Page 1 of 1

chaman ko sajaane ke din aa rahe heN... taraHee Ghazal

Posted: Thu Dec 01, 2005 10:14 am
by Raji
Azeezaan-e-bazm
PurKhulooS tasleemaat,

aap sab kee Khidmat meN apnii voh ghazal pesh karnaa chahatee hooN jo meHfil-e-suKhan peh Nov. 2005 mushaire ke liye tayyar kee gayii thee.

apnii aaraa, rehnumahii aur dua'oN se zaroor navaaziye gaa.

mamnoon-o-wassalaam

Zahida Raees :Raji:

Ghazal:

1. gile sab bhulaane ke din aa rahe heN
kudoorat miTaane ke din aa rahe heN

2. moHabbat nibhaane ke din aa rahe heN
a'adavat miTaane ke din aa rahe heN

3. jise eid kehtee hai, saraa zamaanah
vohii tu manaane ke din aa rahe heN

4. voh KhwabooN kee dunya, KhayalooN kee dunya
nazar meN samaane ke din aa rahe heN

5. baharooN ne phir se munaadii yeh dee hai
*** chaman ko sajaane ke din aa rahe heN***

6. voh poore adhoore sabhii Khwaab laaho
keh tabeer paane ke din aa rahe heN

7. sar-e-rah KhushyooN ne aa kar kaha hai
ghamooN ko bhulaane ke din aa rahe heN

8. voh chahat ke qiSSey, moHabbat kee baateN
tumheN phir sunaane ke din aa rahe heN

9. suno! yeh bahaareN adhooree heN tum bin
suno! lauT aane ke din aa rahe heN

10. umeedooN ke daikho diye nah bhujaao
andhaire miTaane ke din aa rahe heN

11. shab-e-gham meN tareekiyoN ko bataa do
diye phir jalaane ke din aa rahe heN

12. makaaN ko makeenooN se ik ghar bana do
keh basne basaane ke din aa rahe heN

13. hawaa kis taraH kee chalii aaj hai keh?
gharoNde bachaane ke din aa rahe heN

14. abhi tu safar se the lauTe musaafir
keh phir door jaane ke din aa rahe heN

15. jo aa kar gaya, phir nah aaye gaa :Raji:
unheN bhool jaane ke din aa rahe heN

(Zahida Raees :Raji:)


Image
[/b]