Page 1 of 1
QAYAMAT KHAIZ ZALZALA EK QITA AOT EK GHAZAL HAZIRE KHIDMAT
Posted: Wed Jan 04, 2006 1:05 pm
by Ehsan Raza
QITA
JAB BHI KARWAT ZAMEEN LETI HAI
ZINDAGI HUM SE CHEEN LETI HAI
SAHNE GULSHAN KI EK JUMBISH SE
PHAL DARAKHTON KE BEEN LETI HAI
GHAZAL
AB MAKAN HAI NA HAI MAKEEN KOI
KIS TARHA SE KARE YAQEEN KOI
YAK BA YAK PAOON DAGMAGA UTTHE
JAB SARAKNE LAGI ZAMEEN KOI
EK LAMHE MEN HO GAI THI JUDA
KHAN TARIQ SE MAHJABEEN KOI
CHAAR SU THI SADAE AHO BUKA
PER NAHEEN THA TAMASH BEEN KOI
JISME NAZUK PE BEBASI KE SIWA
PAIRAHAN THA NA AASTEEN KOI
JINKE APNE BICHAD GAEY UNKA
MASIWA RAB NA THA AMEEN KOI
BEKASON KO HO AB ATA EHSAN
LAMHAE ZINDAGI HASEEN KOI
EHSAN BADAUNI (MAKKAH MAKURAMA)
Bahut Khoob
Posted: Wed Jan 04, 2006 11:05 pm
by Mahtab Qadr
Janab Ehsan Raza sahib
Aadaab
Bahut khushi huvi aapka kalaam dekh kar. bahut lutf bhi aaya. aapka Qataa aur Ghazal donoN bhi ehsasaat ki nazakatoN ke saath zalzaloN ki tabahkarioN ka dard lye jazbaat ke taar e nazuk cherh rahe haiN aur aik takleefda aah nikal rahi hai ke waqai jin logoN par ye qiyamat guzri hogi vo kitna mahzooon huve hoNge ke aik shayer apne ehsaasat ke zariye jab itni haqeeqat angaiz akkasi karta ho. umeed ke aap se in safhaat par bhi mulaqaat hoti rahegi
shukria
Mukhlis
Mahtab Qadr
Re: BEHAD MASHKOOR HOON NAWAZISH
Posted: Thu Jan 05, 2006 12:38 am
by Ehsan Raza
[ Qadr[/b][/quote]
MOHATRAM MAHTAB QADER SAHEB
SIRF EHSASAT KI TARJUMANI HAI BAHERHAL PASANDIDGI KA BEHAD SHUKRIYA APNI MASROOFIYAT KE BAWUJOOD BHI SITE PER RAHOONGA TAKE APSE MULAQAT RAHE
YAQEENAN APKA KALAM TAFSEEL SE DEKHOONGA AOR APKO MUFASSIL MAIL BHEJUNGA IS SE PAHLE BHI GHZAL BHEJ CHUKA HOON SHAED APKI NAZAR SE NAHEEN GUZRI
EHSAN BADAUNI