Page 1 of 1

chaar misre peshe khidmat hai

Posted: Mon Dec 26, 2005 4:33 pm
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

chaar misre aap tamaam ahbaab ke hawaale
umeed hai pasand farmaaye.nge

arz kiya hai....

imtihaa.n gaa'h hai duniya yeh tumhe.n yaad rahe
bandagi jo bhi kare rab ki woh aazaad rahe
banna jisko bhi hai insaan jahaa.n mei.n haamid
taalibe ^ilm rahe ya to woh ustaad rahe


nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Bahut khoob

Posted: Tue Dec 27, 2005 7:18 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapke miSreA bahut pasand aaye jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

imtihaa.n gaa'h hai duniya yeh tumhe.n yaad rahe
bandagi jo bhi kare rab ki woh aazaad rahe
banna jisko bhi hai insaan jahaa.n mei.n haamid
taalibe ^ilm rahe ya to woh ustaad rahe


Darasl, QiTAe ke liye yeh sharT hei ke pahle do miSreA ham-qaafiyah nah houN. Is usool se bahut shoAaraa ne inHiraaf kiyaa hei lekin is usool kii paabundi behtar hei.

Dobaarah aapke mauZooA ki ehmiyat ko qaabil-e-daad o teHseen samajhtaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir,


Re: Bahut khoob

Posted: Wed Dec 28, 2005 6:31 am
by haamidbaaqri
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapke miSreA bahut pasand aaye jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

imtihaa.n gaa'h hai duniya yeh tumhe.n yaad rahe
bandagi jo bhi kare rab ki woh aazaad rahe
banna jisko bhi hai insaan jahaa.n mei.n haamid
taalibe ^ilm rahe ya to woh ustaad rahe


Darasl, QiTAe ke liye yeh sharT hei ke pahle do miSreA ham-qaafiyah nah houN. Is usool se bahut shoAaraa ne inHiraaf kiyaa hei lekin is usool kii paabundi behtar hei.

Dobaarah aapke mauZooA ki ehmiyat ko qaabil-e-daad o teHseen samajhtaa hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir,

salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapki mukhlisaana aur^aarifaana daad ke hum behad mamnoono mashkoor hai.n.
jazakallah

hum aapke shukrguzaar hai.n
keh aapne takneeki ghalati ki nishaandahi farmaaye.

insha allah ainda is baat ka khayaal rakkhe.nge

taalibe dua
haamidbaaqri