Page 1 of 1
"koyee shaam ghar bhi raha karo" taza tarhi ghazal
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:57 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish haazir hai
gar qubool uftad zahe....
badi mukhtesar hai yeh zindagi, isay zaaya tum na kiya karo
yahaa.n imtihaa.n hai har aik pal, karo pyaar tum na lada karo
jo tumhaare saath bura kare.n, tum unke saath bhala karo
yahi bandagee ka mizaaj hai, tum bandagee'ye khuda karo
koyee baat tumse jo na kare, karo baat us se salaam ki
woh agar jawaab na de tumhe.n, badi door us se raha karo
koyee rishta'h tumse jo tod lay, hai tumhaara farz keh jodna
na juda jo rishta'h to kya hua, tum haqqe rishta'h ada karo
yeh makaa.n tumhaari hai mamlekat, is mamlekat ki ho raani tum
"yu.nhi besabab na phira karo, koyee shaam ghar bhi raha karo"
yeh khuda ka hatmee hai faisla'h, hai.n munaafeqeen jahannumee
tum agar ho haamid jannati, kaho jo bhi tum woh kiya karo
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Sat Dec 10, 2005 7:59 am
by rahmed25682
Salam HAAMID sahab ...
Mashallah .. aik aur khoobsurat ghazal paish kee aap nay.
Is nayee aur umda ghazal k liye aap k shukar-guzaar hain.
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
shukriya
Posted: Sun Dec 11, 2005 6:18 am
by haamidbaaqri
rahmed25682 wrote:Salam HAAMID sahab ...
Mashallah .. aik aur khoobsurat ghazal paish kee aap nay.
Is nayee aur umda ghazal k liye aap k shukar-guzaar hain.
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
salaamun alaikum
mohtaram rahmed saahib
aapki mukhlisaana daad aur dua keliye hum aapke behd mamnoono mashkoor hai.n.
aap bhi khush rahe.n
jazakallah
aapka mukhlis
haamidbaaqri
shukriya
Posted: Sun Dec 11, 2005 6:19 am
by haamidbaaqri
rahmed25682 wrote:Salam HAAMID sahab ...
Mashallah .. aik aur khoobsurat ghazal paish kee aap nay.
Is nayee aur umda ghazal k liye aap k shukar-guzaar hain.
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
salaamun alaikum
mohtaram rahmed saahib
aapki mukhlisaana daad aur dua keliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.
aap bhi khush rahe.n
jazakallah
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Re: "koyee shaam ghar bhi raha karo" taza tarhi gh
Posted: Mon Jan 16, 2006 9:41 pm
by Mahtab Qadr
Hamed Baaqri sahib
salaam e masnoon
wah wah bahut khoobsurat ghazal pesh farmai aapne bahut lutf aaya. shukria
Mahtab Qadr
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish haazir hai
gar qubool uftad zahe....
badi mukhtesar hai yeh zindagi, isay zaaya tum na kiya karo
yahaa.n imtihaa.n hai har aik pal, karo pyaar tum na lada karo
jo tumhaare saath bura kare.n, tum unke saath bhala karo
yahi bandagee ka mizaaj hai, tum bandagee'ye khuda karo
koyee baat tumse jo na kare, karo baat us se salaam ki
woh agar jawaab na de tumhe.n, badi door us se raha karo
koyee rishta'h tumse jo tod lay, hai tumhaara farz keh jodna
na juda jo rishta'h to kya hua, tum haqqe rishta'h ada karo
yeh makaa.n tumhaari hai mamlekat, is mamlekat ki ho raani tum
"yu.nhi besabab na phira karo, koyee shaam ghar bhi raha karo"
yeh khuda ka hatmee hai faisla'h, hai.n munaafeqeen jahannumee
tum agar ho haamid jannati, kaho jo bhi tum woh kiya karo
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Re: "koyee shaam ghar bhi raha karo" taza tarhi gh
Posted: Tue Jan 17, 2006 12:28 pm
by haamidbaaqri
Mahtab Qadr wrote:Hamed Baaqri sahib
salaam e masnoon
wah wah bahut khoobsurat ghazal pesh farmai aapne bahut lutf aaya. shukria
Mahtab Qadr
haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
dosto
hamaari adna see kaavish haazir hai
gar qubool uftad zahe....
badi mukhtesar hai yeh zindagi, isay zaaya tum na kiya karo
yahaa.n imtihaa.n hai har aik pal, karo pyaar tum na lada karo
jo tumhaare saath bura kare.n, tum unke saath bhala karo
yahi bandagee ka mizaaj hai, tum bandagee'ye khuda karo
koyee baat tumse jo na kare, karo baat us se salaam ki
woh agar jawaab na de tumhe.n, badi door us se raha karo
koyee rishta'h tumse jo tod lay, hai tumhaara farz keh jodna
na juda jo rishta'h to kya hua, tum haqqe rishta'h ada karo
yeh makaa.n tumhaari hai mamlekat, is mamlekat ki ho raani tum
"yu.nhi besabab na phira karo, koyee shaam ghar bhi raha karo"
yeh khuda ka hatmee hai faisla'h, hai.n munaafeqeen jahannumee
tum agar ho haamid jannati, kaho jo bhi tum woh kiya karo
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mohtaram mahtab qadr saahib
wa alaikumussalaam
aapki daad hamaare liye sanad hai.
hum behad shukrguzaar hai.n aapke.
allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen.
aapka mukhlis
haamidbaaqri