Page 1 of 1
Ghareebi
Posted: Sat Dec 31, 2005 10:05 pm
by Mahtab Qadr
Aik Taaza QATAA
suhaane khwaboN ke mahloNko torh deti hai
azeematoN ki kalaai marorh deti hai
jawaanioN mai bhi muflis jawa N nahi lagte
ghareebi itna badan ko nichorh deti hai
QiTAa yaa Aam zabaan meiN QatAa
Posted: Mon Jan 02, 2006 1:19 am
by Abdullah Nazir
MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
aapka QitAa hei:
suhaane khwaboN ke mahloNko torh deti hai
azeematoN ki kalaai marorh deti hai
jawaanioN mai bhi muflis jawa N nahi lagte
ghareebi itna badan ko nichorh deti hai
Yeh QitAa bahut pasand aayaa jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.
ArooZ ki kitaabaoN meiN yehi kahaa jaataa hei ke QitAe ke pahle 2 miSreA ghazal ke maTleA ki TaraH qaafiyah band nahiN hounaa chaahiye. Lekin Farhang-e-aaSafiya meiN iskaa zikr hei ke pahle do miSreA ham-qaafiyah bhii housakte heiN.
Bahut kam asaatizah ne QiTAe ke pahle 2 miSrAaoN ko ham-qaafiyah rakhaa hei jaise Marhoom ustaad Qamar jalaalawi.
MaiN shakhSi Taur per ArooZiyao kii pairawi karnaa munaasib samajhtaa hooN.
Aaapka MukhliS,
Nazir.
Posted: Mon Jan 02, 2006 5:53 am
by jawaid badauni
Azeezi Mahtab SaHab,
Aadaab
Bahut haseen Qita kaha hai. Kya taraqqi pasandee hai. Dil Khush hoa. Daad qubool kijiye.
Bhaayee Nazir Sahab ka mashwara durust hai. Matla Rubaii meN kaha jata hai magar Qite' meN bhi bahut se ustadoN ne matAla kaha hai aur ab to shayad riwaaj-e aam sa ban gaya hai.
Ek baat aur arz kar dooN. Bil amuum RHE wale qawafii ko bhi buzurgaane Urdu ne pasand nahiN farmaya hai.
Khoosh raheN!
MuKhliS
Jawaid
Re: QiTAa yaa Aam zabaan meiN QatAa
Posted: Wed Jan 04, 2006 10:20 am
by Mahtab Qadr
Mohatram Abdullah bhai sahib
Salaame masnoon
Aapki GiraNqadr raye aur muhabbatoN ke lye behad mashkoor hoN. aur aapki is baat se bhi buttafiq hoN . shukria
Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
aapka QitAa hei:
suhaane khwaboN ke mahloNko torh deti hai
azeematoN ki kalaai marorh deti hai
jawaanioN mai bhi muflis jawa N nahi lagte
ghareebi itna badan ko nichorh deti hai
Yeh QitAa bahut pasand aayaa jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.
ArooZ ki kitaabaoN meiN yehi kahaa jaataa hei ke QitAe ke pahle 2 miSreA ghazal ke maTleA ki TaraH qaafiyah band nahiN hounaa chaahiye. Lekin Farhang-e-aaSafiya meiN iskaa zikr hei ke pahle do miSreA ham-qaafiyah bhii housakte heiN.
Bahut kam asaatizah ne QiTAe ke pahle 2 miSrAaoN ko ham-qaafiyah rakhaa hei jaise Marhoom ustaad Qamar jalaalawi.
MaiN shakhSi Taur per ArooZiyao kii pairawi karnaa munaasib samajhtaa hooN.
Aaapka MukhliS,
Nazir.
Shukria Janab
Posted: Wed Jan 04, 2006 10:28 am
by Mahtab Qadr
Janab e Jawaid sahib Aaadaab
Bahut shukria huzoor aapki sitayesh ne hausla barhaaya.:)
rahi taraqqi pasandi ki baat to aapka ishara kis taraqqi pasandi ki taraf hai , mai us taraqqi pasandi ka qayel nahi hoN jis ka rishtaa 'istehsaal ke khilaf awaaz uthaane ' ke naam par ishteraakiat se ja milta hai. haN dosroN lafzoN mai jis tarah har aadmi agar yoN kahoN ke koi bhi tanazzul pasand nahi hota to mai bhi tarqqi pasand hoN ke , ilm o fikr ki taraqqi , hunar aur muarifat ki taraqqi , andaaz e bayaan o asloob ki taraqqi mujhe bhi pasand hai. albaatta aik teesri qism aur hoti hai taraqqi pasandoN ki jo apni zaati taraqqi pasand karte haiN mai un me se bhi nahi hoN.:)shukria
Mukhlis
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:
Azeezi Mahtab SaHab,
Aadaab
Bahut haseen Qita kaha hai. Kya taraqqi pasandee hai. Dil Khush hoa. Daad qubool kijiye.
Bhaayee Nazir Sahab ka mashwara durust hai. Matla Rubaii meN kaha jata hai magar Qite' meN bhi bahut se ustadoN ne matAla kaha hai aur ab to shayad riwaaj-e aam sa ban gaya hai.
Ek baat aur arz kar dooN. Bil amuum RHE wale qawafii ko bhi buzurgaane Urdu ne pasand nahiN farmaya hai.
Khoosh raheN!
MuKhliS
Jawaid
Re: ZINZABAD
Posted: Thu Jan 05, 2006 8:02 am
by Ehsan Raza
BHAI MAHTAB QADER SB
JEETE RAHIYE ZINDA BAAD CHAAR MISRON MEN GHURBAT KI SAHI TASHKEEL JHOOTI RIYASAT KE MOONH PER TAMACHA HAI
ALLAH KARE ZORE QALAM AOR ZIYADA
MUKHLIS --EHSAN BADAUNI
Re: ZINZABAD
Posted: Sun Jan 08, 2006 1:57 pm
by Mahtab Qadr
Bhai Eshan Raza sahib
Shukria Nawazish ,yoN hi hauslay barhay jaate rehe to shayeri bhi hoti rahegi.:) inayatoN ke lye mashkoor hoN
Mukhlis
Mahtab Qadr
Ehsan Raza wrote:BHAI MAHTAB QADER SB
JEETE RAHIYE ZINDA BAAD CHAAR MISRON MEN GHURBAT KI SAHI TASHKEEL JHOOTI RIYASAT KE MOONH PER TAMACHA HAI
ALLAH KARE ZORE QALAM AOR ZIYADA
MUKHLIS --EHSAN BADAUNI