Page 1 of 1
tarhi ghazal guz#12 haamidbaaqri
Posted: Thu Dec 22, 2005 3:45 pm
by haamidbaaqri
tarhi ghazal guzarish#12 by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto
aapke diye hue misre per apni adna see takhleeq lekar haazir hua hoo.n.
gar qubool uftad zahe....
arz kiya hai......
ya rab nikaal humko phanse hai.n bhanwar mei.n hum
beshak gunaa'h gaar hai.n teri nazar mei.n hum
har saans laarahee hai hame.n mout ke qaree.n
baithe hue hai.n dosto per hai.n safar mei.n hum
hai barq se bhi teyz suno zeest ka safar
aaj is dagar mei.n hum hai.n to kal us dagar mei.n hum
kuch log humko nek kahe.n shukr hai tera
hum jaante hai.n kya hai.n khud apni nazar mei.n hum
murdo.n ko gar zabaan mile bole.nge yahi
kal they zamee.n pe aaj hai.n taareek ghar mei.n hum
haamid watan ki yaad tere saath jaayegee
raahat watan ki yaad kare.n kya safar mei.n hum
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
Posted: Fri Dec 23, 2005 7:37 am
by rahmed25682
Salam Haamid sahab...
MASHALLAH bohat umda ghazal kahy aap ne...
ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
shukriya
Posted: Sat Dec 24, 2005 7:12 am
by haamidbaaqri
rahmed25682 wrote:Salam Haamid sahab...
MASHALLAH bohat umda ghazal kahy aap ne...
ALLAH KARAY ZOR-e-QALAM AUR ZIADA
Khush rahain
Khair Andesh
Raheel Ahmed
salaamun alaikum
mohtaram raheel ahmed saahib
aapki mukhlisaana daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah
mukhlis
haamidbaaqri
Bahut khoob waah waah
Posted: Sat Dec 24, 2005 10:33 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aaapki mandarja-e-zeil TaraHi ghazal bahut hii achchi hei jiske liye daad o teHseen qubool farmaayiye.
ya rab nikaal humko phanse hai bhanwar mei.n hum
beshak gunaa'h gaar hai.n teri nazar mei.n hum
Pahle miSreA meiN "phanse hai.n" ko TibaaAat kii ghalaTi kii vajah se "phanse hai" likhkhaa gayaa hei. MaTlaA aapke rang meiN bahut khoob hei.
har saans laarahee hai hame.n mout ke qaree.n
baithe hue hai.n dosto per hai.n safar mei.n hum
Bahut achchaa sheAr hei, waah waah.
hai barq se bhi teyz suno zeest ka safar
aaj is dagar mei.n hum hai.n to kal us dagar mei.n hum
Yeh sheAr bhii bahut khoob hei. waah waah.
kuch log humko nek kahe.n shukr hai tera
hum jaante hai.n kya hai.n khud apni nazar mei.n hum
Is sheAr meiN aap ne aap ne izhaar-e-inkisaar bahut hii achche andaaz meiN kiyaa hei. Waah waah.
murdo.n ko gar zabaan mile bole.nge yahi
kal they zamee.n pe aaj hai.n taareek ghar mei.n hum
Aek farZi khayaal hei lekin bahut hii khoob hei.
haamid watan ki yaad tere saath jaayegee
raahat watan ki yaad kare.n kya safar mei.n hum
MaqTaA bhii bahut khoob hei.
Dobaarah dili daad aur mubaarkabaad pesh-e-khidmat hei.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob waah waah
Posted: Mon Dec 26, 2005 4:27 pm
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:

mohtaram abdullah nazir saahib
aap jaise ustad shaair ki daad hamare liye sanad hai.
aapne hamaari adna see kaavish ko saraaha, tabsare ke qaabil samjha aur mukhlkisaana daad aur duao.n se bhi nawaaza iskeliye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.
ghalati ki nishandahi ke liye bahut bahut shukriya. hum ne usko durust kardiya hai.
allah(sbhnwt)aap per apni musalsal rehmato.n ki baarish kare.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
Re: tarhi ghazal guz#12 haamidbaaqri
Posted: Sat Dec 31, 2005 6:51 am
by haamidbaaqri
sara_j wrote:hamid sahib,
hamesha ki tarah aapke ashaar bohat khoob hain.
daad qubool keejiye.
sara
haamidbaaqri wrote:
ya rab nikaal humko phanse hai.n bhanwar mei.n hum
beshak gunaa'h gaar hai.n teri nazar mei.n hum
har saans laarahee hai hame.n mout ke qaree.n
baithe hue hai.n dosto per hai.n safar mei.n hum
hai barq se bhi teyz suno zeest ka safar
aaj is dagar mei.n hum hai.n to kal us dagar mei.n hum
kuch log humko nek kahe.n shukr hai tera
hum jaante hai.n kya hai.n khud apni nazar mei.n hum
murdo.n ko gar zabaan mile bole.nge yahi
kal they zamee.n pe aaj hai.n taareek ghar mei.n hum
haamid watan ki yaad tere saath jaayegee
raahat watan ki yaad kare.n kya safar mei.n hum
salaamun alaikum
mohtarama sara saahibeh
aapki mukhlisaana daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
hausla afzaayee ka bahut bahut shukriya.
khush rahe.n
mukhlis
haamidbaaqri
Re: tarhi ghazal guz#12 haamidbaaqri
Posted: Sat Dec 31, 2005 12:17 pm
by Shummu
wah wah mashaALlah hamesha ki tarah bahut umda kalaam sunaaya aapne.....daad pesh hai...is sher mein....
har saans laarahee hai hame.n mout ke qaree.n
baithe hue hai.n dosto per hai.n safar mei.n hum
wah...sher bahut umda hai....aur bilkul sahi.....pehle misre ka aakhri lafz shayad type ghalat ho gaya hai "qareen" ya "qareeb"
Shumaila
Re: tarhi ghazal guz#12 haamidbaaqri
Posted: Sun Jan 01, 2006 8:07 am
by haamidbaaqri
Shummu wrote:wah wah mashaALlah hamesha ki tarah bahut umda kalaam sunaaya aapne.....daad pesh hai...is sher mein....
har saans laarahee hai hame.n mout ke qaree.n
baithe hue hai.n dosto per hai.n safar mei.n hum
wah...sher bahut umda hai....aur bilkul sahi.....pehle misre ka aakhri lafz shayad type ghalat ho gaya hai "qareen" ya "qareeb"
Shumaila
salaamun alaikum
mohtarama shumaila saahebah
aapki mukhlisaana daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
mohtarama woh lafz qaree.n hi hai.qareeb ko qaree.n bhi kehte hai.n.theek hai:
mukhlis
haamidbaaqri