"dekhley mujhko pukaar ke"ek adna see kaavish
Posted: Tue Nov 22, 2005 7:37 am
salaamun alaikum
dosto
hamaari ek adna see kaavish haazir hai
gar qubool uftad zahe...........
arz kiya hai
kehta hai rab keh dekhley mujhko pukaar ke
rakhdoonga do jahaan ko tere sa.nwaar ke
gar ishq mujh se hai tau museebat peh sabr kar
uqbaa bigaadta hai kyu.n himmat ko haar ke
mai.n hoo.n kareem mujh se zara maa.ng ke tau dekh
duniya ko phe.nk doo.ngaa mai.n tujh per se waar ke
jo tujh ko hai pasand woh aouro.n ko kar pasand
bande hai.n saare aik hi parwardigaar ke
daulat mei.n teri sunley ghareebo.n ka haq bhi hai
banta hai kyu.n ameer ghareebo.n ko maar ke
kehte hai.n log tere janaazey ko dekh kar
"woh jaa raha hai koyee shabe gham guzaar ke"
insaaf hoga hashr mei.n haamid tu gham na kar
dozaq mei.n phe.nk doo.nga mai.n zaalim ko maar ke
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah