Page 1 of 1
Guzarish @1 ke misreA per Tarahi Ghazal. Irfan Barabankwi.
Posted: Wed Jan 12, 2005 6:22 pm
by irfan barabankwi
Muhtaramaat o MuHtarameen
Ahbab-e-sukhan,
Aadaab o Tasleemaat,
Urdubandhan kii Guz.No.1 ke misreA per apni Tarahi ghazal paish karne kii sa'Aadat haasil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni qeemati aaraa se mustafeed houne ka mauqaA denge. Shukriya.
Khair Andesh,
Irfan.
Posted: Wed Jan 12, 2005 7:01 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,
moHtarami Irfan SaaHib,
aap jaise kuhna-mashq shaai'r aur SaaHib-e-i'lm se yaqeena" aek aisee hi ghazal ki tawaqqu' thee :D .
aap ka ustaadaana aur fankaaraana rang ba-khoobi aap ki ghazal se chalaktaa nazar aataa hai :) . bayaan maiN raa'naai , khayaalat maiN baa-waqaar bulandee, alfaaz ka maahiraana intekhaab , yaqeena" aap ka khaaSSa raha hai. mujhe aap ki yeh kaavish bhi Hasb-e-maa'mool jee jaan se pasand aayee . meri jaanib se DheroN daad qabool kejeye. shukriya
mokhliS : Zia Baloch
Posted: Thu Jan 13, 2005 5:02 am
by Hashmat Usmani
salaam moHtaram janaab e Irfan saaHib,
janaab e Zia saaHib ke ta'reefii kalimaat ke ba'd maiN aur kia kah saktaa huuN sivaaye iske ki maiN unke tajziye se Harf ba Harf muttafiq huuN...bajaa farmaayaa hai bilkul Zia saaHib ne.
aapke maqt'e ne mujhe AsGhar GoNdvii ke is she'r kii yaad dilaa dii:
chalaa jaataa huuN haNstaa, kheltaa mauj-e-Hawaadis se
agar aasaaniiyaaN hoN, zindagii dushwaar ho jaaye
Allah kare zor e qalam aur ziyaada. ek achchhi Ghazal par daad qubool kijiiye.
faqat Khaak_nashiiN,
Hashmat
Posted: Wed Jan 19, 2005 2:24 pm
by tahira Masood
MoHteram Irfan saheb
salaam
aapki ghazal peRhi beHad apsaNd aae. ilfaaz kaa intekhaab aur qaifay bohat umdah ist'Amaal kiay haiN aap ne.
daad qabuul fermaaeiN.
wassalam
bahut bahut shukriyah
Posted: Sun Jan 30, 2005 1:41 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
STARMIND (ZIA BALOCH SAAHIB)
salam khuloos
hasb-e-mAmool sab ke jawabat kuchh takheer se de raha hooN. ummeed hai ke muAaf farmayeNge kiyoNke "hoi takheer to kuchh bais-e-takheer bhi tha". baharhal aapki hauslah afzayi ne dil bagh bagh kar diya. zia bhai yeh aapki zarrah nawazi hai wanrah yeh nacheez to kisi layeq nahi.
yeh sab aapka hun-enazar hai jo mere ashaar ko is tarah sarahte haiN.
darasl aap sabki hauslah afzayi hi meri ghazal goi ki jan hai balke tahreek hai aur ummeed hai ke ayendah bhi aap nawazte raheiNge. shukriyah
khair andaish
irfan barabankwi
shukriyah
Posted: Sun Jan 30, 2005 1:46 pm
by irfan barabankwi
mohtaram janab
HASHMAT USMANI SAAHIB
salam-e-masnoon
aapka maktoob kafi takheer se aaj nazar nawaz hua. ghazal ki pazirai ka bahut bahut shukriyah. aap jaise ahl-e-nazar aur ahl-e-qalam ki daad mere liye yaqeenan ki sanad se kam nahi hai. ummeed hai ke ayenda bhi aap mera hausaah badhate raheiNge.
jawab ki takheer ke liye mAzarat chahta hooN. shukriyah
khair andaish
irfan barabankwi
bahut bahut shukriyah
Posted: Sun Jan 30, 2005 1:49 pm
by irfan barabankwi
mohataramah
SARA JABEEN SAAHIBAH
purkhulos tasleemat
aaj aapka tabsirah nazar nawaz hua. ghazal ki pasandeedgi ka bahut bahut shukriyah. ayendah bhi aapse isi tarah ki hauslah afzayi ki ummeed trakhta hooN. shukriyah
khair andaish
irfan barabankwi
bahut bahut shukriyah
Posted: Sun Jan 30, 2005 1:55 pm
by irfan barabankwi
mohtaramah
TAHIRA MASOON SAAHIBAH
pukhuloos tasleemat
aaj aapka maktoob basrah nawaz hua. ghazal ki pazirahi ke liye aapka bahut mamnoon hooN. darasl aap jaise ahl-e-qalam aur qadrdaan hi mujhe ghazal goi hi tahreek dete haiN. ummed hai ke aap isi tarah hamesha mujhey hauslah deti rhaeiNgi. shukriyah
khair andaish
irfan barabankwi