Page 1 of 1
aik taazah tareen terHi ghazal
Posted: Wed Dec 07, 2005 1:45 pm
by tahira Masood
chup karaane peh woh ronay kaa sawaa ho jaana
"rotay rotay gham-e-furqat meN fanaa ho jaana"
uff woh masoom see nau khaiz si bholi si adaa
zikr aatay hi judaaee kaa, khafaa ho jaana
tairee baatoN kaa talism aur tabssum ki adaa
dil k ristay huay zakhmoN ki dawaa ho jaana
gham-e-duniya ka nah kernaa kabhi shikwah laikin
chupke chupke sahi tum meHv-e-duaa ho jaana
ishq woh qaid k her ko'ee aseeri maaNge
es qafas se nahiN mumkin hai rehaa ho jaana
Posted: Thu Dec 08, 2005 1:44 am
by naheedv
Tahira jee,
kaisee haiN aap?
buhat din ke ba'd aap kaa kalaam paRhne ko milaa. mashaa'allah aap ne buhat achee ghazal kahi hai. meree taraf se daad qubool kijiye aur meree kitaab kee aik copy reserve karwaanaa mat bhooliye gaa
mukhlis
Naheed
Bahut khoob
Posted: Thu Dec 08, 2005 12:17 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramah
Taahira Masood SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Is baar aap ne achche alfaaz isteAmaal kiye heN jin se ghazal meiN khoobSoorati paidaa hougaie hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon Dec 12, 2005 2:48 pm
by tahira Masood
naheedv wrote:Tahira jee,
kaisee haiN aap?
buhat din ke ba'd aap kaa kalaam paRhne ko milaa. mashaa'allah aap ne buhat achee ghazal kahi hai. meree taraf se daad qubool kijiye aur meree kitaab kee aik copy reserve karwaanaa mat bhooliye gaa
mukhlis
Naheed
Naaheed ji :rose
slaam -ekhuloos
aur in khoobsurat kalimaat k liye bohat bohat bohat shuekriyah
wassalam
Re: Bahut khoob
Posted: Mon Dec 12, 2005 2:56 pm
by tahira Masood
WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
Taahira Masood SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Is baar aap ne achche alfaaz isteAmaal kiye heN jin se ghazal meiN khoobSoorati paidaa hougaie hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
MoHteram Nazir Saheb :rose :rose :rose
salaam-e-khuloos
aap ne bhee mujh naa cheez ki kisee koshish per lab kushaa'ee fermaa'ee yeh baat mairay liye nehaayt HauSlah afzaa hai.
agar mairay kalaam maiN behtree aa'ee hai tau yeh sab inhee forums aur aap jaisay mukhlis Hazraat ki HauSalaah afzaa'ee aur rehnumaa'ee ki merhoon-e-minnat hai
es mehrbaani k liye meiN aap ki manoon hoN
dilee shuekriyah qabuul fermaaiN
Re: aik taazah tareen terHi ghazal
Posted: Mon Dec 19, 2005 8:52 am
by Mahtab Qadr
Tahira Masood sahiba
Salaam e masnoon
aap ki ghazal ka har sher bahut acha laga. bahut lutf aaya ghazal parh kar
shukria
Mahtab Qadr
tahira Masood wrote:
chup karaane peh woh ronay kaa sawaa ho jaana
"rotay rotay gham-e-furqat meN fanaa ho jaana"
uff woh masoom see nau khaiz si bholi si adaa
zikr aatay hi judaaee kaa, khafaa ho jaana
tairee baatoN kaa talism aur tabssum ki adaa
dil k ristay huay zakhmoN ki dawaa ho jaana
gham-e-duniya ka nah kernaa kabhi shikwah laikin
chupke chupke sahi tum meHv-e-duaa ho jaana
ishq woh qaid k her ko'ee aseeri maaNge
es qafas se nahiN mumkin hai rehaa ho jaana
Posted: Wed Jan 04, 2006 1:40 am
by tahira Masood
Mahtab Bha'ee
salaam-e-Khuloos
es pazeera'ee kaa shukeriyah. MAin es HuaSlah afza'ee k liye dil se mamnoon hoN
khush reheiN
wassalam
Re: aik taazah tareen terHi ghazal
Posted: Thu Jan 05, 2006 11:19 pm
by Ehsan Raza
[
MOHTRAM TAHIRA SAHIBA
MASHA ALLAH KHOOB KAHTEEN HAI KALAM MEN ALFAZ KA DARIYA APNI RAHEN KHUD IKHTIYAR KAR RAHA HAI
APNE EHSASAT KI TARJUMANI KA KHOOBSOORAT ANDAZ HAI
MUBARAK BAAD QUBOOL KIJIYE AGAR WEB SITE PER MERI TAKHLEEQ NAZAR AYE TO APNI MOHABBAT SE NAWAZ DIJIYEGA
SHUKRIYA
EHSAN BADAUNI