Page 1 of 1

aek taazah ghazal: ... Abdullah Nazir

Posted: Wed Dec 07, 2005 4:23 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbaab-e-Sukhan,


Purkhuloos Tasleemaat, :rose
- -- -

Jeddah ke urdu akhbaar jis meiN aek kuhnah mashq shayer Janab Naiem Ba-zeidpoori kaam karte heiN, aek TaraHi miSraA, Shaad Azeemaabaadi ke deewaan se diyaa gayaa hei. Irfan Barabankwi ne mujh se do din pahle kahaa ke is baar maiN bhi TaraHi ghazal kahooN aur wo apni Taraf se Urdu akhbaar meiN pesh karenge. Aek maAmooli sii ghazal hougaie hei jo aapki khidmat meiN HaaZir hei.

G H A Z A L

houtaa hei saamnaa wo magar boulte nahiN
asbaab-e-ikhtilaaf-e-nazar boulte nahiN

aabaadagi hei sharT wagarnah ameer-e-shehr

mazkoor-e-baala miSreA meiN lafz "aabaadagi" ke baare meiN Sarwar SaaHib ne daleel Talab kii ke uskaa isteAmal kis lughat ke Hawaale se saHeeH hei. Filwaqt mere paas koii daleel nah houne kii vajah se maiN ne us ko badal diyaa hei.

aasoodagi hei sharT wagarnah ameer-e-shehr
deewaar o dar ko ham kabhi ghar boulte nahiN

badbakhtiyaoN kaa jinko gilah thaa namaaz meiN
jab aagayaa duAaa meiN acar boulte nahiN

kuch tou hamaare ZabT-e-alam kaa khayaal kar
aankhaoN se khooN ravaaN hei magar boulte nahiN

apni jagah pah kaakul-e-pechaaN kaa mas'alah
"jab souch hou tou ahl-e-nazar boulte nahiN"

ham se nah poochiye ke hamaaraa chalan hei kyaa
saayah jou de rahe heiN shajar boulte nahiN

milte heiN muskuraake her ik aashnaa se ham
roodaad-e-Haal-e-zakhm-e-jigar boulte nahiN

go heiN zamaanah saaz tou Aish o nishaaT meiN
qaSr-e-Tarab meiN khaak basar boulte nahiN

nau-waaridaan-e-raah-e-wafaa aah mat bharou
muddat se ham heiN garm-e-safar boulte nahiN

:Nazir: hi ik nahiN hei jou go'shah nasheen hei
tum bhii tou apni khair khabar boulte nahiN
========
Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Fri Dec 09, 2005 6:51 pm
by ehsaas
Janab e nazir saheb

buhut acchi ghazal kahi ....buhut acchi lagee


badbakhtiyaoN kaa jinko gilah thaa namaaz meiN
jab aagayaa duAaa meiN acar boulte nahiN

kuch tou hamaare ZabT-e-alam kaa khayaal kar
aankhaoN se khooN ravaaN hei magar boulte nahiN


matlaa aur maqtaa sameet tamam ashaar acchay lagay.nawazish keh aap nay hamain apni is khubsoorat ghazal say faizyaab farmaya.shukria

Posted: Sat Dec 10, 2005 6:25 am
by rahmed25682
Salam Nazir sahab ...

Bohat umda ghazal share ki aap ne..

Aik khoobsurat ghazal share karnay ka be-hadd shukriya..

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Sun Dec 11, 2005 6:36 am
by Sarwar A. Raz
muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!

aap kee Ghazal dekh`ee aur pasand aayee. zameen saKht hai lekin aap ne ba-Khoobee is ko nibh`aayaa hai. daad qubool keejiYe.

ek lafz^ kee waZ^aaHat agar kar deN to mehrbaanee ho gee:

aabaadagee : yeh mujh` ko luGhat meN naheeN milaa lekin mere paas ek to bohat ch`oTee luGhat hai aur doosre woh mustanad naheeN hai.

shukriyah.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Re: aek taazah ghazal: ... Abdullah Nazir

Posted: Sun Dec 11, 2005 3:06 pm
by Shummu
WEBMASTER wrote:
houtaa hei saamnaa wo magar boulte nahiN
asbaab-e-ikhtilaaf-e-nazar boulte nahiN

badbakhtiyaoN kaa jinko gilah thaa namaaz meiN
jab aagayaa duAaa meiN acar boulte nahiN

kuch tou hamaare ZabT-e-alam kaa khayaal kar
aankhaoN se khooN ravaaN hei magar boulte nahiN

milte heiN muskuraake her ik aashnaa se ham
roodaad-e-Haal-e-zakhm-e-jigar boulte nahiN

nau-waaridaan-e-raah-e-wafaa aah mat bharou
muddat se ham heiN garm-e-safar boulte nahiN

:Nazir: hi ik nahiN hei jou go'shah nasheen hei
tum bhii tou apni khair khabar boulte nahiN
WAH BAHUT KHOOB NAZIR SAHAB...BADA MUNFARID RADEEF THA AUR AAP NE BAHUT KHOOBI SE ISE NIBHAAYA HAI...QUOTED ASHAAR PE KHUSOOSI DAAD PESH HAI..... :grin:

SHUMAILA

bahut bahut shukriyah

Posted: Sun Dec 11, 2005 8:24 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Ghazal kii pasandeedagi ke liye behad shukrguzaar hooN.

"aabaadagi" , "durustagi", aur"raftagi" jaise alfaaz ke baare meiN daleel pesh karnaa keh inkaa isteAmaal saHeeH hei yaa nahiN, filwaqt mere bus kii baat nahiN. Aapki raaye, apni jagah bilkul durust hei aur maiN apni khaamah farSaayi ko apni ghalaTi tasleem kartaa hooN.

"aabaadagi" ki jagah aap "aasoodagi" paRhleN tou kaam chal saktaa hei.
MaiN ab roman meiN durust kiye detaa hooN aur aayindh furSat ke waqt is sililsile meiN mazeed guftagu housakegi.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: aek taazah ghazal: ... Abdullah Nazir

Posted: Mon Dec 12, 2005 3:29 pm
by tahira Masood
aasoodagi hei sharT wagarnah ameer-e-shehr
deewaar o dar ko ham kabhi ghar boulte nahiN

bohat khoobsurat mazmoon hai daad qabuul fermaaiN

badbakhtiyaoN kaa jinko gilah thaa namaaz meiN
jab aagayaa duAaa meiN acar boulte nahiN


insaan waq'ee bohat naa shukeriyah hai. sach fermaay aap ne

kuch tou hamaare ZabT-e-alam kaa khayaal kar
aankhaoN se khooN ravaaN hei magar boulte nahiN

khoooooob

apni jagah pah kaakul-e-pechaaN kaa mas'alah
"jab souch hou tou ahl-e-nazar boulte nahiN"

zabardast!!!h

am se nah poochiye ke hamaaraa chalan hei kyaa
saayah jou de rahe heiN shajar boulte nahiN


waaaaaaaaaaaaaaaaaaah :shock: kayaa baat hai khoooooooob ast!!!!


milte heiN muskuraake her ik aashnaa se ham
roodaad-e-Haal-e-zakhm-e-jigar boulte nahiN

achaa hai :-)


go heiN zamaanah saaz tou Aish o nishaaT meiN
qaSr-e-Tarab meiN khaak basar boulte nahiN

es shaer ki mujhay samajh nahiN aaee zeraa wazaahat fermaa deiN tau nehr baani ho


nau-waaridaan-e-raah-e-wafaa aah mat bharou
muddat se ham heiN garm-e-safar boulte nahiN


waaaaaaaaaaaaaaah mukarrar zabardast!!!!

:Nazir: hi ik nahiN hei jou go'shah nasheen hei
tum bhii tou apni khair khabar boulte nahiN

aik nehaayat khoobsurat aur murassa ghazal inaayat fermaanay per dilee shuekriyah

wassalam

duaaoN ki talib


shukriyah

Posted: Wed Dec 14, 2005 10:55 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
Tahira Masood SaaHibah,

PurkhulooS tasleemaat,

Apni ghazal per aapka tafSeeli tabSirah paRhkar beHad khushi houi. Aapki karamfarmaayi hei ke maSroofiyat ke baavajud aap ne meri HauSlah afzaayi farmaayi. Dili shukriyah qubool farmaayiye.

Mere aek sheAr ke baare meiN aap ne mandarja-e-zeil sawaal kiyaa hei:

go heiN zamaanah saaz tou Aish o nishaaT meiN
qaSr-e-Tarab meiN khaak basar boulte nahiN

es shaer ki mujhay samajh nahiN aaee zeraa wazaahat fermaa deiN tau nehr baani ho


SheAr ka mafhoom yooN hei:
Agarche zamaanah saaz loag (wo loag jo zamaane ki haaN meiN haaN milaakar apni gharaZ poori karlete heiN) Aish o aaraam meiN heiN lekin qaSr-e-Tarab meiN (yani Aish o aaram ke meHlaoN meiN) jo naadaar o muflis loag heiN wo koii baat nahiN karsakte. (yani in ghareebaoN ne nah hii zamaanah saazi karke apnaa maTlab nikaal liyaa aur na hi un khudgaraz loagaoN ke khilaaf koii aavaaz uThaasakte heiN.)

Ummeed ke tashaffi bakhsh sharH karsakaa.

Dobaarah aapki inaayat ke liye shukrguzaar hooN.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: bahut bahut shukriyah

Posted: Wed Dec 14, 2005 3:33 pm
by Sarwar A. Raz
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Ghazal kii pasandeedagi ke liye behad shukrguzaar hooN.

"aabaadagi" , "durustagi", aur"raftagi" jaise alfaaz ke baare meiN daleel pesh karnaa keh inkaa isteAmaal saHeeH hei yaa nahiN, filwaqt mere bus kii baat nahiN. Aapki rayi, apni jagah bilkul durust hei aur maiN apni khaamah farSaayi ko apni ghalaTi tasleem kartaa hooN.

"aabaadagi" ki jagah aap "aasoodagi" paRhleN tou kaam chal saktaa hei.
MaiN ab roman meiN durust kiye detaa hooN aur aayindh furSat ke waqt is sililsile meiN mazeed guftagu housakegi.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

janaab Nazir SaaHeb:aadaab!

jawaab kaa shukriyah. yooN to aap kee teHreer maashaa-Allah bohat baRe Huroof meN hotee hai lekin is Khat ko kyoN :paalaa maar gayaa?: :-)

kaisaa pardah hai keh chilman se lage baiThe haiN
Saaf ch`upte bh`ee naheeN saamne aate bh`ee naheeN!

Sarwar A. Raz "Sarwar"