aakhir judaa who ho gayaa kuch din guzaar ke (nayi ghazal)
Posted: Thu Dec 01, 2005 10:42 am
Salaam ahl-e-bazm..urdustan ke mushaire mein Faiz ka ye misra diya gaya tha 'Woh ja raha hay koi shab-e-Ghum guzaar ke'... us pe maine bhi kuch jaldi jaldi mein likha tha aur bhej diya tha..aur ye bataate hue khushi ho rahi hai ke mera kalaam teesre number pe aaya...lijiye ghazal pesh hai.aap ki aara ki muntazir :)
maiN ne kabhee jo dekhe haiN sapne bahaar ke
manzar nazar meN ghoom gaye Khaar-zaar ke
kyuN tum ho intizaar meiN yuN Gham Gusaar ke?!
dekho kabhii KHUDAA ko bhi dil se pukaar ke
kitnii ujar gayi hoon maiN tere firaaq meiN
nazroN se dekh parda-e-nafrat utaar ke
aansoo bataa rahe haiN mujhe uske dil ka haal
'Woh jaa raha hai koi shab-e-Gham guzaar ke'
dil ke udaas panchi khabar de rahe haiN ye
mausam badal rahe haiN dil-e-khushgawaar ke
dete haiN bhook meiN mujhe raahat wahi samar
toRaa tha jinko maine kabhii sang maar ke
saaya shadeed dhoop meiN dete haiN woh mujhe
kyoNkar na hoN azeez shajar kuu-e-yaar ke
dil ko saraaye samjhaa thaa shayad :Shumaa'ilah:
aakhir judaa who ho gayaa kuch din guzaar ke
faqat,
Shumaila
P.S:maine ghazal mein kuch tarmeem ki hai ..ummeed hai ab ghzal pehle se behtar ho gayi hogi