Page 1 of 2
Harf-e-'ZEY' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Posted: Thu Jan 05, 2006 12:36 pm
by Shummu
zeest hamsaa'ye se maaNgaa huaa zevar to naheeN
aik dhaRkaa saa lagaa rehtaa hai kho jaane kaa
(Mohsin Bhopali)
Posted: Fri Jan 06, 2006 7:31 pm
by ummassad
zafar aadmi usko na janiega ho wo kaisa hi sahib-e- faham o zaka
jise ayesh main yad-e- khuda na rahe jise tyesh main khouf-e-khuda naraha
Posted: Fri Jan 06, 2006 8:37 pm
by ummassad
zahid sharab peene de masjid main baythker
ya wo jaga batade jahan per khhda na ho
"zey"
Posted: Sat Jan 07, 2006 4:20 am
by Abdullah Nazir
zindagi bhar kii aziyyat hei muqaddar meraa
Doobne degaa nah Toofaan, bachaalegaa mujhe.
Nazir.
Posted: Sat Jan 07, 2006 9:58 pm
by Shummu
zindagii phailii hu_ii thii shaam-e-hijraa.N kii tarah
kis ko itanaa hausalaa thaa kaun jii kar dekhataa
(Ahmad Faraz)
"zey"
Posted: Sun Jan 08, 2006 2:56 am
by Abdullah Nazir
zindagi bhar nah houi mujhko havas dunyaa kii
khooN-bahaa de na sakegaa miraa qaatil, meraa.
Nazir.
Posted: Tue Jan 10, 2006 9:08 pm
by ummassad
zamana furkatka jaye yarab vo waqat vo din bhi laye yarab
ada karoun main tera dugana khaderahain vo bichake aanchal
"zey"
Posted: Thu Jan 19, 2006 3:58 am
by Abdullah Nazir
zindagaani ke safar meiN yeh patah bhii nah chalaa
din kahaaN khatm houaa, raat kahaaN khatm houi.....Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Jan 19, 2006 6:00 pm
by ummassad
Zameen pe mera thikana na aasman pe kahin
talash-e- yar main udta hua gubaar houn main
Posted: Thu Jan 19, 2006 6:08 pm
by ummassad
Zindagi pe chaagaya tariki-e- shab ka sukyut
istrah kuch rooshni ko gum ki deemak khagayi
zey
Posted: Thu Jan 19, 2006 7:36 pm
by Abdullah Nazir
zindagi meiN jo mili niAmat-e-nisyaaN mujhko
koiee mushkil hou nazar aati hei aasaaN mujhko.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Fri Jan 20, 2006 6:19 pm
by ummassad
Zindagi kitni khoobsurat hy
sirf aahsas ki zaroorat hy
"zey"
Posted: Mon Jan 23, 2006 11:54 am
by Abdullah Nazir
zameeN thrraake reh jaaye, falak meHshar badaamaan hou
magar dekhaa hei kis ne mere naalaoN kaa rasaa hounaa.
Shayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Jan 30, 2006 6:58 pm
by ummassad
zindnioun ne toord diya zulm ka ghuroor
woh dabdabh woh roob.e.hukoomat kahan hey aaj
Posted: Mon Jan 30, 2006 6:59 pm
by ummassad
zinda hohn magar zeest ki lazat nahi baqi
her chand kh hoon hoosh main hushyaar nahi houn