Page 1 of 1

tarHi ghazal guzarish # 11

Posted: Thu Dec 29, 2005 4:07 pm
by khozema husaini
Hazreen e mehfil
assalam alaikum
KHair talab ba KHair ba Hamd e Allah

qareeb 3 maah ki GHair Hazri ke bAd do roz qabl is mehfil meN Hazir hua to is misra e tarah per nazar paRi aaj apni adna si kawish ke saath Hazir hua hooN aur ummeed karta hooN keh sabhi qaraeen apni aara se nawaaz kar mujhe shukriyah ada karne ka mouqa Ata farmayenge

husaini

Ghazal

roshan rah e Hayaat hai Aaqil ke saamne
chashm e zadan meN hoga woh manzil ke saamne

kuchh youN baRha hai jaam e shahadat ka ishtiyaaq
hum sar jhukaye baiThhe heN qatil ke saamne

masjid meN sheh ko dekha hai sarf e gadagari
ab kiya karooN sawaal meN sail ke saamne

tarjeeH pattharoN ko hii dega sitam zareef
rakhdooN jo chand lAl mire dil ke saamne

tanhaiyoN men hote heN khul kar woh hum kalaam
nazreN chura rahe heN jo meHfil ke saamne

nouHa kunaN jahaN nah ho kiyuN us ki mot per
jo tashnah lab shaheed ho saaHil ke saamne

aangan meN aaye choudhweeN shab woh jo be Hijaab
maahtaab aa gaya mah e kaamil ke saamne

ae rabb e zuljalal Husaini pe kar karam
hare nah hosla kabhi mushkil ke saamne

Posted: Sat Dec 31, 2005 12:31 pm
by Shummu
wah wah wah bahut khoob Khozema sahab...aap ki tarahi ghazal behad pasand aayi khaaskar in ashaar mein prarwaaz-e-takhayyul ka kya kehna....
nouHa kunaN jahaN nah ho kiyuN us ki mot per
jo tashnah lab shaheed ho saaHil ke saamne

aangan meN aaye choudhweeN shab woh jo be Hijaab
maahtaab aa gaya mah e kaamil ke saamne
wah bahut hi khoob.....!! :cool:
kuchh youN baRha hai jaam e shahadat ka ishtiyaaq
hum sar jhukaye baiThhe heN qatil ke saamne
wah kya zbaardast girah lagaayi hai aapne..bahut aala.....khusoosi daad pesh hai...

tarjeeH pattharoN ko hii dega sitam zareef
rakhdooN jo chand lAl mire dil ke saamne
pehla misra bahut jaandaar hai..doosra misra samajh nahi aaya....'chand' ke baad kaun sa lafz se samajhne se qaasir hoon :confused:
tanhaiyoN men hote heN khul kar woh hum kalaam
nazreN chura rahe heN jo meHfil ke saamne
wahhh!!!!!!!!umda......


Dheron daad pesh hai is umda kaavish pe....!!! :biggrin:

Shumaila

shukriyah

Posted: Sat Dec 31, 2005 3:13 pm
by khozema husaini
mohtarmah shumaila sahebah
aadab
ghazal ki pasandeedgi ka shukriyah aap ne jis lafz ka zikr kiya hai woh laam +ain+laam hai yani keh lAl ghazl urdu fonts men bhi to post ki hui hai shayad aap ki nazar se nahi guzri KHair , isi tarah apni aara se nawazti rahiye ga
talib e duAa
Husaini