tarHi Ghazal guza.# 12 raHat watan ki yaad kareN kiya safar
Posted: Wed Jan 04, 2006 5:21 pm
hazreen e mehfil
assalam o alaikum
KHair talab ba KHair ba Hamd Allah
guzarish # 12 ke tarHi misra per apni adna si GHazal ke saath Hazir hua hoon aur hameshah ki tarah ummeed bhi yahi hai keh aap sabhi KHawateen o hazraat aapni aaraa se nawaaz kar mujhe shukriyah ada karne ka mouqa faraham karenge
Husaini
GHazal
aate hi kiyuN fareb e zabaan-e-bashar meN hum
mahir jo hote makr o daGHa ke hunar meN hum
nikle heN sar badast rah e pur KHatar men hum
"raahat watan ki yaad kareN kiya safar men huml"
roTi ki justajoo meN hui zindagi tamaam
hote shareek kaise talash e guhar meN hum
woh aur hen charaaGH se jalte heN jin ke par
jugnu heN , ik charaaGh jalate heN par meN hum
aati hai saaf is meN nazar sazish e raqeeb
begaane ho gaye heN jo teri nazar meN hum
sarmayah e Hayaat e Husaini hai inkisaar
rakhte nahiN yaqeen kabhi karr o far meN hum