"din hoga angaaro.n ka"taaza kalaam peshe khidmat
Posted: Sat Dec 17, 2005 7:24 am
salaamun alaikum
dosto
taaza kalaam peshe khidmat hai
umeed hai pasand farmaaye.nge
arz kiya hai...
rab kehta hai mehshar ka din, din hoga angaaro.n ka
na jaane kab mout aajaaye,haq dey do haqdaaro.n ka
dekh ke laakho.n insaano.n ko,khush fehmee mei.n mat rehna
do din ke yeh saare mehmaa.n,kooch hai phir bechaaro.n ka
rishwat se tum door hi rehna,rishwat ek beemaari hai
rishwat dena rishwat lena,kaam hai yeh makkaaro.n ka
roze qiyaamat zanjeero.n mei.n,jakdey jab yeh jaaye.nge
tadpe.nge tab koyee na hoga,qaum ke in ghaddaaro.n ka
qaum ka paisa loot ke tum ne,apni tijori bhar lee hai
banjaaye.nge aag yeh paise,khoon hai yeh laachaaro.n ka
unn logo.n ne dilko toda,jinper hum qurbaan hue
"jinki khaatir basti chorhi,naam na lo unn pyaaro.n ka"
bhooka pet hai sona behtar,aag ki roti khaane se
haamid kaise bhool gaya tu,beta hai khuddaaro.n ka
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah