Page 1 of 1
maah-e-DEC ke muntakhib shaayar:KHUMAAR BARABANKWI
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:47 pm
by Shummu
ek pal me.n ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye
bhuule hai.n unhe.n raftaa raftaa mudatto.n me.n ham
qishto.n me.n Khud_kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye
jalte diyo.n me.n jalte gharo.n jaise zau kahaa.N
sarakar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye
vo jaan hii gaye ke hame.n un se pyaar hai
aa.Nkho.n kii muKhbarii kaa mazaa ham se puuchhiye
ha.Nsane kaa shauq ham ko bhii thaa aap kii tarah
ha.Nsiye magar ha.Nsii kaa mazaa ham se puuchhiye
ham taubaa kar ke mar gaye bemaut ai 'Khumar'
tauhiin-e-maikashii kaa mazaa ham se puuchhiye
khumaar barabanqvi
Posted: Sat Dec 10, 2005 6:49 pm
by Shummu
Voh kaun haiN jo ghum ka maza jaante nahi
bas doosroN ke dard ko pehchaante nahiN
is jabre maslehat se tou ruswaiyaN bhali
jaise ke hum unhe voh humeiN jaante nahiN
kambakht aankh uthi na kabhi, un ke roo baru
hum unko jaante tou haiN pehchaante nahiN
vayez khuloos hai tere andaaz'e fikr meiN
hum teri guftagu ka bura maante nahiN
hadd se barhe tou ilm bhi hai jahl dousto
sab kuch jou jaante haiN voh kuch jaante nahiN
rehte hain aafiyet se vahi log aye 'Khumaar'
jou zindagi mein dil ka kaha maante nahiN
Posted: Wed Dec 14, 2005 12:48 pm
by muazzam
Bhut Khoob
La Jawab
Posted: Wed Dec 14, 2005 3:29 pm
by Shummu
bahut shukriya aur khushaamadeed muazzam sahab..aap bhi kuch pesh karein to khushi hogi...
Posted: Sun Dec 18, 2005 10:50 am
by Shummu
Posted: Sun Dec 18, 2005 7:59 pm
by Shummu
ye misra nahin hai, wazeefa miraa hai
Khuda hai muhabbat, muhabbat Khudaa hai
kahuuN kis tarah main ke wo bewafaa hai
mujhe uski majboorioN ka pataa hai
hawaa ko bahut sarkashi ka nashaa hai
magar ye na bhoole, diyaa bhi diyaa hai
main usse judaa hun, wo mujhse judaa hai
muhabbat ke maaroN ka fazl-e-Khudaa hai
nazar mein hai jalte makaanoN ka manzar
chamakte hain jugnoon to dil kaanptaa hai
unhein bhoolna ya unhein yaad karna
wo bicchde hain jabse yahi mashgalaa hai
guzartaa hai har shaks chehraa chupaaye
koii raah mein aaiinaa rakh gayaa hai
kahaaN tu “Khumar” aur kahaaN kufr-e-taubaa
tujhe paarsaaoN ne behkaa diyaa hai
Posted: Sun Dec 18, 2005 8:06 pm
by Shummu
tere dar se utth kar jidhar jaooN main
chalooN do qadam aur thehar jaooN main
agar too khafa ho to parwaah nahiin
tera gham khafa ho to mar jaooN main
tabassum ne itna daNsaa hai mujhe
kalee muskuraye to darr jaooN main
sambhaale to hun khudko tujh bin magar
jo choo le koii to bikhar jaooN main
Khumar Barabankvi
Posted: Sun Dec 18, 2005 8:08 pm
by Shummu
ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye
o jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye
kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye
jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai ‘Khumar’
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye