Page 1 of 1

ham sar jhukaaye baiThe haiN qaatil ke saamne

Posted: Thu Dec 01, 2005 5:27 am
by zaamin
hai sar kashii rawaan dawaan baatil ke saamne
ham sar jhukaaye baiThe haiN qaatil ke saamne

zakhm-e-jigar rafoo-shudaa phir se na khul paRhe
yooN lab na laalaah kiijiye bismil ke saamne.

Qatraa-ye-shabnam-e-subH main tere noor se
Bujhta diyaa basaarat-e-kaamil ke saamne

Manzil muheet jiski thii lehroN ke dosh per
Duubii safiina aa vuhii saahil ke saamne.

Wuqa’ t hai kyaa jawaahar-o-gauhar ki,yaar kii
Thodii pe TimTimaate huwe til ke saamne.

Hai inhesaar-e-husn bhii talab-e-razaa-e-‘ishq
Ab kyaa taqaazaa kiijiye saa`il ke saamne

Hai gar giraaN taham kih giraan-qadr ishq bhii
Har har khazaanaa haif is haasil ke saamne

Kar deNge gar ho raag meiN bala-tarii bharam
Terii nawaa-ye-naaz ko ko’il ke saamne.

“Zaamin” ko kyaa hai kaam qamar se kih shams se
Sab haif husn-e-yaar ki jhilmil ke saamne

zaamin

Re: ham sar jhukaaye baiThe haiN qaatil ke saamne

Posted: Wed Dec 07, 2005 10:31 pm
by MAHROO
zaamin wrote:hai sar kashii rawaan dawaan baatil ke saamne

zaamin saab aadaab;

aapka kalaam mai aur sites per bhi parhti rehti hoon aur mujhe pasand
aata hai; yeh ghazal ka khayaal bhi acha hai par agar aapko naagawaar na lagay tau mai yeh kahoon ke ghazal ka pehla misra, teesra aur panchwaan shair aapki nazar e saani chahtay hain; likhtay rahiye aur khush rahiye;

naacheez,
mahroo

Re: ham sar jhukaaye baiThe haiN qaatil ke saamne

Posted: Wed Dec 07, 2005 10:32 pm
by MAHROO
zaamin wrote:hai sar kashii rawaan dawaan baatil ke saamne
ham sar jhukaaye baiThe haiN qaatil ke saamne

zakhm-e-jigar rafoo-shudaa phir se na khul paRhe
yooN lab na laalaah kiijiye bismil ke saamne.

Qatraa-ye-shabnam-e-subH main tere noor se
Bujhta diyaa basaarat-e-kaamil ke saamne

Manzil muheet jiski thii lehroN ke dosh per
Duubii safiina aa vuhii saahil ke saamne.

Wuqa’ t hai kyaa jawaahar-o-gauhar ki,yaar kii
Thodii pe TimTimaate huwe til ke saamne.

Hai inhesaar-e-husn bhii talab-e-razaa-e-‘ishq
Ab kyaa taqaazaa kiijiye saa`il ke saamne

Hai gar giraaN taham kih giraan-qadr ishq bhii
Har har khazaanaa haif is haasil ke saamne

Kar deNge gar ho raag meiN bala-tarii bharam
Terii nawaa-ye-naaz ko ko’il ke saamne.

“Zaamin” ko kyaa hai kaam qamar se kih shams se
Sab haif husn-e-yaar ki jhilmil ke saamne

zaamin

zaamin saab aadaab;

aapka kalaam mai aur sites per bhi parhti rehti hoon aur mujhe pasand
aata hai; yeh ghazal ka khayaal bhi acha hai par agar aapko
naagawaar na lagay tau mai yeh kahoon ke ghazal ka pehla misra,
teesra aur panchwaan shair aapki nazar e saani chahtay hain; likhtay rahiye aur khush rahiye;

naacheez,
mahroo

ps; admin yeh duplicate ho gaya hai edit karne ke chakkar mein plz isse delete kardijeeye, shukriya.

mahroo

Posted: Sun Jan 01, 2006 12:12 am
by zaamin
moharmamehroo sahiba:

jawaab mein taakhir ke liye ma'azrat chaahata hoon;aap ki di huyii tajazeez pe zarror gaurkaroong;dar-asal time ke kami ke baais jaldi mein likhi gayii tehreer hai,aur doosre abhii navmashq aur taalib-e-ilm hoon is field mein;app doston ke zer-e-shafqat zaroor kuchh seekh paaunga

naya saal aap ke liye khushiyon aur barakaton se labrez ho

duago

zaamin