Page 1 of 4
Harf-e-'RAY' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Posted: Thu Nov 24, 2005 12:18 pm
by Shummu
rukhsat ke din bheegii aankhon se us ka wo kehna haaye QATEEL
tum ko lauT hi jaana tha to is nagri kyoN aaye the
"rey"
Posted: Sat Nov 26, 2005 3:33 am
by Abdullah Nazir
riZaay-e-yaar ne jab mere dil ko jeet liyaa
khushi kaa din bhii bahut jald aa hi jaayegaa
Nazir.
Posted: Mon Nov 28, 2005 1:37 am
by Hashmat Usmani
ruuH ko taRpaa rahii hai unkii yaad
dard ban kar chhaa rahii hai unkii yaad
Shakeel Badaayuunii
Posted: Wed Nov 30, 2005 4:38 am
by rahmed25682
REHNAY DO WAAPSI KAY LIYE RAASTA KHULA
WO BUD NAHIN HAY IK ZARA BUD-NAAM HE TO HAY
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Posted: Wed Nov 30, 2005 3:46 pm
by rahmed25682
RAAT BHI,NEEND BHI,KAHANI BHI
HAAYE KIA CHEEZ HAY JAWANI BHI
Khsuh rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Posted: Thu Dec 01, 2005 5:19 am
by Ibn-e-siddique
rooH thi masroor dil tha shaadmaaN kal raat ko
mujh se milne aayee thi umr-e-ravaaN kal raat ko
Khumar Barabankavi
asak
Posted: Wed Dec 07, 2005 10:42 pm
by ummassad
RUKH .A . ROSHAN KE AAGE SHAMAS RAKHKE WOH YE KEHTE HAIL
UDHAR JATA HAI YA DEKHAIN IDHAR PARWANA AATA HAI
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:32 pm
by Shummu
Ratjagay khwab e paraishan say kaheen behtar hain
Larz uthta hoon agar aankh zara lagti hay
Ahmad faraz
asaak
Posted: Mon Dec 12, 2005 2:53 pm
by ummassad
RAASTI SEEDI SADAK HAI ISMAIN KUCH KHATKA NAHI
KOI RAHRO AAJTAK IS RAH MAIN BHATKA NAHI
RONE SE GAMEDIL KA GUZARA NAHI HOTA
HER ASHK MOHABAT KA SAHARA NAHI HOTA
Posted: Thu Dec 15, 2005 9:42 am
by Waqar Zaidi
rauzah e athar kaa partau jab miray dil par parhaa
shakl mein ashkon ki aankhon ko paseenah aa gayaa
Posted: Thu Dec 15, 2005 9:59 am
by Waqar Zaidi
reh raw e raah e muhabbat is qadar kam himmati
ibtadaa mein intahaaye gham say ji ghabraa gayaa
-----------------------------------------------------------
rukh say naqaab uthaa kay koi muskuraa diaa
har samt rang o noor kaa daryaa bahaa diaa
------------------------------------------------------------
rokti hay usay anaa shaayad
chaahtaa hay magar nahin aataa
------------------------------------------------------------
raat kaa intazaar kaun karay
aaj kal din mein kiaa nahin hotaa
------------------------------------------------------------
ranj kiaa cheez hay khushi kiaa hay
in hadon say guzar gayaa woh shakhs
------------------------------------------------------------
rukh hawaa kaa badal gayaa shaayad
har parindah hay shaakh par muhtaat
===============================================
Posted: Thu Dec 15, 2005 10:59 am
by RAUSHNEE
roz o shab lagta rahay soochun ka mela zehan mein
Shoor say khali kabhie ehsaas ka jungle na ho
Posted: Thu Dec 15, 2005 2:55 pm
by Waqar Zaidi
ranj o raahat hain laazim o malzoom
khaar bhi gul kay paas hotay hain
-------------------------------------------
raqs karti hay jin kay lab peh hansi
dil unhin kay udaas hotay hain
===============================================
Posted: Thu Dec 15, 2005 3:02 pm
by Waqar Zaidi
raah e talab mein kitnaa haseen hamsafar milaa
dil mein kisi ki yaad liye jaa rahaa hoon main
---------------------------------------------------------
raah e talab mein baad e mukhaalif kay baa wajood
ummeed kaa charaagh liye jaa rahaa hoon main
===============================================[/code][/b]
Posted: Thu Dec 15, 2005 6:01 pm
by RAUSHNEE
rava'n hain apnay maqsad ki taraf asudah umeedain
hajoom-e-yaas ko dil say juda kernay ka waqt aya