Page 1 of 1

Taaza tarahi ghazal pesh hai.....

Posted: Thu Nov 17, 2005 7:44 pm
by Shummu
Salaam ahl-e-bazm!

ek taaza tareen tarahi ghazal pesh-e-khidmat hai...ghazal ki tawaalat ke liye mu'aazrat khwaah hoon magar bas ye behr hi aisi hai ke apne aap se ashaar hote chale jaate hain....ummeed hai aap sab ko meri ye adna si koshish pasand aayegi

1.
hunar aazmaane ke din aa rahe haiN
use ab bhulaane ke din aa rahe haiN

2.
shamaa ko bujhaane ke din aa rahe haiN
ya khud ko jalaane ke din aa rahe haiN?

3.
dukhoN ko ghaTaane ke din aa rahe haiN
khushii ko baRhaane ke din aa rahe haiN

4.
guloN kii zubaanii sunaa kal ye maine
'chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN '

5.
GhamoN ko bhulaakar chalo muskuraayeiN
keh haNsne haNsaane ke din aa rahe haiN

6.
mirii shaa'irii ko jilaa baksh do tum
Ghazal gungunaane ke din aa rahe haiN

7.
huwe aaj jalwaa numaa is qadar kyoN?
tabaahii machaane ke din aa rahe haiN?

8.
sunaa aa rahii hai wo barq-e-tajallii
nasheman bachaane ke din aa rahe haiN

9.
miraa haath choRaa jo tum ne qasam se
lagaa daGmagaane ke din aa rahe haiN

10.
dil-e-bekhabar ko khabar ye nahin hai
naye zakhm khaane ke din aa rahe haiN

11.
kabhi toR laaoo sitaare falak se
keh aanchal sajaane ke din aa rahe haiN

12.
phir usko rulaayaa bahut aaj maine
phir usko manaane ke din aa rahe haiN

13.
woh shabnam jo gir ke tire lab pe Thehrii
wo shabnam churaane ke din aa rahe haiN

14.
aseeroN ko zulfoN se aazaad kar do
rihaayii manaane ke din aa rahe haiN

15.
bahut sun liye Heer Raanjhe ke qisse
kuch apnii sunaane ke din aa rahe haiN

16.
ikhaTTa karo kiRchiyaaN khwaab kii tum
keh sapne sajaane ke din aa rahe haiN

17.
khule aam hai qatl-o-Ghaarat ka manzar
ye kaise zamaane ke din aa rahe haiN?

18.
agar ho sake to ise aaj see lo
girebaaN dikhaane ke din aa rahe haiN

19.
muqaddar ne diN haiN baDii mujh ko maateiN
ab isko haraane ke din aa rahe haiN

20.
nayii soch ke deep aaoo jalaayeiN
puraane bujhaane ke din aa rahe haiN

---------------------------------------------------------------


Shumaila

Posted: Thu Nov 17, 2005 9:34 pm
by naheedv

Dear Shumaila,

kaisee ho?
buhat din ke ba'd maiN mehfil meN aayi hooN, aur tumhaari ghazal daikhee tau paRhnaa laazmi ho geyaa :grin:

ghazal kyaa hai aik taveel khud.kalaami see hai :P, her she'r hee saadah magar phir bhee pur.acar hai. ghazal kee zameen buhat hi zarkhaiz hai, iss liye ghazal kee tavaalat ke liye ma'zara khawaah mat hoN ke aap kee jaga koyee bhee hotaa, tau yahi haal hotaa.
mujhey khushi hai ke buhat arse ke ba'd tumhaara koyee kalaam paRhne ko milaa hai. umeed hai ke aa'iNdah bhee ye tehreek jaari rakho gee :lol:

aur haaN, ghazal kee mubaarak.baad denaa tau maiN bhool hee gayee :oops:
tau lijiye janaab iss payaari see ghazal par meree mukhlisaana mubaarakbaad haazir hai. khuda kare zor.e.qalam aur zeyaadah!

mukhliS
Naheed

Bahut khoob

Posted: Fri Nov 18, 2005 1:07 am
by Abdullah Nazir

Azeezah
S H U M M U

Purkhuloos Tasleemaat,

Waah waah, aap ne tou bahut hi achchi ghazal kahi hei. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Isi TaraH se agar aap apni mashq-e-sukhan jaari rakhkhengi tou mujhe bahut khushi hougi.

SheAr No.2 ke pahle miSreA meiN aap ne boul chaal kaa lafz "shamaA" isteAmal kiyaa hei. Asl lafz tou "shamA" hei, Harf "meem" per sukoon yaa juzm ke saath jaise:
(shamA ke jalne se parvaanah bhii jaaN se jaayegaa".

aayindah khayaal rakhiye gaa.


Aapkaa Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sat Nov 19, 2005 10:29 pm
by Ibn-e-siddique
shumaila saHiba

salaam arz hai

mashallah aap ke liye ye zameen bahot zarkheiz caabit hui, ye baat aap ki shaa'iraana salaaHiyyatoN ki daleel bhi hai

she'r no. 2 mein aap se choTi si ghalati ho gayee :P , jis ki janib Mohtaram Nazir saHib ishaara kar chuke hain

jo ash'aar mujhe pasand aaye, voh darj-e-zail hain:
guloN kii zubaanii sunaa kal ye maine
'chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN '

GhamoN ko bhulaakar chalo muskuraayeiN
keh haNsne haNsaane ke din aa rahe haiN

huwe aaj jalwaa numaa is qadar kyoN?
tabaahii machaane ke din aa rahe haiN?

sunaa aa rahii hai wo barq-e-tajallii
nasheman bachaane ke din aa rahe haiN

kabhi toR laaoo sitaare falak se
keh aanchal sajaane ke din aa rahe haiN

phir usko rulaayaa bahut aaj maine
phir usko manaane ke din aa rahe haiN

bahut sun liye Heer Raanjhe ke qisse
kuch apnii sunaane ke din aa rahe haiN

muqaddar ne diN haiN baDii mujh ko maateiN
ab isko haraane ke din aa rahe haiN
tazmeen khoob hai, aur muqaddar vaala she'r bhi bahot umda hai

daad Haazir hai, qubool farmaaiN

amjad

Posted: Sun Nov 20, 2005 12:28 pm
by Shummu
Dear NAHEED sisssssssssss..kahan rahin aap itne din? really missed u... aksar yaad karti thi ke pata nai aajkal aap kahan hain..nazar hi nahi aatin..ye meri ghazal ki khushqismati hai ke aap aayin aur apne khoobsurat comments se nawaazaa... aap ko dekh kar itni khushi hui ke bata nahi sakti....bahut din se aap ka bhi koi kalaam nahi dekha..jald kuch post kijiyega :biggrin:

ye misra ST pe diya gaya tha aur paRhte hi raaton raat ghazal ho gayi... kisi ne mujhe toka tha 20 ashaar pe isliye muazarat kar li pehle hi sab se baaqi mehfilon mein :-)

aap ki daad sar aankhon pe....thank u so much :grin: ek aur ghazal urduduniya ke mushaire mein bhi post ki hai aaj hi :angel:

Accha chalti hoon..take care...!

K'hafiz,
Shumaila

Re: Bahut khoob

Posted: Sun Nov 20, 2005 12:35 pm
by Shummu
WEBMASTER wrote:
Azeezah
S H U M M U

Purkhuloos Tasleemaat,

Waah waah, aap ne tou bahut hi achchi ghazal kahi hei. Is kaamyaab kaavish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Isi TaraH se agar aap apni mashq-e-sukhan jaari rakhkhengi tou mujhe bahut khushi hougi.

SheAr No.2 ke pahle miSreA meiN aap ne boul chaal kaa lafz "shamaA" isteAmal kiyaa hei. Asl lafz tou "shamA" hei, Harf "meem" per sukoon yaa juzm ke saath jaise:
(shamA ke jalne se parvaanah bhii jaaN se jaayegaa".

aayindah khayaal rakhiye gaa.


Aapkaa Mukhlis,
Nazir.


Mohtaram Abdullah nazir sahab..aap jaise ustaad shaayar ki jaanib se itni besaakhta aur waalihaana daad paa ke to main khushi se jhoom uThi...mujhe yaqeen hi nahi aa raha ke is raaton raat likhi gayi ghazal ki saari urdu mehfilon mein itni pazeraayi hogi...aap ne jo point bataya hai usko aayenda dhyaan mein rakhungi... shukriya rehnumaayi farmaane ka :-)

Shumaila

Posted: Sun Nov 20, 2005 12:37 pm
by Shummu
Ibn-e-siddique wrote:shumaila saHiba

salaam arz hai

mashallah aap ke liye ye zameen bahot zarkheiz caabit hui, ye baat aap ki shaa'iraana salaaHiyyatoN ki daleel bhi hai

she'r no. 2 mein aap se choTi si ghalati ho gayee :P , jis ki janib Mohtaram Nazir saHib ishaara kar chuke hain

jo ash'aar mujhe pasand aaye, voh darj-e-zail hain:
guloN kii zubaanii sunaa kal ye maine
'chaman ko sajaane ke din aa rahe haiN '

GhamoN ko bhulaakar chalo muskuraayeiN
keh haNsne haNsaane ke din aa rahe haiN

huwe aaj jalwaa numaa is qadar kyoN?
tabaahii machaane ke din aa rahe haiN?

sunaa aa rahii hai wo barq-e-tajallii
nasheman bachaane ke din aa rahe haiN

kabhi toR laaoo sitaare falak se
keh aanchal sajaane ke din aa rahe haiN

phir usko rulaayaa bahut aaj maine
phir usko manaane ke din aa rahe haiN

bahut sun liye Heer Raanjhe ke qisse
kuch apnii sunaane ke din aa rahe haiN

muqaddar ne diN haiN baDii mujh ko maateiN
ab isko haraane ke din aa rahe haiN
tazmeen khoob hai, aur muqaddar vaala she'r bhi bahot umda hai

daad Haazir hai, qubool farmaaiN

amjad
bahut bahut shukriya Amjad jee..aap ko to kayi sher pasand aa gaye warna main to dar rahi thi ke pata nahi ghazal kisi qaabil hai bhi ke nahi....aap ki is waalihaana daad ka behad shukriyaaaaaaaaaaaa ...Nazir sahab ke bataaye hue point ko aayenda dhyaan mein rakhungi :-)

Shumaila

Posted: Mon Nov 21, 2005 7:20 am
by Shummu
Dear Sara sis..aap ki bharpoor daad paa ke dil khush ho gaya..mujhe yaqeen tha ke aap ko ye ghazal zaroor pasand aayegi... itni daad se nawaazne ka behad shukriya :-)

Shumaila