Page 1 of 1

Ali Sardar Jafri - Kaun Dushman Hai

Posted: Thu Jan 13, 2005 4:36 am
by Mohib
ghulam tum bhi the yaaron ghulam hum bhi the
nahaa ke khuun mein aayi the fasl-e-aazadi
maza to tab tha ke milkar elaaj-e-jaan karte
khud apne haath se taameer-e-gulsitaan karte
hamare dard mein tum aur tumhare dard mein ham
shareek hote
kuch jashn-e-aashiyaan karte.

tum aao gulshan-e-Lahore se chaman bardosh
hum aayein subh-e-Banaras ki roshni lekar
Himalaya ki hawaon ki taazgi lekar
aur uske baad ye poochein
kaun dushman hai??

Posted: Thu Jan 13, 2005 6:13 am
by Hashmat Usmani
salaam Mohib saaHib,

aapkaa pesh karda Ali Sardar Ja'frii saaHib marHoom ka kalaam bahot pasand aayaa. aapkaa bahot bahot shukria share karne ka.

ummeed hai ki ap aise hii umda o urfa kalaam ham tak pahoNchaate raheNge aur hameN shukria kahne ke mavaaq'e faraaham karte raheNge.

faqat aHqar,

Hashmat