Page 1 of 1
TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.11) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Wed Nov 16, 2005 4:28 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab=e=sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Guzarish 11 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
shikvah karuN ke chup rahuN meHfil ke saamne
Hairaan hooN maiN kashmakash-e-dil ke saamne
Yeh souchkar keh jaan muHabbat meiN jaayegi
"ham sar jhukaaye baiThe heiN qaatil ke saamne"
izhaar-e-shauq karne se peeche nah huT sake
rakhdi hei dil kii baat tire dil ke saamne
jaam-e-sharab-e-nau meiN hei tehzeeb kaa nashah
maikhwaar heiN hazaarouN masaayil ke saamne
Houkar shaheed-e-tegh-e-sitam bhii hooN surkhroo
Gardan miri jhuki nahiN baaTil ke saamne
Ai khusrau-e-zamaanah miri aankh khul gaiee
Phailaarahaa thaa haath maiN saayil ke saamne
Izhaar-e-Haal-e-dil ki ijaazut agar nah hou
Gulshan hei khaarzaar Anaadil ke saamne
Lailaa ko apne Qais kii shayad khabar nahiN
Pardah paRaa houaa hei jou meHmil ke saamne
Pesh aaye wo khulooS se yaa mujhko touRde
Aayieenah saa hooN madd-e-muqaabil ke saamne
Haaraa nahiN hooN HauSlah maiN raah-e-shauq meiN
aasaaniyaoN kii fikr hei mushkil ke saamne
Hairaan kardiyaa mujhe rehzan kii chaal ne
Manzil se jaise door hooN manzil ke saamne
Toofaan-e-dard o gham se tou bachnaa muHaal thaa
Qismat ne laake chouRaa hei saaHil ke saajmne
meHroomiyaoN kaa zikr bhalaa kis liye karuN
jab mas'alah hei munSif o Aadil ke saamne
Nazir: kaa ahl-e-sheAr o sukhan meiN muqaam kyaa
Zarrah hou jaise ik mah-e-kaamil ke saamne
=======
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.11) by: ABDULLAH NAZIR.
Posted: Wed Nov 23, 2005 6:00 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab=e=sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
Guzarish 11 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
shikvah karuN ke chup rahuN meHfil ke saamne
Hairaan hooN maiN kashmakash-e-dil ke saamne
Yeh souchkar keh jaan muHabbat meiN jaayegi
"ham sar jhukaaye baiThe heiN qaatil ke saamne"
izhaar-e-shauq karne se peeche nah huT sake
mkhdi hei dil kii baat tire dil ke saamne
jaam-e-sharab-e-nau meiN hei tehzeeb kaa nashah
maikhwaar heiN hazaarouN masaayil ke saamne
Houkar shaheed-e-tegh-e-sitam bhii hooN surkhroo
Gardan miri jhuki nahiN baaTil ke saamne
Ai khusrau-e-zamaanah miri aankh khul gaiee
Phailaarahaa thaa haath maiN saayil ke saamne
Izhaar-e-Haal-e-dil ki ijaazut agar nah hou
Gulshan hei khaarzaar Anaadil ke saamne
Lailaa ko apne Qais kii shayad khabar nahiN
Pardah paRaa houaa hei jou meHmil ke saamne
Pesh aaye who khulooS se yaa mujhko touRde
Aayieenah saa hooN madd-e-muqaabil ke saamne
Haaraa nahiN hooN HauSlah maiN raah-e-shauq meiN
aasaaniyaoN kii fikr hei mushkil ke saamne
Hairaan kardiyaa mujhe rehzan kii chaal ne
Manzil se jaise door hooN manzil ke saamne
Toofaan-e-dard o gham se tou bachnaa muHaal thaa
Qismat ne laake chouRaa hei saaHil ke saajmne
meHroomiyaoN kaa zikr bhalaa kis liye karuN
jab mas'alah hei munSif o Aadil ke saamne
Nazir: kaa ahl-e-sheAr o sukhan meiN muqaam kyaa
Zarrah hou jaise ik mah-e-kaamil ke saamne
=======
Aapka Mukhlis,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum
ustad ustad hote hai.n.aapki yeh tarhi ghazal bahut hee umda hai.hame.n saare ke saare ash^aar pasa.nd aaye
khaas taur se maqta. bhai wahhhhh....................
hamaari dilee daad qubool farmaakar hame.n shukriye ka mouqa de.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Shukriyah
Posted: Mon Nov 28, 2005 6:18 am
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Saara Saahibah,
- -- -
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapko meri TaraHi ghazal pasand aayi aur aap ne apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe mamnoon farmaayaa.
Ummeed hei ke aayindah bhi isi TaraH se Hauslah afzaayi farmaati rehengi. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.