Page 1 of 1

"ek baat kehna chaahe.nge"taaza tarhi ghazal

Posted: Mon Dec 12, 2005 4:32 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

guzishta itwaar ko kaarwaane urdu adab(bangalore)ke maahaana tarhi mushaire mei.n hum apni masroofiyat ki wajah se shaamil nahi.n ho sake.
baharkaif apni adna see kaavish aapke saath share kar rahe hai.n
gar qubool uftad zahe...

misra hai; "karte hai.n bandagi bhi jahannum ke dar se hum"

arz kiya hai....

ek baat kehna chaahe.nge ahle nazar se hum
kirdaar kyu.n na lesake ahmed(s.a.w.) ke dar se hum

hum maslahat barattey hai.n har kaam mei.n yahaa.n
"karte hai.n bandagee bhi jahannum ke dar se hum"

apne siwa har aik ko neecha dikhaatey hai.n
insaa.n ke bhes mei.n hai.n magar jaanwar se hum

jab taye hai jaisa boye.nge waisa hi kaate.nge
kyu.n be khabar hai.n apne ^amal ke acar se hum

haamid qalam hamaara hai sadqa rasool(s.a.w.) ka
ek inquilaab laaye.nge khoone jigar se hum

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Posted: Mon Dec 12, 2005 7:02 pm
by tahira Masood

salaam

waaaaaaaaaaaaah zabardast bohat khoob bohat hi a'alaa

:jazax: :jazax:

mashallah

khush rehiN

wassalam

shukriya

Posted: Tue Dec 13, 2005 4:47 pm
by haamidbaaqri
tahira Masood wrote:
salaam

waaaaaaaaaaaaah zabardast bohat khoob bohat hi a'alaa

:jazax: :jazax:

mashallah

khush rehiN

wassalam
wa alaikumussalaam
bahen taahira masood saahibah

aapki mukhlisaana daad aur duao.n keliye hum behad mamnoono mashkoor hai.n aur allah(sbhnwt)se dua karte hai.n keh woh aap per apni khaas nazre karam farmaaye.aameen


mukhlis
haamidbaaqri

Posted: Wed Dec 14, 2005 4:57 am
by rahmed25682
Salam HAAMID sahab ...

Aik nihayat umda ghazal se humaiN faizyaab karnay k liye aap kay bay-hadd mamnoon hain..

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

shukriya

Posted: Wed Dec 14, 2005 8:26 am
by haamidbaaqri
rahmed25682 wrote:Salam HAAMID sahab ...

Aik nihayat umda ghazal se humaiN faizyaab karnay k liye aap kay bay-hadd mamnoon hain..

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
salaamun alaikum
mohtaram r ahmed saahib

hausla afzaayee aur aapki mohabbato.n ke hum shukrguzaar hai.n

jazakallah
haamidbaaqri