Page 1 of 1
tarhi ghazal guzaarish#11 by haamidbaaqri
Posted: Mon Nov 14, 2005 7:21 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish peshe khidmat hai
mulaahiza ho.n
yu.n jhukgaya hai dil mera ^aadil ke saamne
"mai.n sar jhukaaye baitha hoo.n qaatil ke saamne"
phailaata kyu.n hai haath ke'h tujh mei.n hai kaayenaat
lab per mere ye bol they saayil ke saamne
mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne
taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne
gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne
haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne
nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
Re: tarhi ghazal guzaarish#11 by haamidbaaqri
Posted: Mon Nov 14, 2005 12:11 pm
by Shummu
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish peshe khidmat hai
mulaahiza ho.n
mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne
taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne
gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne
haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne
nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
wah wah wahhhhhhhhh bahut khoob..itni pyaari ghazal kahi hai aapne..quoted ash'aar to lajwaab hai!
dili daad pesh-e-khidmat hai
Adaab,
Shumaila
Re: tarhi ghazal guzaarish#11 by haamidbaaqri
Posted: Mon Nov 14, 2005 1:43 pm
by haamidbaaqri
Shummu wrote:haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish peshe khidmat hai
mulaahiza ho.n
mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne
taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne
gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne
haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne
nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
wah wah wahhhhhhhhh bahut khoob..itni pyaari ghazal kahi hai aapne..quoted ash'aar to lajwaab hai!
dili daad pesh-e-khidmat hai
Adaab,
Shumaila
salaamun alaikum
mohtaram shumaila saahibah
aapki purkhuloos daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
mukhlis
haamidbaaqri
Re: tarhi ghazal guzaarish#11 by haamidbaaqri
Posted: Mon Nov 21, 2005 6:00 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:haamidbaaqri wrote:
yu.n jhukgaya hai dil mera ^aadil ke saamne
"mai.n sar jhukaaye baitha hoo.n qaatil ke saamne"
wah wah! bohat khoob girah lagaayi hai.
phailaata kyu.n hai haath ke'h tujh mei.n hai kaayenaat
lab per mere ye bol they saayil ke saamne
bohat khoob!
mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne
kya kehne saaheb!
taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne
very nice!
gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne
very nice!
haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne
Ameen bohat ache!
nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
hamid sahib,
adaab arz hei
ghazal mukhtasir lekin bohat hi mainekhaiz ashaar jo muhe bohat pasand aaye . daad qubool keejiye.
sara
mohtarama sara saahebah
salaamun alaikum
aapki daad ka yeh naya andaaz hame.n bahut pasand aaya.aapko hamaare ash^aar pasand aaye yeh baat aapki purkhloos daad mei.n hame.n nazar aati hai.shukriya
salaamat rahe.n aur sadaa khush rahe.n
haamidbaaqri
Bahu khoob
Posted: Mon Dec 05, 2005 3:16 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
HAMID SAHIB
purkhuloos salam
aaj pehli bar aapka khoobsurat kalam nazar se guzra. wah bahut achhi ghazal aapne pesh ki hai. meri janib se dili dad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
Re: Bahu khoob
Posted: Fri Dec 09, 2005 5:48 am
by haamidbaaqri
irfan barabankwi wrote:mohtaram
HAMID SAHIB
purkhuloos salam
aaj pehli bar aapka khoobsurat kalam nazar se guzra. wah bahut achhi ghazal aapne pesh ki hai. meri janib se dili dad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
mohtaram irfan saahib
salaamun alaikum
aapki daad bhi hamaare liye sanad hai.bahut bahut shukriya
.jazakallah
allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Bahut khoob
Posted: Sat Dec 10, 2005 4:02 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Guzarish 11 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal maiN ne bahut pahle naql karli thii jo mujhe beHad pasand aayi. MaiN is ghalaTfehmi meiN rehgayaa ke is per tabSirah karchukaa thaa. Aaj yeh inkishaaf houaa ke mujh se bhool hougaie.
yu.n jhukgaya hai dil mera ^aadil ke saamne
"mai.n sar jhukaaye baitha hoo.n qaatil ke saamne"
phailaata kyu.n hai haath ke'h tujh mei.n hai kaayenaat
lab per mere ye bol they saayil ke saamne
mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne
taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne
gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne
haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne
Saare ke saare ashAar aap ke apne rang meiN bahut achche heiN, jin ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:00 am
by rahmed25682
Salam Haamid sahab....
Aik umda ghazal share karnay ka bohat bohat shukria..
ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Re: Bahut khoob
Posted: Sun Dec 11, 2005 6:26 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Guzarish 11 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal maiN ne bahut pahle naql karli thii jo mujhe beHad pasand aayi. MaiN is ghalaTfehmi meiN rehgayaa ke is per tabSirah karchukaa thaa. Aaj yeh inkishaaf houaa ke mujh se bhool hougaie.
yu.n jhukgaya hai dil mera ^aadil ke saamne
"mai.n sar jhukaaye baitha hoo.n qaatil ke saamne"
phailaata kyu.n hai haath ke'h tujh mei.n hai kaayenaat
lab per mere ye bol they saayil ke saamne
mehnat ke saath saath ho gar housla buland
khud ko khada tu paayega manzil ke saamne
taareek aik raa'h to roushan hai doosri
moujood do hai.n raaste ^aaqil ke saamne
gar chaahta hai roushni haq per hamesha chal
sar mat jhukaana tu kabhie baatil ke saamne
haamid qalam se tere hamesha ho haq bayaa.n
ghaalib ho teri ^aql sada dil ke saamne
Saare ke saare ashAar aap ke apne rang meiN bahut achche heiN, jin ke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum
koyee baat nahi.n mohtaram.aapko hamaari adna see kaavish pasand aayee yeh jaankar hame.n badi khushee huee.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
shukriya
Posted: Sun Dec 11, 2005 6:29 am
by haamidbaaqri
rahmed25682 wrote:Salam Haamid sahab....
Aik umda ghazal share karnay ka bohat bohat shukria..
ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
salaamun alaikum
mohtaram rahmed saahib
aapki daad aur duao.n keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.jazakallah
aapka mukhlis
haamidbaaqri