Page 1 of 1

EK SHARARJO SHAR KI TALWAR SE INSANIYAT KA GALA GHONT RAHA H

Posted: Thu Jan 05, 2006 8:57 am
by Ehsan Raza

NOTE-- KUCH QITAT APKI KHOOBSOORATSAMAAT AOR APKI AARA KE LIYE BHEJ RAHA HOON YAQEENAN JAWAB DEKER HAUSLA AFZAEE FARMAINGE

QITA
WOH JO KIRDAAR HER IK LAMHA BADALTA HAI YAHAN
KHOTA SIKKA HAI KHARE DAAM MEN CHALTA HAI YAHAN
ADATEN USKI NA BADLEEN NA BADAL SAKTEEN HAIN
DDODH PITA HAI MAGAR ZAHER UGALTA HAI YAHAN
-------------------

BAJAYE ISKE MUQABIL PE SHEEN KAAF[/KAROON
NA KIYON MAIN APNI HI GHALTI KA EITERAAF KAROON
JAMEE HAI GARD JO IS DILKE SHEESH MAHLON MEN
MERE KHAYAL MEN US AINE KO SAAF KAROON

waah waah

Posted: Tue Jan 10, 2006 3:01 pm
by Mahtab Qadr
Bhai Ehsaan sahib jawab nahi aapke qataat ka bhi. bahut pasand aaye aapke ehsasaat aur qaumi hamdardi ka vo shaoor jo aik hassas qalb o nazar ka hi hissa ho sakta hai vo aapke paas maujood hai.
bahut nawazish
Mahtab Qadr

Posted: Tue Jan 10, 2006 10:31 pm
by jawaid badauni

Azeezi Ehsaan MiyaN,
Dili doayeN

Bahut achche QitAAt se nawazah hai aap ne. Meri nacheez daad qubool farmaaiye.

Apne Qita-e caani meN ek jagah "Sheen-Kaaf" istaimal kiya hai. Kuch log bar binaye jahl "Sheen" ko "Seen" aur "Qaaf" ko "Kaaf" boltey haiN isee liye mahavrah ban gaya hai "SHEEN-QAAF DURUST HONA". Magar azeezam aap ne "Sheen-Qaaf" ki jagah "Sheen-Kaaf" istaimal kiya hai. Zara is per nazar-e caani kar lijiye. (Mere khyaal se yeh "typing" ki ghalti hai.)

Khoosh raheN!

MuKhliS

Jawaid

khoob

Posted: Wed Jan 11, 2006 10:14 pm
by Mahtab Qadr
Janab Jawaid sahib
Aadaab
Ehsan sahib ke dosre Qatay mai aapne jis taraf ishara farmaya hai vo ghaleban meri nacheez raye mai , sheen + kaaf = shak hai. rahi aap ne jo mahaweroN bali baat ki vo ehsan sahib ka maqsood hi na rha ho. ye mere ehsasaat hai ab janab e ehsaan hi is par sahi tarah se raushni dal sakte haiN aur mai un se umeed karta hoN ke wazahat farmaiNge.
shukria
Mahtab Qadr
jawaid badauni wrote:

Posted: Wed Jan 11, 2006 10:19 pm

Re: bahut khoob

Posted: Thu Jan 12, 2006 10:19 pm
by Ehsan Raza

MOHTARMA -- TASLIMAAT AAPNE JO HAOUSLA AFZAI FARMAI HAI USKE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON AAPKI ISLAH SER ANKHON PER LEKIN IS BAAT KI WAZAHAT KARTA CHALOON DOOSRE QITAY KE TEESRE MISRE MEN YAQEENAN AAPKA KHAYAL DURUST HAI MERI MURAAD ( DIL) SE HI HAI
BAHOOT BAHOOT SHUKRIYA
MUKHLIS EHSAN BADAUNI

Posted: Thu Jan 12, 2006 10:45 pm
by Ehsan Raza
][/b]

MOHATRAM JAWAID BHAI
BAAD ADAB KE BAKRAEED KI DILI MUBARAK BAAD QUBOOL KIJIYE AUR SAATH HI UN HUJJAJ-E IKRAAM MARHOOMEEN KI MAKHFARAT KE LIYYE DUA KARTA CHALOON JO IS SAAL MINA MEN AAKHRI DIN JUMRAAT KI RAMI KE DAORAN WAFAAT PAA GAYE INNA LILLAHE WA INAA ALEHE RAJAOON KHUDA UNKO JANNAT AL FIRDOUS MEN AALA DARJA ATA FARMAE.
HIMAAT AFZAI KE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON AAP JAISE ASATAZA AGAR KISI TALIBE ILM KE KISI EK MISRE PER BHI DAAD TAHSEEN SE NAWAAZ DEN TO WOH USKI POORI ADABI AOR SHERI ZINDAGI KA SARMAYA HAI
( SHEEN) (KAAF ) KE HAWALE SE WAZAHAT KARTA CHALOON MAINE YAQEENAN SHAK LIKHA HAI (QAAF ) KA YAHAN KOI TAZKARA NAHIN HAI QAAF LKHNE SE MERE ASHAAR KA MAFHOOM BADAL JAYEGA APKI TAWAJJO KA TALIB HOON SHEEN KO (SEEN ) AUR (QAAF ) KO (KAAF ) ADAA KARNE WALE AHLE ZUBAN NAHIN HAIN UNSE HAMEN KOI SHIKWA NAHIN HAI ----------- MUKHLIS EHSAN BADAUNI

Re: khoob

Posted: Thu Jan 12, 2006 11:01 pm
by Ehsan Raza
[
MOHATRAM MAHTAAB QADER TASEEMAAT
BAKRAEED KI DILI MUBARAK BAAD QUBOOL KIJYE QITAAT PASAND FARMANE KA AOR HAUSLAFZAI KE SAATH SATH APKI SUKHAN FAHM DOOR ANDESH NAZER KE LIYYE BEHAD MASHKOOR HOON
AAPNE JO MOHATRAM JAWAID BADAUNI SAHEB KO MERE ASHAAR KE HAWALE SE KHITAB BHEJA HAI MAIN US SE QATAI MUTTAFIQ HOON YAQEENAN MERI MURAAD (SHAK) SE -- HAI ( SHAQ ) SE NAHIN MOHATRAM MERE AZIZ HONE KE SAATH 2 EK USTAAD SHAYER HAIN LIHAZA WOH ASHAAR KO HER ZAWIYE SE DEKH TE HAIN IZZAT BACHA NE KA SHUKRIYA
EHSAN BADAUNI

Re: bahut khoob

Posted: Fri Jan 13, 2006 8:16 am
by jawaid badauni
Ehsan Raza wrote:
MOHARRAM
TASLIMAAT AAPNE JO HAOUSLA AFZAI FARMAI HAI USKE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON AAPKI ISLAH SER ANKHON PER LEKIN IS BAAT KI WAZAHAT KARTA CHALOON DOOSRE QITAY KE TEESRE MISRE MEN YAQEENAN AAPKA KHAYAL DURUST HAI MERI MURAAD ( DIL) SE HI HAI
BAHOOT BAHOOT SHUKRIYA
MUKHLIS EHSAN BADAUNI

Azeezi Ehsaan SaHab,
ASAK

Aap shayad Duniya SaHibah se muKhtib haiN ho mohtaram nahiN MOHTARMAH haiN aur ghaliba" Dilli (Delhi) meN qayam farmati haiN.

MuKhliS
Jawaid
Muscat - Oman

Posted: Fri Jan 13, 2006 11:31 pm
by Ehsan Raza
Ehsan Raza wrote:][/b]

MOHATRAM JAWAID BHAI BAAD ADAB KE BAKRAEED KI DILI MUBARAK BAAD QUBOOL KIJIYE AUR SAATH HI UN HUJJAJ-E IKRAAM MARHOOMEEN KI MAKHFARAT KE LIYYE DUA KARTA CHALOON JO IS SAAL MINA MEN AAKHRI DIN JUMRAAT KI RAMI KE DAORAN WAFAAT PAA GAYE INNA LILLAHE WA INAA ALEHE RAJAOON KHUDA UNKO JANNAT AL FIRDOUS MEN AALA DARJA ATA FARMAE.
HIMAAT AFZAI KE LIYE BEHAD MASHKOOR HOON AAP JAISE ASATAZA AGAR KISI TALIBE ILM KE KISI EK MISRE PER BHI DAAD TAHSEEN SE NAWAAZ DEN TO WOH USKI POORI ADABI AOR SHERI ZINDAGI KA SARMAYA HAI
( SHEEN) (KAAF ) KE HAWALE SE WAZAHAT KARTA CHALOON MAINE YAQEENAN SHAK LIKHA HAI (QAAF ) KA YAHAN KOI TAZKARA NAHIN HAI QAAF LKHNE SE MERE ASHAAR KA MAFHOOM BADAL JAYEGA APKI TAWAJJO KA TALIB HOON SHEEN KO (SEEN ) AUR (QAAF ) KO (KAAF ) ADAA KARNE WALE AHLE ZUBAN NAHIN HAIN UNSE HAMEN KOI SHIKWA NAHIN HAI ----------- [b]MUKHLIS EHSAN BADAUNI
[/b]