Page 1 of 1
TaraHi MiSraA - -- - (GUZ.12)....Abdullah Nazir.
Posted: Thu Dec 01, 2005 1:34 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
TARAHI MISR'A GUZARISH NO.12 KE LIYE:
Kulliyaat-e-Mumin se aik taraHi misraA paish karrahaa hooN:
raaHat waTan ki yaad kareN kyaa safar meiN ham
Radeef = meiN ham
Qaafiye (safar, nazar, ghar, tar, saHar, acar, sar, khabar, jigar) waghairah..
Yeh beHr-e-MuZaariA akhrab makfoof maqSoor MeHzoof hei. Iska vazn hei:
'maf'oolu…..faa'ilaatu…..mafaa'ee'lu…..faa'ilun
=/0/0/…../0//0/…..//0/0/…../0//0
= 221…..2121…..1221…..212
Ijaazut: Ghair qaafiyah band miSreA ke aakhiri rukn ko faa'ilun kii bajaaye faa'ilaat isteAmaal karsakte heiN.
Ummeed ke aap sab TabAaazmayi farmaakar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
tarhi ghazal guzarish#12 by haamidbaaqri
Posted: Wed Dec 14, 2005 4:33 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aapke diye hue misre per apni adna see takhleeq lekar haazir hua hoo.n.
gar qubool uftad zahe....
arz kiya hai......
ya rab nikaal humko phanse hai bhanwar mei.n hum
beshak gunaa'h gaar hai.n teri nazar mei.n hum
har saans laarahee hai hame.n mout ke qaree.n
baithe hue hai.n dosto per hai.n safar mei.n hum
hai barq se bhi teyz suno zeest ka safar
aaj is dagar mei.n hum hai.n to kal us dagar mei.n hum
kuch log humko nek kahe.n shukr hai tera
hum jaante hai.n kya hai.n khud apni nazar mei.n hum
murdo.n ko gar zabaan mile bole.nge yahi
kal they zamee.n pe aaj hai.n taareek ghar mei.n hum
haamid watan ki yaad tere saath jaayegee
raahat watan ki yaad kare.n kya safar mei.n hum
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
bahut achchi ghazal hei
Posted: Mon Dec 19, 2005 7:16 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal beHad pasand aayi.
Kaash aap isko hameshah ki TaraH TaraHi miSreA kii guzaarish ki bajaye apni alag laRi meiN pesh kareN. Shukriyah.
Aapkaa MukhliS,
Nazir.