mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne

taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood
aamun alaikum

moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne

gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne

haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne

nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah