aadaab,
haal hi meN maiN ne 8 oct. 2005 ke saanihe par apnee aik ghazal post kee thee jis ke aik she'r kaa misra' ye thaa:
"havaa kaa wazan bhee unheN ab giraaN hai"
iss misre ke lafz.e.wazan par Amjad saahab ne nuqta uThaayaa hai ke sahi lafz "wazn" hai na ke "wazan". maiN ne fil.vaqt ye she'r ghazal se khaarij kar diyaa hai taa ke sahi talaffaz kaa pata chal sake.
gau ke maiN ne Fairozul.lughaat meN daikh kar hee isey "wazan" baaNdhaa thaa magar dobaarah check kiyaa tau uss meN yahi darj hai:
wazan = wao'-ze+noon
iss lehaaz se daikhaa jaaye tau phir tau iss kaa talaffuz "wazan" hee bantaa hai magar maiN koyee aisaa she'r DhooNdany meN naakaam rahi hooN jis meN iss lafz.e.wazan kaa iste'maal kiyaa geyaa ho.
agar asaatazah.e.ikraam iss par thoRee roshani Daal deN tau meree pareshaani door ho jaaye gee.
buhat shukriya
Naheed[/color]
lafz.e.wazan
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
lafz vazn saHeeH hei
MuHtaramah
Naheed V. saaHibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapke sawaal kaa javaab dene se pahle maiN guzaarish karungaa ke aap kisi TaraH se "Standard Twentieth Century Dictionary, urdu into English" khareedleN.
Ab MaiN b'az alfaaz ke baare meiN mukhtaSar sii tashreeH karungaa:
Aise alfaaz jinke doosre Harf per sukoon (yani jazm) houtaa hei:
Vazn, fikr, zikr, surkh, zard, hijr, vaSl, gard, sard, sheAr, jabr, (waghairah)
Aise alfaaz jinke doosre Harf per zabar houtaa hei:
khabar, nazar, saHar, idhar, udhar, safar, agar, basar, qalam, sitam, Adam, qadaH, (waghairah)
MulaaHizah (TaraH aur TarH dounoN TareeqaoN se jaayiz hei yani doosre Harf per jazm hou yaa zabar hou tou bhii)
Taskeen-e-ausaT
Aise alfaaz jin meiN 3 mutaHarrik Huroof aek saath aayeN tou beech ke Harf per jazm lagaadiyaa jaataa hei. Yeh qaaAidah faarsi meiN bahut ziyaadah raayij hei aur urdu meiN bhi ikhtiyaar kiyaa gayaa hei.
Jaise: nazar-e-karam. Is lafz meiN noon+zabar, zoye+zabar aur rey +zer teenoN mutaHarrik aarahe heiN. Isko taskeen-e-ausaT ke qaaAide se yooN karsakte heiN (noon+zabar, zoye+jazm, rey+zer)
ummeed ke aapko tashaffi bakhsh javaab de sakaa.
Mazeed yeh ke vazn per koii sheAr tou maiN filbadeeh yeh miSraA Arz karsaktaa hooN:
"tumhaari baat meiN itnaa tou vazn hei SaaHib"
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Re: lafz vazn saHeeH hei
aadaab Mohtaram Nazir saahab,WEBMASTER wrote:

"wazn" ke aapar aap ke iss ma'loomat ke liye be.had shukriya!
iss se meree uljhan door ho gayee hai aur maiN tasalli ke saath ab she'r ko badal sakti hooN.
buhat shukriya
Naheed