Guz.12 ke TaraHi miSreA per ghazal: Irfan Barabankwi, Jeddah
Posted: Thu Dec 15, 2005 3:32 pm
MuHtaramaat o muHtarameen
aHbaab-e-meHfil,
Tasleemaat,
Guz. 12 ke miSreA per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
Rehte thay beqaraar bahut apne ghar meiN ham
So ab bhaTak rahe heiN Azaab-e-safar meiN hem
Hum ko diye fareb hamaare yaqeen ne
Naa muAtabar se hougaye apni nazar meiN ham
Fardaa kii aagahi hei ke hei dil kaa khauf yeh
Khirman ko jaltaa dekh rahe heiN sharar meiN ham
Hijrat kii mushkilaoN meiN nah ab tak kami houi
"raaHat waTan kii yaad kareN kyaa safar meiN ham"
aie jazba-e-nadaamat-e-dil khougayaa kahaaN
tujhko talaash karte rahe chashm-e-tar meiN ham
Sayyaad kyaa milegaa tujhe per taraashkar
Parvaaz apni rakhte nahiN baal o par meiN ham
TooTe badan ko lazzat-e-taskeen kyaa mili
Aisaa lagaa badal hii gaye raath bhar meiN ham
Makr o fareb ahl-e-siyaasat kaa kaam hei
houNge nah kaamyaab kabhi is hunar meiN ham
bande heiN inkisaar ke, saadah mizaaj heiN
jaate nahiN heiN daayira-e-karr o far meiN ham
maaZi ke apne kuch wo sunehre nuqoosh heiN
jin ko talaash karte heiN deewaar o dar meiN ham
ehsaas houtaa umr kaa ;Irfan: kis tarah
uljhe thay daam-e-jaadoo-e-shaam o saHar meiN ham.
Khair andesh,
Irfan