Page 1 of 1

"keh aaye aur hijaab aaye"taaza tarhi ghazal aapki

Posted: Fri Dec 09, 2005 6:39 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aik tarhi ghazal peshe khidmat hai
gar qubool uftad zahe......

arz kiya hai...

zane muslim hai beparda'h hame.n behad hijaab aaye
woh behtar hai kare parda'h na jaane kab ^azaab aaye

jawaani ke jawaa.n lamhe bade anmol hote hai.n
yeh guzre.n gar ^ebaadat mei.n hame.n behad cawaab aaye

na kehna boodhe ko boodha usay aajaayega ghussa"h
har ek boodhe ka armaa.n hai keh peeree mei.n shabaab aaye

dua maango saleeqay se duao.n mei.n acar hoga
sawaali ho agar mukhlis usay faur" jawaab aaye

gunah karne ko kehta hai yeh zaalim nafse ammaara
"magar chitwan yeh kehti hai keh aaye aur hijaab aaye"

numaayish ghair ke aagay jinhe.n manzoor hai haamid
t^ajjub hai unhe.n baap aur bhai se hijaab aaye

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah


Posted: Sat Dec 10, 2005 6:39 am
by rahmed25682
Salam Haamid sahab....

Aik umda aur khoobsurat ghazal hum tak pohnchahnay k liye aap k bay-hadd mamnoon hain..

ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA


Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

shukriya

Posted: Sat Dec 10, 2005 6:55 am
by haamidbaaqri
rahmed25682 wrote:Salam Haamid sahab....

Aik umda aur khoobsurat ghazal hum tak pohnchahnay k liye aap k bay-hadd mamnoon hain..

ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA


Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
wa alaikumussalaam
mohtaram rahmed saahib

aapki mukhlisaana daad aur duao.n ka bahut bahut shukriya.

salaamat rahe.n

khair andesh
haamidbaaqri