Page 1 of 1
Meri Tarahee Ghazal (Guz: 12)...............
Posted: Sat Dec 03, 2005 2:58 pm
by jawaid badauni
Yaraan-e bazm, aadaab
MaiN "Urdubandhan" ke mahanah tarahee MushaairoN meN sub se pahle kalam bhejta raha hooN. Guzishta Mushaairay meN zara sustee ki, nateeja yeh hoa keh muCroofiyaat ne gher liya aur Ghazal bhej hi nah saka. Is baar main ne woh Khatra mol nahiN liya aur hasb-e dastoor miSrA dekhte hi ghazal kah lee jo irsaal kar raha hooN. Ummid hai apni graNqadr aara se jald nawazeNge.
Khulooskaar,
Jawaid
-------------------------------------------------------
HaiN ghar se door laakh raheN apne ghar meN hum
Wallah, saaree umr rahe haiN safar meN hum
Rasm-e Khuloos gaaooN meN baaqi hai aaj bhee
Mushkil yeh hai keh rahne lage haiN nagar meN hum
Parwaaz ho buland yeh sub dil ka kaam tha
Quwwat talaash karte rahe baal.o.par meN hum
Khate rahe fareb sadaa jaan boojh kar
Warnah samajh gaye the tumheN ik nazar meN hum
Manzil to door, apna pata bhee nah mil saka
Khood ko talaash karte rahe rahguzar meN hum
Paththar kisee ke ghar ki taraf pheNkne ko thay
Yaad aa gaya keh rahte haiN sheeshe ke ghar meN hum
:Jawaid: mil sakaa nah Khareedaar kya kareN
Samaan ban ke phirte haiN bazaar bhar meN hum
Posted: Sun Dec 04, 2005 6:26 am
by jawaid badauni
Mohtarmah Dunya SaHibah,
Aadaab
Bahut arce bAAd aapka paiGhaam dekh kar khooshi hoii. PuKhuloos daad wa she'r-ba-she'r tafSeeli tabsaray ke liye aap ka behud mamnoon hooN. Ummid hai aaindah bhi apni graNqadr aara se nawaztee raheNgee.
Hairat ki baat yeh hai keh aap ka nah sirf lab.o.lahja balkeh "typing" ka andaz bhi Mohtaram Abdullah Nazir SaHab se is qadar mushabah hai. Maclan "Badauni" lafz ka Nazir saHab ek KhaS imla lkhte haiN aur aap bhi.
Apka MuKhlis
Jawaid Badauni
Bahu khoob
Posted: Mon Dec 05, 2005 3:20 pm
by irfan barabankwi
mohtaram
JAWID BADAUNI SAHIB
salam-e-masnoon
aaj bahut dino bad is taraf aana hua to aapki yeh khoobsurat ghazal dekhne ka ittefaq hua. wah bahut hi umdah ghazal hai. sabhi ashaar
khoob haiN. meri dili dad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
Re: Bahu khoob
Posted: Mon Dec 05, 2005 7:21 pm
by jawaid badauni
irfan barabankwi wrote:mohtaram
JAWID BADAUNI SAHIB
salam-e-masnoon
aaj bahut dino bad is taraf aana hua to aapki yeh khoobsurat ghazal dekhne ka ittefaq hua. wah bahut hi umdah ghazal hai. sabhi ashaar
khoob haiN. meri dili dad qubool kareiN.
khair andaish
irfan barabankwi
Azeezi Irfan Sb., Aadaab.o.niyaz
Mujhe bhi arce bAAd aap ka paiGham dekh kar bahut masarrat hoii. Ghazal ki pazeeraaii ke liye shukriya Bhaayee. Ummid hai aap ki ghazal bhi jald hi paRhne ko milegee.
Mukhlis
Jawaid
Bahut khoob
Posted: Thu Dec 08, 2005 12:25 pm
by Abdullah Nazir
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aapka bhii javaab nahiN, TaraHi miSraA dekhte hii aapki ghazal mukammal hou jaati hai aur itne khoobSoorat ashAar ke saath.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapkaa MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob
Posted: Fri Dec 23, 2005 7:21 am
by jawaid badauni
WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aapka bhii javaab nahiN, TaraHi miSraA dekhte hii aapki ghazal mukammal hou jaati hai aur itne khoobSoorat ashAar ke saath.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapkaa MukhliS,
Nazir.
Mohtarmee Abdullah Nazir Sb.,
Der aayad durust aayad. Aap ne meri Ghazal ko apni daad se nawaza goya mujhe sanad mil gayee. Aur kya chaahiye?
Mukhlis
Jawaid
Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz: 12)...............
Posted: Fri Dec 23, 2005 7:23 am
by jawaid badauni
sara_j wrote:jawaid bhai,
salaam.
dair se aane ke liye muafi chaahti hoon, january end tak beinteha masroof hoon insha Allah uske baad aapko shikayet nahi rahegi.
hamesha ki tarah aapki ghazal bohat pasand aayi, quoted ashaar bohat ziyada pasand aaye hain.
mukhlis
sara
jawaid badauni wrote:
HaiN ghar se door laakh raheN apne ghar meN hum
Wallah, saaree umr rahe haiN safar meN hum
Rasm-e Khuloos gaaooN meN baaqi hai aaj bhee
Mushkil yeh hai keh rahne lage haiN nagar meN hum
Khate rahe fareb sadaa jaan boojh kar
Warnah samajh gaye the tumheN ik nazar meN hum
Paththar kisee ke ghar ki taraf pheNkne ko thay
Yaad aa gaya keh rahte haiN sheeshe ke ghar meN hum
:Jawaid: mil sakaa nah Khareedaar kya kareN
Samaan ban ke phirte haiN bazaar bhar meN hum
Azeezah Sara SaHibah
Aap ne ghazal ko pasand farmaya mujhe iskee bahut Khooshi hai.
MuKhlis
Jawaid