Page 1 of 1

Majaz Lucknawi ki pachaasveeN barsee...................

Posted: Sun Dec 25, 2005 12:36 pm
by jawaid badauni

Dosto! Salam

Bahut kum logoN ko yaad hoga keh Majaz Lucknawi marhoom ki pachaasveeN barse 5 December ko thee. Majaz Aligarh Mulsim University ke tarane ke liye Khusosan yaad kiye jate haiN. Yeh ek rasm see hai keh Aligarh wale apnee taqreebaat ka aGhaaz Majaz ke likhe howey tarane ko gaaker hi karte haiN.

Main ne "Majaz" Marhoom ko Khiraaj-e aqeedat pesh karne
ke liye chund ashAAr kahe haiN jo is ummid se aapke hawale
kar raha hooN ke aap pasand farmayeNge aur apnee aara se
nawazeNge.

Khair andesh,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman
--------------------------------------------------------------------------------




Gate haiN log shauq se gana "Majaz" ka
HonToN peh aaj tak hai tarana “Majaz” ka


Yeh bhi hai gulsitaN se mohabbat ki ik miSaal
Bulbul chaman ka Khood ko banana “Majaz” ka


Ik umr unki yaad meN roti rahee Ghazal
Marg-e suKhan tha duniya se jana “Majaz” ka


BAAd-e Majaz samjhe haiN log unki manzilat
Hai kitna dardnaak fasana “Majaz” ka


Kuch jaandaar GhazaleN theeN kuch shandaar geet
Duniya meN bus yehee tha Khazana “Majaz” ka


MaiKhana ilm.o.fun ka bhulaye to kis tarah
Sahbaa-e fikr.o.fun men nahana Majaz ka


Too so gaya tarana tire jaagta raaha
Kah de koii hilake yeh shana “Majaz” ka


:Jawaid: yeh “Majaz” ke naGhme ka hai aSar
Dil sub ka ban gaya hai diwanah “Majaz” ka
--------------------------------------------------



Mohtarmah Zarqa Mufti SaHibah ka mamnoon hooN jinhoN ne meri Nazm ki itni dilkush kitabat ki. ChaTe she'r men "ilm.o.fun" alfaz k bAAd "KA" lafz likhne se rah gaya hai. PaRhte waqt ise shamil kar lijiyega.

MuKhlis
Jawaid



Image

Majaz MarHoom ki pachaasweeN Barsi per

Posted: Tue Dec 27, 2005 11:14 am
by Abdullah Nazir

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

MarHoom Majaz Lucknawi kaa muqaam unki taareekh-e-Hayaat ke saath saare hi ahl-e-sukhan ke dilaoN meiN meHfooz hei.

PachaasweeN barsi ke mauqeA per aap ne unko khiraaj-e-Aqeedat pesh karte hou khaaSkar unke "taraane" ko yaad farmaayaa hei jo Aligarh University meiN hameshah duhraayaa jaataa hei.

Aap ne apni sheAri takhleeq meiN yooN farmaayaa hei:

Gate haiN log shauq se gana "Majaz" ka
HonToN peh aaj tak hai tarana “Majaz” ka


Yeh bhi hai gulsitaN se mohabbat ki ik miSaal
Bulbul chaman ka Khood ko banana “Majaz” ka


Ik umr unki yaad meN roti rahee Ghazal
Marg-e suKhan tha duniya se jana “Majaz” ka


BAAd-e Majaz samjhe haiN log unki manzilat
Hai kitna dardnaak fasana “Majaz” ka


Kuch jaandaar GhazaleN theeN kuch shandaar geet
Duniya meN bus yehee tha Khazana “Majaz” ka


MaiKhana ilm.o.fun ka bhulaye to kis tarah
Sahbaa-e fikr.o.fun men nahana Majaz ka


Too so gaya tarana tire jaagta raaha
Kah de koii hilake yeh shana “Majaz” ka


:Jawaid: yeh “Majaz” ke naGhme ka hai aSar
Dil sub ka ban gaya hai diwanah “Majaz” ka

--------------------------------------------------

Is yaadgaar takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Kaash aHbab-e-sukhan meiN se koie MarHoom Majaz Lucknawi per tafSeeli mazmoon likhkhe aur unki yaad ko taazah kare. Filwaqt mere paas nah unkaa majmooAa-e-kalaam hei nah unki zindagi ke laajavaab laTeefaoN per koiee maZmoon taakeh kuch likh sakuN. Zehn meiN aek yaaddasht hei ke us kam Umr marHoom shayer ne apne daur meiN Joush MaleeHaabaadi aur Firaq Gourakhppri jaise shoaAara ki meHfilaoN meiN apni adabi salaaHiyataoN aur fikr se sab ko Hairat meiN Daalkar apni infiraadiyat ko manwaayaa. Allah marHoom ko apne zill-e-reHmat se navaaze.

Aapke is khiraaj-e-Aqeedat ee aapki adabi wusAat aur sheAr o sukhan se muHabbat kaa izhaar houaa hei jo qaabil-e-Sad taHseen hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.