Page 1 of 2
Lafz par ashar#24--Hijr
Posted: Thu Nov 24, 2005 7:49 am
by syed bilal armaan
Asalam walekum
Bahut din'oun se tabiyat ki wajhe se naya unwan nahi de sak. is ke liye main maffi ka talabgar hoon. lafz EID ke badh pesh hai, ek naya unwan"Hijr" app is unwan par bhi apne pasandida ashar/ghazal/nazam likhiye.lijye main shuroowat kiye deta hoon.
Posted: Thu Nov 24, 2005 12:14 pm
by Shummu
welcome back..ummeed hai ab aap ki tabiyat bilkul theek hogi..naya lafz dene ka shukriya!
ye Hum Jo Hijr Mein deewar-o-dar ko dekhte haiN
kabhi sabaa ko kabhi namaabar ko dekhte haiN
Posted: Fri Nov 25, 2005 10:13 am
by syed bilal armaan
asalam walekum
Posted: Fri Nov 25, 2005 10:26 am
by syed bilal armaan
Salam walekum
Posted: Sat Nov 26, 2005 1:21 pm
by syed bilal armaan
Salam walekum
Posted: Sat Nov 26, 2005 1:30 pm
by syed bilal armaan
Salam walaekum
Posted: Mon Nov 28, 2005 1:44 am
by Hashmat Usmani
aise hijr ke mausam ab kab aate haiN
tere 'ilaava yaad hameN sab aate haiN
Shahryaar
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:34 pm
by Shummu
har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai
Afzal Firdaus,
Posted: Sat Dec 10, 2005 9:56 pm
by RAUSHNEE
ik hijr ju humko lahaq hai tadair ussay duhrayein kia
jub jism hi sara jalta ho phr daman-e-dil ko bachayein kia
Posted: Sat Dec 10, 2005 10:00 pm
by RAUSHNEE
shehr-e-muhabbat hirj ka mausam ahed-e-wafa aur mein
tu tou is basti say khush khush chala gaya aur mein?
Posted: Sun Dec 11, 2005 3:09 pm
by Shummu
aalam-e-soz-o-saaz meiN vasl se baRh ker hai firaaq
vasl meiN marg-e-aarzu, hijr meiN lazzat-e-talab
hijr
Posted: Mon Dec 12, 2005 4:25 am
by Abdullah Nazir
kuch aisaa Haal hei miraa ab hijr-e-yaar meiN
jaise khizaaN kaa agagayaa mausam bahaar meiN.
Nazir.
Posted: Mon Dec 12, 2005 10:07 am
by Shummu
naa taab hijr me.n hai naa aaraam vasl me.n
kamabaKht dil ko chain nahii.n hai kisii tarah
"hijr"
Posted: Fri Dec 16, 2005 3:52 pm
by Abdullah Nazir
Mujhko bhi chain kab hei bhalaa hijr-e-yaar meiN
karwaT badalte kaTti hei shab intizaar meiN
Nazir.
hijr
Posted: Sun Dec 18, 2005 7:06 pm
by Abdullah Nazir
yooN shab-e-hijr tiri yaad ne betaab kiyaa
jaise tuu paas hou aur mere qareeb aa nah sake
Nazir.