Page 1 of 1
"mout"aik nazm peshe khidmat hai
Posted: Wed Nov 16, 2005 5:49 am
by haamidbaaqri
arz kiya hai
"mout"
insaa.n ki rooh jism ke pinjre mei.n qaid thi
aakar ajal ne rooh ka dil shaad kardiya
ahsaan maan mout ka naadaan tu na ban
barso.n ki qaid se tujhe aazaad kardiya
insaa.n ko chaahiye ke sabaq mout se woh le
beshak yeh kaam apna bakhoobi nibhaati hai
har laailaaj dard ka darmaa.n hai dosto
har khaaso aam shakhs ke yeh kaam aati hai
gar haadise ki mout se bachna hai dosto
khulkar khuda ki raah mei.n sadqa diya karo
allah bakhsh dega tumhare bade gunaah
har mustahaq ki chup ke madad tum kiya karo
sheeree.n shahad ke jaisi kisi ke liye hai mout
aur talkh zahr se bhi kisee keliye hai mout
dahshat kisee ke dil mei.n kahee.n itmenaan hai
dulhan nayee naveli kisee ke liye hai mout
haamid khuda ka shukr sada tum kiya karo
har pal ajal ko zahn mei.n apne rakha karo
aasaan hongi tumpe qiyaamat ki sakhtiyaa.n
tum apne rishtedaro.n ke haq ko ada karo
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
shukriya
Posted: Thu Nov 17, 2005 4:33 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:baaqri sahib kitne sahal lafzon mein aapne aek sachai bayan ki hai....
nazm dil ko chuu gayi......aek umdah nazm ke liye daad qubool keejiye.
sara
mohtarama sara saahebah
salaamun alaikum
aapki purkhuloos daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen.
hum aapko yaad dilaana chaahe.nge keh aapne hum se kaha tha keh hamaari hamd"lamakaa.n too hai"ko urdu rasmulkhat mei.n pesh karne kee koshish kare.ngee....hame.n uska intezaar hai.
mukhlis
haamidbaaqri
Bahut khoob
Posted: Thu Nov 17, 2005 9:49 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki nazm "maut" bahut pasand aayi jiske liye khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: Bahut khoob
Posted: Thu Nov 17, 2005 5:35 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki nazm "maut" bahut pasand aayi jiske liye khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
mohtaram nazir saahib
salaamun alaikum
aapne hamaari nazm ko pasand kiya hamaari mehnat kaamiyaab huee.aapki purrkhuloos daad ke hum behad mamnono mashkoor hai.n.
allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Re: shukriya
Posted: Thu Nov 17, 2005 5:37 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:haamidbaaqri wrote:sara_j wrote:baaqri sahib kitne sahal lafzon mein aapne aek sachai bayan ki hai....
nazm dil ko chuu gayi......aek umdah nazm ke liye daad qubool keejiye.
sara
mohtarama sara saahebah
salaamun alaikum
aapki purkhuloos daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen.
hum aapko yaad dilaana chaahe.nge keh aapne hum se kaha tha keh hamaari hamd"lamakaa.n too hai"ko urdu rasmulkhat mei.n pesh karne kee koshish kare.ngee....hame.n uska intezaar hai.
mukhlis
haamidbaaqri
baaqri sahib maine usi waqt aapki hmad urdu mein likhli thi
lekin masroofiyet ke ba'is us per kaam nahi karsaki lekin ab
"aapne yaad dilaya tou mujhe yaad aya" jald hi pesh karungi.
shukriya mohtarama sara saahibah
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri
Re: bahut khoob
Posted: Sat Nov 19, 2005 5:40 am
by haamidbaaqri
dunya wrote:
Janab Haamid Baaqri Saahib,
aadaab o tasleemaat,
HameN aapki nazm bahut pasand aayi jiske liye daad Haazir hei.
Ummeed ke aap isi TaraH se apne kalaam se navaazte rahenge aur hameN luTf-andouz houne kaa mauqaA miltaa rahega.
Khair andes,
dunya,
mohtarama duniya saahibah
salaamun alaikum
aapki mukhlisaana daad ka bahut bahut shukriya mohtarama.jazakallah.
dua farmaaye.n keh allah(sbhnwt)hamaari is fikr ko qaayem rakkhe.
khush rahe.n
mukhlis
haamidbaaqri
Posted: Sat Nov 19, 2005 10:37 pm
by Ibn-e-siddique
Mohtaram Hamid saHib
salaam arz hai
hamesha ki tarah aap ke Hassaas qalam se aik aur umda takhleeq. "maut" ka zikr itne khoobsurat andaaz mein kia goya maut ki talkhi aur khauf kam mehsoos hone lage.
gar haadise ki mout se bachna hai dosto
khulkar khuda ki raah mei.n sadqa diya karo
allah bakhsh dega tumhare bade gunaah
har mustahaq ki chup ke madad tum kiya karo
sheeree.n shahad ke jaisi kisi ke liye hai mout
aur talkh zahr se bhi kisee keliye hai mout
dahshat kisee ke dil mei.n kahee.n itmenaan hai
dulhan nayee naveli kisee ke liye hai mout
haamid khuda ka shukr sada tum kiya karo
har pal ajal ko zahn mei.n apne rakha karo
aasaan hongi tumpe qiyaamat ki sakhtiyaa.n
tum apne rishtedaro.n ke haq ko ada karo
hamaari jaanib se is umda nazm per daad qubool farmaaiN
Amjad
shukriya
Posted: Sun Nov 20, 2005 11:17 am
by haamidbaaqri
Ibn-e-siddique wrote:Mohtaram Hamid saHib
salaam arz hai
hamesha ki tarah aap ke Hassaas qalam se aik aur umda takhleeq. "maut" ka zikr itne khoobsurat andaaz mein kia goya maut ki talkhi aur khauf kam mehsoos hone lage.
gar haadise ki mout se bachna hai dosto
khulkar khuda ki raah mei.n sadqa diya karo
allah bakhsh dega tumhare bade gunaah
har mustahaq ki chup ke madad tum kiya karo
sheeree.n shahad ke jaisi kisi ke liye hai mout
aur talkh zahr se bhi kisee keliye hai mout
dahshat kisee ke dil mei.n kahee.n itmenaan hai
dulhan nayee naveli kisee ke liye hai mout
haamid khuda ka shukr sada tum kiya karo
har pal ajal ko zahn mei.n apne rakha karo
aasaan hongi tumpe qiyaamat ki sakhtiyaa.n
tum apne rishtedaro.n ke haq ko ada karo
hamaari jaanib se is umda nazm per daad qubool farmaaiN
Amjad
wa alaikumussalaam
mohtaram amjad saahib
hame.n khushee hai keh aapne is nazmko pasand kiya.jab humne yeh nazm kahee thee hum soch rahe they kee shaayed ahbaab is ko padhne se guraiz kare.nge.lekin aapki purkhloos daadse waaqayee hamaari hausla afzaayee huee hai.
salaamat rahe.n
taalibe dua
khaaksaar
haamidbaaqri