Page 1 of 1

"insaa.n nahi.n hai.n"taaza ghazal

Posted: Wed Dec 28, 2005 6:34 am
by haamidbaaqri
salaamun alaikum
dosto

taza ghazal peshe khidmat hai

gar qubool uftad zahe......

arz kiya hai.......


insaa.n nahi.n hai.n hoto.n peh jinke hansee na ho
ek doosre se milte hi jinko khushee na ho

insaa.n ko chaahiye keh zamee.n per woh jab chale
ho inkesaari chaal mei.n niyyat buri na ho

meetha hai paani aik tau namkeen doosra
mansha hai rab ka inmei.n kabhie dostee na ho

paani tau pee raha hai zara ghaur bhi tau kar
kya ho tera jo pyaas ki chaaragari na ho

aabe hayaat hai yeh tu zaaya ise na kar
paani ke bin yeh zindagi phir zindagi na ho

narmi ho bolchaal mei.n tere har aik pal
murda hai woh zameen keh jis mei.n namee na ho

haamid tera qayaam wahaa.n per haraam hai
jis shahr mei.n ghareeb ko ^ezzat milee na ho

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah