Page 1 of 1

aek maAmooli sii taazah ghazal: Abdullah Nazir.

Posted: Mon Dec 19, 2005 6:00 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS tasleemaat, :rose

apni aek maAmooli sii taazah ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L (roman meiN):

souzish-e-zakhm-e-jigar hei maiN hooN
qulzum-e-deeda-e-tar hei maiN hooN

manzil-e-shauq kaa armaaN thaa bahut
dhoop hei gard-e-safar hei maiN hooN

paa'idaari kii nah taufeeq houi
reit per khaabaoN kaa ghar hei maiN hooN

raaHat-e-dil hei kahaaN dunyaa meiN
gardish-e-shaam o saHar hei maiN hooN

yehi miAraaj-e-muHabbat tou nahiN
meraa sar hei tiraa dar hei maiN hooN

zulmat-e-hijr meiN hei aas kaa noor
uske aane kii khabar hei maiN hooN

apni kashti meiN hooN tanhaa :Nazir:
qahr-e-ToofaaN hei bhaNwar hei maiN hooN
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.


Posted: Thu Dec 22, 2005 6:32 pm
by jawaid badauni


Mohtarmee Abdullah Nazir SaHab, aadaab

Mujhe Khooshi hai aap ki is haseen Ghazal per sub se pahle tabsara bhejne ke s'AAdat haSil kar raha hooN. Behud haseen Ghazal hai. Awwal to zameen hi nihayat umdah hai. Kaash aap ki yeh Ghazal kisee Khooshguloo glukaar ke haaTh lag jaye mazaa aa jayega. Aapke tamam ashAAr sheiriyyat se bharpoor haiN. Meri janib se daad qubool kijiye. Ummid hai aaindah bhi aisa kalam inayat karte raheNge.


Khulooskaar,

Jawaid Badauni

Posted: Fri Dec 23, 2005 7:12 am
by rahmed25682
Salam Nazir sahab ...

MASHALLAH bohat khoob ghazal hay ...

Aik achhay ghazal hum tak pohnchaanay k liye aap k mamnoon haiN.

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Posted: Sun Dec 25, 2005 5:37 am
by Raji
moHtaram janab-e-Abdullah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,


aap ne apnii is KhaS ghazal ko mamoolii ka naam de kar achaa naheeN kiyaa.

choTee beher meN aap kee is ghazal ke tamaam hee ashaar be-intihaa pasand aaye.
kuch arse se maiN meHsoos kar rahii hooN keh aap kee ghazaloN peh ek munfarid rang chah gaya hai.
jo paRhne waale ko apnee taraf khaiNchtaa chala jaataa hai. aur kalaam ko baar baar paRhne par majboor kar daitaa hai.

meree janib se yeh KhoobSoorat taKhleeq pesh karne par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

wassalaam

Zahida Raees :Raji:

Posted: Sun Dec 25, 2005 10:16 am
by Shummu
wah bahut khoob....umda ghazal likhi hai aapne...... :grin:

Posted: Thu Dec 29, 2005 6:07 am
by Sarwar A. Raz
mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

aap kee Ghazal muKhtaSar sahee lekin ma'moolee to hargiz naheeN hai! ch`oTee beHr meN ma'nee-aafreenee aasaan to naheeN! Ghazal aap ke maKhSooS raNg kee aa,eenah-daar hai aur u'mdah hai. meree naacheez daad qubool keejiYe.

aaj kal yeh bazm bohat Khaamosh hai. eHbaab ko kuch` karne kee Z^aroorat hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

shukriyah

Posted: Sun Jan 08, 2006 4:12 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapke tabSire ke liye beHad shukrguzaar hooN.

aayindah bhi meri HauSlah afzaayi farmaate rahiye aur saath saath rehnumaayi bhii.


Aapka MukhliS,
Nazir.