Page 1 of 1

"ke din aa rahe hai.n"tarhi ghazal

Posted: Tue Nov 15, 2005 5:29 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
apni adna see kaavish peshe khidmat hai
gar qubool uftad zahe...........

arz kiya hai

maseeha ke aane ke din aa rahe hai.n
"chaman ko sajaane ke din aa rahe hai.n"

ab insaan ban baitha insaa.n ka dushman
kaho gham uthaane ke din aa rahe hai.n.

hasad ke dilo.n mei.n bhadakte hai.n sholay
ke'h khud ko jalaane ke din aa rahe hai.n

zamaane mei.n zaalim ka hai bol baala
qiyaamat ke aane ke din aa rahe hai.n

tu mohlat ko apni ghaneemat samajhle
tujhe mout aane ke din aa rahe hai.n

hisaab apna kar lena marne se pahley
kiyaa jo wo'h paane ke din aa rahe hai.n

bita nekiyo.n mei.n ye lamhe tu haamid
ke duniya se jaane ke din aa rahe hai.n

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Posted: Sat Nov 19, 2005 10:48 pm
by Ibn-e-siddique
Hamid saHib

salaam arz hai

aap ki ye ghazal hameN bahot pasand aayee

hamaari jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiN

amjad

shukriya

Posted: Sun Nov 20, 2005 11:22 am
by haamidbaaqri
Ibn-e-siddique wrote:Hamid saHib

salaam arz hai

aap ki ye ghazal hameN bahot pasand aayee

hamaari jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiN

amjad
wa alaikumussalaam
mohtaram amjad saahib

aapki musalsal mukhlisaana aur ^aarifaana daad se hamaari musalsal hausla afzaayee ho rahi hai.shukriya
allah(sbhnwt)ki aap per khwaas nazre karam ho.aameen


mukhlis
haamidbaaqri

Re: "ke din aa rahe hai.n"tarhi ghazal

Posted: Mon Nov 21, 2005 5:45 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:Hamid sahib,

salaam.

hamesha ki tarah aapki ye ghazal bhi pasand aayi. aapke ashaar haqeeqat ka aiina hote hain aur unhe aap bohat hi umdah
alfaz mein sajaate hain.

daad qubool keejiye

sara
haamidbaaqri wrote: maseeha ke aane ke din aa rahe hai.n
"chaman ko sajaane ke din aa rahe hai.n"

ab insaan ban baitha insaa.n ka dushman
kaho gham uthaane ke din aa rahe hai.n.

hasad ke dilo.n mei.n bhadakte hai.n sholay
ke'h khud ko jalaane ke din aa rahe hai.n

zamaane mei.n zaalim ka hai bol baala
qiyaamat ke aane ke din aa rahe hai.n

tu mohlat ko apni ghaneemat samajhle
tujhe mout aane ke din aa rahe hai.n

hisaab apna kar lena marne se pahley
kiyaa jo wo'h paane ke din aa rahe hai.n

bita nekiyo.n mei.n ye lamhe tu haamid
ke duniya se jaane ke din aa rahe hai.n

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
wa alaikumussalaam
mohtarama sara saahibah

aapki purkhuloos,^aarifaana daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
aapko hamaari ghazal pasand aayee yeh jaankar hame.n badi khushee huee.jazakallah


khush rahe.n.
haamidbaaqri