Page 1 of 1

URDU zaban par likhe gaye ashaar

Posted: Tue Dec 27, 2005 11:39 pm
by Mahtab Qadr
Dosto yahaN aise ashaar post kiye jaiN jo urdu zaban se mutaaleq hoN.
maslan aik mashoor o maroof sher Dagh Dehlavi ka aksar bayan o tahreeroN mai dekha aur suna jata hai.



urdu hai jiska naam ham hi jante haiN daagh
saray jahaN mai dhoom hamaari zabaN ki hai

Posted: Thu Dec 29, 2005 5:55 am
by Hashmat Usmani
lutf-e-goyaaii emN terii ham_sarii mumkin nahiiN
ho taKhaiyul kaa na jab tak fikr-e-kaamil, ham_nashiiN!
haaye! ab kia ho gaii HindostaaN kii sar_zamiiN
aah! nazzaarah_aamoz-e-nigaah-e-nokta_chiiN

gesoo-e-URDU abhii minnat_pazeer-e-shaana hai
sham'a yeh saudaaii-e-dil_sozii-e-parvaana hai


'allaamah Iqbaal
unkii nazm "Mirza Ghaalib" se maaKhooz band"

Posted: Sun Feb 05, 2006 4:05 am
by Handsome
Bohat khooob :)

urdu

Posted: Tue Mar 21, 2006 12:49 pm
by Abdullah Nazir



bazm-e-yaaraan-e-sukhan houti rahegi raushan
ishq-e-urdu meiN bahal jaataa hei parvaanaoN kaa man
kaun laayegaa magar bhool ke bhi mushk-e-khutan
kaun baaqi rahaa mastaana-e-sehbaay-e-sukhan
aek ik karke houe jaate heiN rukhSat pyaare
dasht-e-bedaad se Thukraaye houe bechaare
koiee jaataa hei tou phir lauTke aataa hi nahiN
aur jo aaye use kaaTne lagti hei zameeN
tum se shikwah nahiN dunyaa se shikaayat hei mujhe
apni ruswaayi bhi ik Tarz-e-muHabbat hei mujhe
kaun kehtaa hei bhalaa khwaahish-e-daulat hei mujhe
kuch hei pyaari tou faqaT apni sharaafat hei mujhe

kis TaraH tum se kahooN kitni muHabbat hei mujhe
kis TaraH tum se kahooN kitni muHabbat hei mujhe.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


urdu zabaan

Posted: Tue May 09, 2006 12:54 pm
by Abdullah Nazir



dekhe koii bahaar-e-baagh-e-sukhan hamaari

urdu zabaaN meiN ham ne lafzaoN ke gul khilaaye.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Wed May 17, 2006 2:56 am
by ummassad
nahin khail ay daag yaroon se kahdu
kh aati hey urdu zaban aatey aatey

urdu zabaan

Posted: Wed May 17, 2006 10:48 am
by Abdullah Nazir



kyaa kyaa nah gul khilaaye heiN is meiN rumooz-e-fun

ham shaan kyaa bayaaN kareN urdu zabaan ki.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Sun May 21, 2006 1:27 pm
by hassan_bashir
ik voh ke zabaanoN ki rasaai se hai baala
ik maiN ke mujhe Theek se aati nahiN Urdu

urdu zabaan

Posted: Sun May 21, 2006 11:37 pm
by Abdullah Nazir



urdu zabaaN meiN rang-e-sukhan dekhne kaa hei

kyaa kyaa nah funn-e-sheAr ke is meiN khile gulaab.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.


Posted: Fri Jun 30, 2006 11:22 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
she'er kehna hai to urdu meN kaho

aor phir dekho zubaaN ke zae'qe.

muzaffar.

Posted: Wed Jul 05, 2006 1:06 pm
by hassan_bashir
shahad-va-shakkar se shiiriiN Urdu zabaaN hamaarii,
hotii hai jis ke bole miThii zubaaN hamaari!

urdu zaban hamari

Posted: Mon Sep 18, 2006 4:51 am
by ummassad
urdu zaban

Re: URDU zaban par likhe gaye ashaar

Posted: Tue May 24, 2016 11:06 am
by alfredalfred
she'er kehna hai to urdu meN kaho???